Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

yeh Ghazal aaj hee huyee hai. is kaa raNg aisaa caabit huwaa keh maiN she'r kehne par aayaa to kehtaa hee chalaa gayaa. is dauraaan dil ko ek laZZat-e-kaif-o-suroor sarshaar kartee rahee. isee iHsaas-e-sarKhushee ne majboor kiyaa keh maiN Ghazal faura" hee yahaaN pesh karooN. kyaa a'jab keh aap bh`ee us jaZbeh se lut^f-andoz ho sakeN jis ne yeh Ghazal mujh` se kehalwaayee hai. is bayaan se Khud-sitaayee yaa daad-t^alabee hargiz manz^oor naheeN hai. haaN, aap kee raaYe aur tabSireh kaa yaqeena" muntaz^ir rahooN gaa. shukriya peshagee HaaZ^ir hai!

kehtaa hooN aaj barmalaa "Raz"! maiN qiSSah-e-wafaa
hai koyee dard-aashnaa meHfil-e-soz-o-saaz meN? (Raz Chandpuri)

Sarwar A. Raz "Sarwar"

===============================
GHAZAL:

Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa
ek pardah jo uTh`aa, doosraa pardah niklaa!

manz^ar-e-zeest saraa-sar tah-o-baalaa niklaa
Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa!

ek hee raNg kaa Gham-Khaanah-e-dunyaa niklaa
Gham-e-jaanaaN bh`ee Gham-e-zeest kaa saayaa niklaa!

is rah-e-i'shq ko ham ajnabee samjh`e th`e magar
jo bh`ee patth`ar milaa barsoN kaa shanaasaa niklaa!

aarzoo, Hasrat-o-ummeed, shikaayat, aaNsoo
ik tiraa Zikr th`aa aur beech meN kyaa kyaa niklaa!

jo bh`ee guZraa tiree furqat meN woh achh`aa guZraa
jo bh`ee niklaa miree taqdeer meN achh`aa niklaa!

gh`ar se nikle th`e keh aa,eenah dikh`aaYeN sab ko
Haif! har a'ks meN apnaa hee saraapaa niklaa!

kyoN nah ham bh`ee kareN us naqsh-e-kaf-e-paa kee talaash?
sho'lah-e-t^oor bh`ee to ek bahaanaa niklaa!

jee meN th`aa baiTh` ke kuch` apnee kaheN ge "Sarwar"!
too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!

---------------------
saraasar = sab kaa sb, pooraa
tah-o-baalaa = uth`al-puth`al, barbaad
Gham-Khaanah-e-dunyaa = yeh dunyaa jo GhamoN kaa gh`ar hai
Haif = afsos!
a'ks = aa,eeneh meN shakl
saraapaa = sar se pair tak (shakl)
naqsh = :impression:
kaf-e-paa = paa,ooN kaa talwaa
naqsh-e-kaf-e-paa = pair kaa nishaan, :foot-print:
sho'lah-e-t^oor = t^oor par jaltee huyee aag (mash,hoor hai keh Prophrt "Moosaa" ko t^oor ke pahaaR par aag naz^ar aayee. woh wahaaN gaYe to un ko Khudaa se niyaaz HaaSil huwaa)
Attachments
gg-dhoondtedhoondte_cr.gif
gg-dhoondtedhoondte_cr.gif (14.89 KiB) Viewed 135 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Janab Sarwar SaHab
Aaadab.o.tasleemaat

SubHaan Allah. SubHaan Allah. Kya kahna SaHab. Dil Khoosh ho gaya. Har sher purkaar pukaar ker kah raha hai main ek aise shayar ki takhleeq hooN jis ne jis ne is dasht ki sayahee meN ik umr guzaari hai.

Beshak yeh aisee ghazal nahiN jise gungunaya ya gaya ja sake, yAAni kalam aashiqaanaa kum falsfana ziyadah hai. Aap jaise log hi aise she'r kah sakte haiN hamare bus ki baat nahiN.

Kuch ashAAr nazuk ho gaye hain jo shayad naujawaan membaraan nah samjh sakeN. Aap mushkil lafaz ke mAAna likh kar yeh kaam aasaan kar dete haiN ab maiN aap se yeh to nahiN kah sakta keh mushkil ashAAr ke mAAna bhi likh diya kijiye. :grin:

Daur-e Hazir meN bahut kum shoAra haiN jin se is meyaar ke kalam kee tawaqqo ki ja saktee hai. Mubarakbaad qubool kijiye. Allah aap ka saya hamare saroN per qaa,im rakhkhe.

MuKhliS
Jawaid
Last edited by jawaid badauni on Sun Jan 08, 2006 1:25 pm, edited 1 time in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Waah waah Sarwar SaaHib kyaa kehne

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut ziyaadah muta'ccir houaa aur saare ashAaar saans lete houe, zindagi se bharpoor maAloom houe. Is per yeh khwahish houi ke aapka deebaachah bhi paRhooN. Mera andaazah Theek niklaa ke aapke bhii vohi ehsaasaat heiN jou mere.

Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa
ek pardah jo uTh`aa, doosraa pardah niklaa!

Haqeeqat kii talaash meiN aisaa hii houtaa hei keh aek pardah uThte hii doosraa pardah nazar aataa hei. Lekin wo loag jo Haqeeqat tak pahonch chuke heiN, jinhouN ne zarreh (atom) kii taqseem o teHleel ki, usmeN aek khaaS nizaam ko daryaaft kiyaa jiski tafSeel kii yahaN zaroorat nahiN hei, wo bhi ghair muTma'in heiN. YooN meHsoos houtaa hei ke Khudaa unke saamne khaRaa houaa kehrahaa hei "MaiN tumhaare saamne hooN".

manz^ar-e-zeest saraa-sar tah-o-baalaa niklaa
Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa!

Waah waah, aek talkh Haqeeqt hei samajhne waalaoN ke liye lekin kuch loag apni maaddi khushHaali meiN yeh bhool jaate heiN keh wo bhi tamaashaayi nahiN balkeh tamaasha heiN.

ek hee raNg kaa Gham-Khaanah-e-dunyaa niklaa
Gham-e-jaanaaN bh`ee Gham-e-zeest kaa saayaa niklaa!

Aapke is sheAr ke doosre miSreA se maiN muttafiq nahiN hooN. Agar maiN aapki jagah per houtaa tou kehtaa "gham-e-hasti bhi gham-e-jaanaaN kaa saaya niklaa". Ye meri zaati fikr hei kiyunkeh gham-e-zeest ko saayaa samajhne meiN tou mushkil paidaa nahiN houti wo is liye ke zeest meHkoom hei Haakim nahiN. BaharHaal, mumkin hei ke aapke is maTleA ke mafhoom kii gehraayi ko pahonchne meiN mujhe diqqat pesh aayi hou.

is rah-e-i'shq ko ham ajnabee samjh`e th`e magar
jo bh`ee patth`ar milaa barsoN kaa shanaasaa niklaa!

Jee bahut khoob, waah waah. Lekin aap kaa sheAr keh rahaa hei "kuch aur chaahiye wusAat mire bayaaN ke liye"

aarzoo, Hasrat-o-ummeed, shikaayat, aaNsoo
ik tiraa Zikr th`aa aur beech meN kyaa kyaa niklaa!

Waah waah bahut khoob, agar is sheAr per maiN apni poori shaayeri qurbaan kardooN tou bhii iskaa Haq adaa nahiN karsaktaa.

jo bh`ee guZraa tiree furqat meN woh achh`aa guZraa
jo bh`ee niklaa miree taqdeer meN achh`aa niklaa!

Kyaa kehne Sarwar SaaHib, bahut khoob, aap ne bahut achchi TaraH se shukr adaa kiyaa hei.

gh`ar se nikle th`e keh aa,eenah dikh`aaYeN sab ko
Haif! har a'ks meN apnaa hee saraapaa niklaa!

Yeh bhi zindagi kii aek talkh Haqeeqat hei. Aapka sheAr saans letaa houaa dikhaayi de rahaa hei. Bahut khoob.

kyoN nah ham bh`ee kareN us naqsh-e-kaf-e-paa kee talaash?
sho'lah-e-t^oor bh`ee to ek bahaanaa niklaa!

Jee haaN talaash per koii paabundi nahiN hei lekin nateejah maAloom hei. "lun taraani" yaAni tujh meiN mujhe dekhne kii isakat nahiN hei aur tuu mujhe nahiN dekh sakegaa. Is liye ieemaan bil-gheib zaroori hei.

jee meN th`aa baiTh` ke kuch` apnee kaheN ge "Sarwar"!
too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!

Waah waah bahut khoob, ikhtitaam bhi aap ne aek saans lete houe maqTeA ke saath kiyaa hei.

Is se pahle maiN ijmaali Taur per aapki kisi aur ghazal se isqadar muta'ccir nahiN houaa jisqadar keh is ghazal se. Is shaahkaar ghazal per khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

User avatar
Ehsan Raza
-
-
Posts: 46
Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
Location: Makkah, Saudi-Arabia
Contact:

Re: Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa!

Post by Ehsan Raza »

[
MOHATRAM SARWAR RAAZ SHEB
TASLIMAT, APKI IS DARJA KHOOBSOORAT GHAZAL NAZR SE GUZRI LAGTA HAI AAPNE ZINDAGI KE TAMAM SHOBON SHOBA-E TILISM SHOBA-E FAREB AUR SHOBA-E SARAB KO BAHUT QAREEB SE DEKHA HAI AOR BAHOOT KHOOBSOORAT ANDAAZ MEN ISKI TARJUMANI KI HAI
JABKE IS TARHA KE HAALAAT MEN TAGHAZZUL KO QAYEM RAKHNA MUSHKIL TAREEN KAAM HAI LEKIN APKE SHERI AOR FANNI KAMAL NE IS MUSHKIL KO KHOOBSSRTI SE HAL KAR DIYA
BAHUT BAHUT MUBARAK HO
MUKLIS EHSAN BADAUNI
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

jawaid badauni wrote:
Janab Sarwar SaHab
Aaadab.o.tasleemaat

SubHaan Allah. SubHaan Allah. Kya kahna SaHab. Dil Khoosh ho gaya. Har sher purkaar pukaar ker kah raha hai main ek aise shayar ki takhleeq hooN jis ne jis ne is dasht ki sayahee meN ik umr guzaari hai.

Beshak yeh aisee ghazal nahiN jise gungunaya ya gaya ja sake, yAAni kalam aashiqaanaa kum falsfana ziyadah hai. Aap jaise log hi aise she'r kah sakte haiN hamare bus ki baat nahiN.

Kuch ashAAr nazuk ho gaye hain jo shayad naujawaan membaraan nah samjh sakeN. Aap mushkil lafaz ke mAAna likh kar yeh kaam aasaan kar dete haiN ab maiN aap se yeh to nahiN kah sakta keh mushkil ashAAr ke mAAna bhi likh diya kijiye. :grin:

Daur-e Hazir meN bahut kum shoAra haiN jin se is meyaar ke kalam kee tawaqqo ki ja saktee hai. Mubarakbaad qubool kijiye. Allah aap ka saya hamare saroN per qaa,im rakhkhe.

MuKhliS
Jawaid
muHtaramee Jawaid SaaHeb: aadaab!

maiN aap kaa mamnoon hooN keh itne achh`e alfaaz^ meN Ghazal par tabSirah kiyaa. qadr-daanee ke liYe shukriyah qubool keejiYe.

aap ne kuch` ash,a'ar ke :naazuk: ho jaane kaa Zikr kiyaa hai keh shaayad nau-aamoz dostoN ko aasaanee se na samajh` meN aaYeN. ek to mujh` ko un se Husn-e-z^an hai! doosre jo chaahe gaa meHnat se samajh` le gaa! jo naheeN chaahe gaa us se mujh` ko koyee shikaayat naheeN hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa!

Post by Sarwar A. Raz »

Ehsan Raza wrote:[
MOHATRAM SARWAR RAAZ SHEB
TASLIMAT, APKI IS DARJA KHOOBSOORAT GHAZAL NAZR SE GUZRI LAGTA HAI AAPNE ZINDAGI KE TAMAM SHOBON SHOBA-E TILISM SHOBA-E FAREB AUR SHOBA-E SARAB KO BAHUT QAREEB SE DEKHA HAI AOR BAHOOT KHOOBSOORAT ANDAAZ MEN ISKI TARJUMANI KI HAI
JABKE IS TARHA KE HAALAAT MEN TAGHAZZUL KO QAYEM RAKHNA MUSHKIL TAREEN KAAM HAI LEKIN APKE SHERI AOR FANNI KAMAL NE IS MUSHKIL KO KHOOBSSRTI SE HAL KAR DIYA
BAHUT BAHUT MUBARAK HO
MUKLIS EHSAN BADAUNI
mukarram-e-bandah Ehsan SaaHeb:aadaab a'rZ^!

nawaazish aur yaad-aawaree ke liYe shukriyah! aap kaa kalaam yahaaN dekh`aa hai lekin ab tak kuch` likh` naheeN sakaa hooN. yeh ma'loom howaa keh aap bh`ee Saudia meN haiN. aisaa ma'loom hotaa hai keh wahaaN Urdu shaa,i'ree zindah hee naheeN jawaan bh`ee hai!

inshaa-Allah mulaaqaat rahe gee.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Waah waah Sarwar SaaHib kyaa kehne

Post by Sarwar A. Raz »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut ziyaadah muta'ccir houaa aur saare ashAaar saans lete houe, zindagi se bharpoor maAloom houe. Is per yeh khwahish houi ke aapka deebaachah bhi paRhooN. Mera andaazah Theek niklaa ke aapke bhii vohi ehsaasaat heiN jou mere.

Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa
ek pardah jo uTh`aa, doosraa pardah niklaa!

Haqeeqat kii talaash meiN aisaa hii houtaa hei keh aek pardah uThte hii doosraa pardah nazar aataa hei. Lekin wo loag jo Haqeeqat tak pahonch chuke heiN, jinhouN ne zarreh (atom) kii taqseem o teHleel ki, usmeN aek khaaS nizaam ko daryaaft kiyaa jiski tafSeel kii yahaN zaroorat nahiN hei, wo bhi ghair muTma'in heiN. YooN meHsoos houtaa hei ke Khudaa unke saamne khaRaa houaa kehrahaa hei "MaiN tumhaare saamne hooN".

manz^ar-e-zeest saraa-sar tah-o-baalaa niklaa
Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa!

Waah waah, aek talkh Haqeeqt hei samajhne waalaoN ke liye lekin kuch loag apni maaddi khushHaali meiN yeh bhool jaate heiN keh wo bhi tamaashaayi nahiN balkeh tamaasha heiN.

ek hee raNg kaa Gham-Khaanah-e-dunyaa niklaa
Gham-e-jaanaaN bh`ee Gham-e-zeest kaa saayaa niklaa!

Aapke is sheAr ke doosre miSreA se maiN muttafiq nahiN hooN. Agar maiN aapki jagah per houtaa tou kehtaa "gham-e-hasti bhi gham-e-jaanaaN kaa saaya niklaa". Ye meri zaati fikr hei kiyunkeh gham-e-zeest ko saayaa samajhne meiN tou mushkil paidaa nahiN houti wo is liye ke zeest meHkoom hei Haakim nahiN. BaharHaal, mumkin hei ke aapke is maTleA ke mafhoom kii gehraayi ko pahonchne meiN mujhe diqqat pesh aayi hou.

is rah-e-i'shq ko ham ajnabee samjh`e th`e magar
jo bh`ee patth`ar milaa barsoN kaa shanaasaa niklaa!

Jee bahut khoob, waah waah. Lekin aap kaa sheAr keh rahaa hei "kuch aur chaahiye wusAat mire bayaaN ke liye"

aarzoo, Hasrat-o-ummeed, shikaayat, aaNsoo
ik tiraa Zikr th`aa aur beech meN kyaa kyaa niklaa!

Waah waah bahut khoob, agar is sheAr per maiN apni poori shaayeri qurbaan kardooN tou bhii iskaa Haq adaa nahiN karsaktaa.

jo bh`ee guZraa tiree furqat meN woh achh`aa guZraa
jo bh`ee niklaa miree taqdeer meN achh`aa niklaa!

Kyaa kehne Sarwar SaaHib, bahut khoob, aap ne bahut achchi TaraH se shukr adaa kiyaa hei.

gh`ar se nikle th`e keh aa,eenah dikh`aaYeN sab ko
Haif! har a'ks meN apnaa hee saraapaa niklaa!

Yeh bhi zindagi kii aek talkh Haqeeqat hei. Aapka sheAr saans letaa houaa dikhaayi de rahaa hei. Bahut khoob.

kyoN nah ham bh`ee kareN us naqsh-e-kaf-e-paa kee talaash?
sho'lah-e-t^oor bh`ee to ek bahaanaa niklaa!

Jee haaN talaash per koii paabundi nahiN hei lekin nateejah maAloom hei. "lun taraani" yaAni tujh meiN mujhe dekhne kii isakat nahiN hei aur tuu mujhe nahiN dekh sakegaa. Is liye ieemaan bil-gheib zaroori hei.

jee meN th`aa baiTh` ke kuch` apnee kaheN ge "Sarwar"!
too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!

Waah waah bahut khoob, ikhtitaam bhi aap ne aek saans lete houe maqTeA ke saath kiyaa hei.

Is se pahle maiN ijmaali Taur per aapki kisi aur ghazal se isqadar muta'ccir nahiN houaa jisqadar keh is ghazal se. Is shaahkaar ghazal per khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

mukarramee Nazir SaaHeb: tasleemaat!

aap kaa itnaa mufaSSil aur faSeeH-o-baleeGh tabSirah dekh` kar maiN soch meN paR gayaa keh "ab kyaa kahooN aur kaise kahooN?" har she'r par aap ke Haashiyeh kaa jawaab denaa besood ho gaa. mere paas woh alfaaz^ hee naheeN haiN jo aap kee teHreer kaa Haq adaa kar sakeN. liHaaz^ah Sirf :shukriyah: kehne par iktifaa kartaa hooN! ummeed hai keh mere dil kee aawaaz aap tak poNhach jaaYe gee.

aap ne ek she'r ke Hawaaleh se likh`aa hai keh:

{ek hee raNg kaa Gham-Khaanah-e-dunyaa niklaa
Gham-e-jaanaaN bh`ee Gham-e-zeest kaa saayaa niklaa!

Aapke is sheAr ke doosre miSreA se maiN muttafiq nahiN hooN. Agar maiN aapki jagah per houtaa tou kehtaa "gham-e-hasti bhi gham-e-jaanaaN kaa saaya niklaa". Ye meri zaati fikr hei kiyunkeh gham-e-zeest ko saayaa samajhne meiN tou mushkil paidaa nahiN houti wo is liye ke zeest meHkoom hei Haakim nahiN. BaharHaal, mumkin hei ke aapke is maTleA ke mafhoom kii gehraayi ko pahonchne meiN mujhe diqqat pesh aayi hou.}

mujh` ko apne Khayaal meN koyee jh`ol naz^ar naheeN aayaa. yeh to mumkin hai keh :hastee: ho aur :Gham-e-jaanaaN: nah ho lekin yeh mumkin naheeN hai keh :hastee: nah ho aur :Gham-e-jaanaaN: maujood ho. goyaa bunyaadee cheez :hastee: hee hai aur is liYe she'r kee mant^iq SaHeeH hai. kam se kam meraa yehee Khayaal hai.

aap kee daad-o-teHseen kaa dilee shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa!

Post by Shummu »

Wah wah wah wah wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!! :shock:

Kya ghazab ki ghazal sunaayi hai Mohtaram Sarwar sahab aapne...............wahhhhhhhhhhh..........Qasam se masroor ho gayi sunke.........ek ek sher lajawaab! 8)

samajh hi nahi aa raha kin alfaaz mein daad doon.........

beintehaa pasand aayi aapki ghazal....achcha hua jo aapne hum logon ke saath share kar liya warna hum to mehroom hi reh jaate aise khoobsurat kalaam se...

Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa
ek pardah jo uTh`aa, doosraa pardah niklaa!
--wahhhhhhhhhhhh!Behtareen matla..........
manz^ar-e-zeest saraa-sar tah-o-baalaa niklaa
Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa!

--iska doosra misra bahut bahut pasand aaya......'Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa....'wahhhhhhhhhhhhh!

is rah-e-i'shq ko ham ajnabee samjh`e th`e magar
jo bh`ee patth`ar milaa barsoN kaa shanaasaa niklaa!
--go ke puraana khayaal hai magar jis khoobsurati se aapne likha hai ke daad na dena na insaafi hogi....wah..bahut khoob....
aarzoo, Hasrat-o-ummeed, shikaayat, aaNsoo
ik tiraa Zikr th`aa aur beech meN kyaa kyaa niklaa!
--wah...Bahut hi khoob...!
gh`ar se nikle th`e keh aa,eenah dikh`aaYeN sab ko
Haif! har a'ks meN apnaa hee saraapaa niklaa!
--kya kehneeeeeee..........zabardast........
jee meN th`aa baiTh` ke kuch` apnee kaheN ge "Sarwar"!
too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!
--Wahhhhhhhhh kya maqta hai.............bahut bahut umda.........'too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!' Aah...kya baat kahi hai aapne....

Sarwar sahab meri daad se aapko andaaza to ho hi gaya hoga keh kis qadar humein aap ka kalaam pasand aaya hai........ab agar aapki mutarannum awaaz mein ye ghazal sunne ko mil jaaye to kya kehne.......ummeed hai aap is baat pe ghaur farmaayenge :mrgreen:

Duaoon mein yaad rakhiyega aur main chali phir se aapki ghazal paRhne :P

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa!

Post by Sarwar A. Raz »

Shummu wrote:Wah wah wah wah wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!! :shock:

Kya ghazab ki ghazal sunaayi hai Mohtaram Sarwar sahab aapne...............wahhhhhhhhhhh..........Qasam se masroor ho gayi sunke.........ek ek sher lajawaab! 8)

samajh hi nahi aa raha kin alfaaz mein daad doon.........

beintehaa pasand aayi aapki ghazal....achcha hua jo aapne hum logon ke saath share kar liya warna hum to mehroom hi reh jaate aise khoobsurat kalaam se...

Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa
ek pardah jo uTh`aa, doosraa pardah niklaa!
--wahhhhhhhhhhhh!Behtareen matla..........
manz^ar-e-zeest saraa-sar tah-o-baalaa niklaa
Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa!

--iska doosra misra bahut bahut pasand aaya......'Ghaur se dekh`aa to har shaKhS tamaashaa niklaa....'wahhhhhhhhhhhhh!

is rah-e-i'shq ko ham ajnabee samjh`e th`e magar
jo bh`ee patth`ar milaa barsoN kaa shanaasaa niklaa!
--go ke puraana khayaal hai magar jis khoobsurati se aapne likha hai ke daad na dena na insaafi hogi....wah..bahut khoob....
aarzoo, Hasrat-o-ummeed, shikaayat, aaNsoo
ik tiraa Zikr th`aa aur beech meN kyaa kyaa niklaa!
--wah...Bahut hi khoob...!
gh`ar se nikle th`e keh aa,eenah dikh`aaYeN sab ko
Haif! har a'ks meN apnaa hee saraapaa niklaa!
--kya kehneeeeeee..........zabardast........
jee meN th`aa baiTh` ke kuch` apnee kaheN ge "Sarwar"!
too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!
--Wahhhhhhhhh kya maqta hai.............bahut bahut umda.........'too bh`ee kam-baKht! zamaaneh kaa sataayaa niklaa!' Aah...kya baat kahi hai aapne....

Sarwar sahab meri daad se aapko andaaza to ho hi gaya hoga keh kis qadar humein aap ka kalaam pasand aaya hai........ab agar aapki mutarannum awaaz mein ye ghazal sunne ko mil jaaye to kya kehne.......ummeed hai aap is baat pe ghaur farmaayenge :mrgreen:

Duaoon mein yaad rakhiyega aur main chali phir se aapki ghazal paRhne :P

Shumaila
a'zeezah Shumailah: aadaab aur du,a'a!

Urdu meN ek muHaawirah a'am hai "daad ke DoNgre barsaanaa"! so meree Ghazal par aap kee daad-o-teHseen isee zumreh meN aatee hai! Khat^ paRh kar dil nihaayat Khush huwaa [apnee ta'reef se kaun naheeN Khush hotaa? :-) ]. saath` hee yeh bh`ee Khayaal aayaa keh "kyaa waaqi,e'e Ghazal aisee hee th`ee?". aap paRh kar is darjeh masroor huyeeN to yeh meree kaamyaabee kee hee daleel huyee? maiN aap kee muHabbat aur i'naayat kaa dilee mamnoon hooN. aur du,a'a-go bh`ee! Khush rahiYe.

aaj-kal meN ek aur Ghazal pesh karooN gaa. us ko bh`ee dekh` leN. yeh aur hee raNg meN hai! jahaaN tak Ghazal ko apnee aawaaz meN pesh karne kaa sawaal hai to ma'loom naheeN ke apnee site ke i'laawah aur kahaaN aisaa ho saktaa hai. iraadah hai keh ek-aadh` din meN apnee site par is ko aap kee naZr kar dooN. sun kar bataa,iYe gaa keh Ghazal kee adaa,igee aap kee tawaqqu,a'at par pooree utree keh naheeN! shukriyah peshagee le leejiYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Dh`ooNDte Dh`ooNDte Khud ko maiN kahaaN jaa niklaa!

Post by Shummu »

Sarwar Raz wrote: a'zeezah Shumailah: aadaab aur du,a'a!

Urdu meN ek muHaawirah a'am hai "daad ke DoNgre barsaanaa"! so meree Ghazal par aap kee daad-o-teHseen isee zumreh meN aatee hai! Khat^ paRh kar dil nihaayat Khush huwaa [apnee ta'reef se kaun naheeN Khush hotaa? :-) ]. saath` hee yeh bh`ee Khayaal aayaa keh "kyaa waaqi,e'e Ghazal aisee hee th`ee?". aap paRh kar is darjeh masroor huyeeN to yeh meree kaamyaabee kee hee daleel huyee? maiN aap kee muHabbat aur i'naayat kaa dilee mamnoon hooN. aur du,a'a-go bh`ee! Khush rahiYe.

aaj-kal meN ek aur Ghazal pesh karooN gaa. us ko bh`ee dekh` leN. yeh aur hee raNg meN hai! jahaaN tak Ghazal ko apnee aawaaz meN pesh karne kaa sawaal hai to ma'loom naheeN ke apnee site ke i'laawah aur kahaaN aisaa ho saktaa hai. iraadah hai keh ek-aadh` din meN apnee site par is ko aap kee naZr kar dooN. sun kar bataa,iYe gaa keh Ghazal kee adaa,igee aap kee tawaqqu,a'at par pooree utree keh naheeN! shukriyah peshagee le leejiYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

arey wah zaroor zaroor kyon nahi..zaroor sunungi aur aapko bataoongi kaisi lagi....shukriya waise itni jaldi meri khwaaish poori karne ke liye :grin: aapki nayi ghazal ka bhi intizaar rahega :-)