Page 1 of 1
(EK SHAKHS KE NAAM)
Posted: Thu Jan 05, 2006 11:57 pm
by Ehsan Raza
SUKHANWARANE KALAME SUKHANWAR
TASLIMAAT
BILKUL TAZA DO QITAAT AAPKI SAMATON KI NAZR KAR RAHA HOON APNI AARA SE NAWAZNE KI ZAHMAT GAWARA KAREN
Q I T A
WOH SHAKHS YOUN TO DILO JAN NISAAR KARTA HAI
HER EK DUSHMANE JAANI SE PIYAR KARTA HAI
SHIKAAR KHUD NAHIN KARTA JO KHUD SHIKARI HO
KISI KI PEETH KE PEECHE SE WAR KARTA HAI
Q I T A
APNE CHOLON KE NAYE RANG BADALNE WALON
TEEN RANGON KA TIRANGA NA BADALNE PAYE
ROZ JIS DESH KI MAATA KI QASAM KHATE HO
US HASEEN DESH KI GANGA NA BADALNE PAYE
KHUDA HAFIZ EHSAN BADAUNI
Re: (EK SHAKHS KE NAAM)
Posted: Fri Jan 06, 2006 10:24 am
by jawaid badauni
Azeezi Ehsan SaHab,
Salam aur doayeN
KHOOSHAAMADEED
Aapko yahaN dekh kar bahut Khooshi hoii. MaiN to kab se kah raha tha in chaupaloN ko raunaq baKhshiye magar aap is kaan sunte thay oos kaan uRaa dete thay. Mujhe bahut Khooshi hai Keh Mohatram Abduallah Nazir SaHab ne bilAaKhir aap ko Urdu ke is bandhan meN baaNdh hi liya. Ummid hai ab pabandee se aate jate raheNge.
Aapki kaii ghazaleN aur qitAAt nazar nawaz howay. Sara kalam bahut pasand aaya. Soch raha tha baari baari tabsara karooNga. Mere tabsare meN akcar kuch mashware bhi shamil rahte haiN jin se naujawaan membraan umooman khoosh hi hote haiN kyooNkeh unheN kuch seekhne ko mil jata hai. Aapke qitAAt men sirf teen miSroN ke hawaley se kuch arz karna chaahta tha. Agar aapko yeh tajaweez pasand aayeN to unper amal kar sakte haiN. Sare aam mashwara dene se yeh faidah hota hai keh deegar membraan bhi mustafeed hote haiN aur bhayee yehee in chuapaloN ka maqSad-e ain hai.
SHIKAAR KHUD NAHIN KARTA JO KHUD SHIKARI HAI
Mudarjah bala miSre meN agar aap "hai" kee jagah "ho" kar len to ziyadah munasib hoga. Qitay ke charoN miSrey ek hi radeef per Khatm hoN kuch achcha nahiN lagta.
APNE CHOLON KE NAYE RANG BADALNE WALON
Is miSrey men aap kp WaloN ki jagah WALO likhna chahiye tha. Urdu meN riwaj yeh hai keh agar kisee se muKhatib hokar koii baat kahi jaye to Ghunna Noon istAimal nahiN kiya jata. Jaise: "DostoN ne mujh per karam kiye.....Ai dosto! mujh per karam karo." SuKhanwaroN ne ghazaleN kahiN....ai SuKhanwaro ghazalen kaho."waghairah waghairah.
ROZ JIS DESH KI MAATA KI KHASAM KHATE HO
Aap ne Qasam lafz ko KHASAM likh diya hai. MaiN janta hoon is ghaltee ka raz kya hai. Aaap ki susraal Hyderabad meN hai aur bhaayee susraal kee zubaan ka kuch to aCar paRta hi hai. Mere beshumar Hyderabadi dost akcer QAAF ko KHAY bolte haiN. Magar bhaayee yeh Urdu ki chaupal hai yahaN koii lafz ghalat likhne se naujawanoN ki ghalat rahnumaai ho saktee hai. Waise baat aagyee hai to arz kar dooN keh khaSam bhi Urdu ka hi lafz hai jiske mAAna haiN shauhar.
Ummid hai mashwarey nagaware khatir nah hoNge. Yeh lazim nahiN keh koii member mere tamaam mashwaroN per amal kare.
Khair andesh,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Re: (EK SHAKHS KE NAAM)
Posted: Fri Jan 06, 2006 12:09 pm
by Ehsan Raza
[
MOHATRAM JAWAID BHAI
TASLEEMO NIYAZ MASHWARE KE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON APKEMASHWARE SE (HAI ) KI JAGAH (H0) KARNE SE BEHTRI AAI LEKIN MERE YAHAN HYDERABAD KA FLAVOUR BILKUL NAHIN HAI MAIN QASAM HI LIKHTA HOON AOR QASAM HI BOLTA HOON YAHAN TAK KI APNI NIZAMAT KE DAURAN BHI LOGON KO TOKTA HOON
YEH ROMAN SCRIPT KI NAAHLI HAI (KHASAM ) SIRF TYPING MISTAKE HAI
SITE PER AAPSE RABITA RAHEGA APKE KALAM PER TANQEED KI HAISIYAT TO NAHIN RAKHTA ALLHA HAFIZ
EHSAN BADAUNI
Khushi hei ke aap paabundi se aarahe heiN
Posted: Sat Jan 07, 2006 5:15 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Ehsan Raza Badayuni SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapke qiTAe per MuHtarami o Azeezi Jawaid SaaHib kii aaraa bahut hii mufeed heiN jin se aap ne bhii ittifaaq kiyaa hei.
Jawaid Saahib ne lafz "khaSam" likhkar kahaa hei ke wo bhi urdu kaa lafz hei. Is lafz meiN "Suaad" per sukoon hei. Is liye us ko yooN likhnaa chaahiye :khaSm".
"qasam" ko "khasam" likhne ke baare maiN aap ne vazaahut kardi hei ke uskaa sabab aapki roman meiN kitaabat se naawaaqifiyyat hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Khushi hei ke aap paabundi se aarahe heiN
Posted: Sat Jan 07, 2006 11:06 am
by Ehsan Raza
[ ][/color][/quote]
Mohatram Nazir sahib
moaadibana taslimat
apne roman men sahi kitabat se rooshanas karaya behad mashkoor hoon ummeed hai aap apni aara se mustafeed hone ka mauqa faraham karte rahenge
mukhlis Ehsan Badauni
Posted: Sat Jan 07, 2006 4:33 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab
Aapki granqadr tajveez ke liye aapka marhoone minnat hooN. Albattah, ek nukte per tawajjo ka talib hooN. Agar Khasam lafz ko oos tarah likha jayega jaise aapne farmaya hai yAAni "KHASM" to yeh oos lafz se dhokha kha jayega jo hai to Arabee ka magar ab Urdu wale bhi bolne lage haiN. Is lafz-e Khasm ke mAAna haiN ruyaayat yAAni "discount". Khasm-KhaaS ke ishtehaaraat aap din raat dekhte hi rahte hoNge.
Aapka MuKhliS
Jawaid
MuHtarami o Azeezi Jawaid Badayuni ke liye
Posted: Sat Jan 07, 2006 7:15 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Is mas'ale meiN khaaksaar kii maAloomaat bahut meHdood heiN aur baAZ lughaat kii raushni meiN:
Farhung-e-aasafyah Jild 2 safHah No.197.
KhaSm. Arabic. muzakkar.
1. bairi, dushman, badkhwaah, Aadoo, Hareef, mukhaalif, muqaabil.
2. maalik, aaqaa, khdaavand.
3. shauhar, miaN, khaavind, ghar-waalaa, suwaami, pati, dhani, bhartaar, kanTh, baalum, pee, jaise )khaSm kaa khaye bhayya jii kaa geet gaaye.
=========
Standard Twentieth Century Dictionary (urdu into English) safHa 287..
khaSm.
1. enemy, antagonist.
2. husband.
========
Feroz-ul-lughaat (urdu JaamiA) SafHa No.539..
khaSm. (arabi, urdu)
1. dushman, mukhaalif, bairi.
2. maalik, aaqaa.
3. khaavind, shauhar.
=======
Aur baAZ doosri lughaat meiN bhi yehi maAani paaye jaate heiN.
Yeh sach hei ke Arabi meiN khaSm ke maAni (qeemat meiN se kami karnaa yaAni discount) lekin urdu meiN in maAnoN meiN mustaAmal nahiN hei. kaash ke yeh maAni bhi nayi lughaat meiN shaamil karliye jaayeN jaise Pakistan meiN aek bahut hi Zakheem lughat shayeA houne waali hei usmeN.
Agar maiN ne ghalaT samjhaa hei tou maAziratkhwaah hooN.
Aapkaa mukhliS,
Nazir.
Re: (EK SHAKHS KE NAAM)
Posted: Sun Jan 08, 2006 2:04 pm
by Mahtab Qadr
Wah Wah Wah
Janab Ehsan sahib aap ke Qitaat bahut achay lagay . bahut khoob
Ehsan Raza wrote:SUKHANWARANE KALAME SUKHANWAR
TASLIMAAT
BILKUL TAZA DO QITAAT AAPKI SAMATON KI NAZR KAR RAHA HOON APNI AARA SE NAWAZNE KI ZAHMAT GAWARA KAREN
Q I T A
WOH SHAKHS YOUN TO DILO JAN NISAAR KARTA HAI
HER EK DUSHMANE JAANI SE PIYAR KARTA HAI
SHIKAAR KHUD NAHIN KARTA JO KHUD SHIKARI HAI
KISI KI PEETH KE PEECHE SE WAR KARTA HAI
Q I T A
APNE CHOLON KE NAYE RANG BADALNE WALON
TEEN RANGON KA TIRANGA NA BADALNE PAYE
ROZ JIS DESH KI MAATA KI KHASAM KHATE HO
US HASEEN DESH KI GANGA NA BADALNE PAYE
KHUDA HAFIZ EHSAN BADAUNI