Ehsaan sahib aadaab
bhai bahut khoob aapne to aik purani sinf e sukhan ki yaad taaza karke maza dobaala kardia hai, warna aajkal kaun mustazaad kahta hai.bahut shukria har sher bahut pasand aaya aur bahut lutf aaya mustazaad parhne ka.
ik soo khushiyan eid milan ki ik soo rang bahaar
chhoRo yaar
sabke apne apne mazhab apne hain teohar
chhoRo yaar
wah waah bahut khooob
mandir, masjid, deeno, mazhab, sab jhgreh bekaar
chhoRo yaar
ek hi allah, ek hi eeshwar, ekhi palanhaar
chhoRo yaar
waah beshak asl mai to sab ka aik hi palanhaar hai ismai koi shuba nahi
pahle dil ki shiryano men piyaar ka darya bahta tha
lekin ab her goshe men hai nafrat ki deewar
chhoRo yaar
wah waah lagta hai aapne microscope se mushahida karlia hai iska apni lab. mai ;)
jhoota sa ik khuab lage hai lafzon ki ik chader oreh
khusboo, aankhen , piyar ,mohabbat , lab , rukhsaar
chhoRo yaar
wah waah bahut achay bhai bahut barhi haqeeqat hai
zulmat ki is tez hawa men kaun tiri awaz sunega
jitne hain insaaf ke paiker goonge, bahre, sab bekar
chhoRo yaar
la jawaab sher hai wah wah
kal tak dil ki nagri per insaaf ka jaadoo chalta tha
aaj wohi hai bhagya widhata jiski hai hai sarkar
chhoRo yaar
ye sher poori tarah samajh mai nahi aaye mai qaumi taraane ke in shabdoN ka mafhoom nahi samajh saka. :)
tumko to e h s a n abhi kuch aor safar taiy karne hain
eikhi sajde men ban baithey jannat ke haqdaar
chhoRo yaar
wah waah
shukria
Mahtab Qadr
Ehsan Raza wrote:
mohtarmeen sukhanwaran-e “Kalame SuKhanwar"
aadabo tasleem ke saath bakraeed ki purkhuloos mubarakbaad
ek bilkul taza ghazal aapki samaaton ke hawale ker raha hoon
yaqeenan hauslaafzi farmayengey.
(ek ghazal ba andaze mustazaad)
ik soo khushiyan eid milan ki ik soo rang bahaar
chhoRo yaar
sabke apne apne mazhab apne hain teohar
chhoRo yaar
mandir, masjid, deeno, mazhab, sab jhgreh bekaar
chhoRo yaar
ek hi allah, ek hi eeshwar, ekhi palanhaar
chhoRo yaar
pahle dil ki shiryano men piyaar ka darya bahta tha
lekin ab her goshe men hai nafrat ki deewar
chhoRo yaar
jhoota sa ik khuab lage hai lafzon ki ik chader oreh
khusboo, aankhen , piyar ,mohabbat , lab , rukhsaar
chhoRo yaar
zulmat ki is tez hawa men kaun tiri awaz sunega
jitne hain insaaf ke paiker goonge, bahre, sab bekar
chhoRo yaar
kal tak dil ki nagri per insaaf ka jaadoo chalta tha
aaj wohi hai bhagya widhata jiski hai hai sarkar
chhoRo yaar
tumko to e h s a n abhi kuch aor safar taiy karne hain
eikhi sajde men ban baithey jannat ke haqdaar
chhoRo yaar
mukhlis
Ehsan Badauni