"gheebat nah keejiye"nazm peashe khidmat hai
Posted: Wed Jan 18, 2006 5:11 am
salaamun alaikum
dosto
gheebat per ek nazm kehne ki koshish kee hai.
umeed hai aap sabko pasand aayegi.
arz kiya hai
bhaai ghareeb shakhs se nafrat nah keejiye
kamzarf aadmi se mohabbat nah keejiye
bachna agar hai aapko sh^olo.n se naar ke
haa.n rahm khud pe khaaiye gheebat nah keejiye
gheebat ka karna sunna yeh dono.n haraam hai.n
hai.n aag aisee mehfile.n shirkat nah keejiye
buzdil hi waar karte hai.n peeche se dosto
aisay munaafiqeen ki ^ezzat nah keejiye
ruswa nah keejiye keh hai insaan mohtaram
murdo.n ka gosht khaane ki hujjat nah keejiye
haamid ko ^ilm aapki khaslat ka hai janaab
"izhaare iltefaat ki zahmat nah keejiye"
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah