Page 1 of 1

KIA HUM URDU KAY SAATH MUKHLIS HAIN ???

Posted: Fri Jan 14, 2005 10:17 pm
by rahmed25682
Aadaab dosto..

aaj behs ka mauzoo hay

KIA HUM URDU KAY SAATH MUKHLIS HAIN ???

ye mauzoo rakhnay ka maqsad dar-asl is baat per behs karna hay kay aakhir kion hum apny zabaan chhor kar ENGLISH kee taraf maail ho rahay hain. Aakhir kion hum nay URDU bol chaal main ENGLISH kee milaawat kee hay ... aur wo bhee bila wajah...

aap dostoN say guzaarish hay kay is per apny raaye ka izhaar karain

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Sun Jan 16, 2005 7:40 am
by Hashmat Usmani
salaam RaHeel saaHib,

aapne jo mauz'oo chuna hai baHs_o_mubaaHise ke liye vo kaafii Ghaur talab hai aur qaabil-e-tabaadila-e-Khayaal ke liye bhii, Khusoosan un saaHibaan aur saaHibaat ke liye jo dayaar-e-Ghai'r meN muqeem haiN. vaise, yeh angrezii bolne kii beemaarii hamaarii nau_jawaan peeRhii ko kuchh ziyaadah hii hai. chuNki angrezii ko zabaan e iqtidaar samjhaa gaya aur dunyaavii taraqqii ke liye kaamiyaabii kii zaamin bhii tasavvur kia jaataa hai. dar+Haqeeqat yeh ravaiya hamaarii zehnii Ghulaamii kii saaKht hai. be_roon e mulk meN to ham koii jawaaz rakhte bhi haiN magar Hind/Pak meN iskii koii zaroorat nahiiN.


urdu hamaarii zabaan hai, urdu hamaarii pehchaan hai PYAARE!

faqat ek adnaa Khaadim-e-urdu,

Hashmat

Posted: Mon Jan 17, 2005 3:50 pm
by rahmed25682
Hashmat sahab ..

Aadab

Main aap kee baat say bilkul muttafiq hooN ... kaash humaray tamam logoN kee yehi soch ho jaye..angrezi bolna buri baat nahin hay kion kay ye aik BAIN-ul-AQWAMI zabaan hay jo poori dunya main raabtay ka aik moassar zariya hay.
Is baat say inkaar nahin kay aaj angrezi kay bohat say alfaaz URDU main is tarha shaamil ho gaye hain kay wo URDU ka hissa mahsoos hotay hain .
Roz-marra bol chaal main ba'az auqaat aisay mawaqay bhee aatay hain jub URDU alfaaz kee jagah angrezi alfaaz ka istamaal ziyada munaasib lagta hay kion kay URDU ko achhy tarha samajhnay walay loag humaray moashray main shaaz-o-naadir he paaye jaatay hain.Bila-shuba zuroorat kay waqt angrezi kay istamaal main koi qabaahat nahin,lekin jahan URDU say aap kay maqsad poora hota ho wahan sirf is liye angrezi istamaal karna kay aap doosroN say mukhtalif nazar aayen, meray khayal main ye ziyadati hay, apnay saath bhee aur URDU kay saath bhee.

Angrezi kay alfaaz URDU ka hissa bannay kee bary wajah URDU main is salahiyat ka maujood hona hay kay ye dunya kee her zabaan kay alfaaz ko is tarha apnay ander samoti hay wo URDU he ka hissa mahsoos hotay hain.Lekin dekha jaaye to yehi salahiyat URDU kay liye nuqsaandeh bhee saabit ho rahy hay.

Allah humain apni zabaan kee qadr karnay kee taufiq day.

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed