Hasrat-o-yaas ko ruKhSat kiyaa ikraam ke saath`!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Hasrat-o-yaas ko ruKhSat kiyaa ikraam ke saath`!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!

aaj ek Ghazal huyee to sochaa keh Hindustan jaate jaate aap kee naZr kartaa chalooN. wahaaN ma'loom naheeN keh shaa,i'ree kaa kyaa Haal ho! yooN bh`ee idh`ar-udh`ar :aawaa-gawan: ho gaa. aise meN she'r-goyee mushkil hee ho gee.

is Ghazal kee zameen dilchasp hai. maiN is ko munfarid to naheeN kahooN gaa kyoN.k yaqeena" is meN logoN ne pehle bh`ee GhazaleN kahee haiN. Akbar Allahabadi kee ek miZaahiyah Ghazal yaad aa rahee hai. bal.k yooN kehnaa chaahiYe keh ek Ghazal kaa ek miSra' yaad aa rahaa hai! pooree Ghazal kisee ko ma'loom ho to Z^aroor sunaaYe. un kaa miSra' yooN hai:

ranj Mister ko bohat hai magar aaraam ke saath`!

to ab aap Ghazal suniYe. daad chaahe deN yaa nah deN kam se kam apnee raaYe aur ta,accuraat se aagaah Z^aroor kar deN. shukriyah abh`ee peshagee qubool farmaaYeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

=========================
GHAZAL:

Hasrat-o-yaas ko ruKhSat kiyaa ikraam ke saath`
i'shq meN apnee to guZree baRe aaraam ke saath`!

laZZat-e-kufr mile laZZat-e-Islam ke saath`
naam aa jaaYe agar meraa tire naam ke saath`!

e'tibaar aaYe bh`ee to kis t^araH aaYe tujh` par?
raNg-e-zunnaar bh`ee hai tuhmat-e-iHraam ke saath`!

paas aate gaYe woh Khwaab meN leHz^ah leHz^ah
door hotee gayee manzil miree har gaam ke saath`

waah! yeh Khoobee-e-qismat keh sar-e-shaam-e-umeed
us kaa paiGhaam jo aayaa bh`ee to ilzaam ke saath`!

aa,o ham mil ke nayee raah-e-muHabbat Dh`ooNDeN
kab talak koyee nibaahe rawish-e-a'am ke saath?

Hasrat-o-aarzoo, ummeed-o-tamannaa, armaaN!
laakh` aazaar lage haiN saHar-o-shaam ke saath`!

kyaa hee aate haiN maze donoN jahaaN ke "Sarwar"
gardish-e-jaam bh`ee hai gardish-e-ai,yyaam ke saath!

------------------------
ikraam = i'zzat, iHtiraam
tuhmat = ilzaam
zunnaar = woh dh`aagaa jo Brahmin badan par baaNdh`te haiN, jane,oo
iHraam = Haj kaa KhaaS libaas
gaam = qadam
sar-e-shaam-e-umeed = ummeed kee shaam hote hee
rawish-e-a'am = a'am logoN kaa t^areeqah
aazaar = dukh`
Attachments
gg-aaraamkesaath_cr.gif
gg-aaraamkesaath_cr.gif (13.55 KiB) Viewed 77 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

Aapki taazah ghazal paRhkar bahut khushi houi jis se mujhe bahut kuch seekhne ko milaa. Is munfarid takhleeq per khaaksaar ki dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Yeh bhi maAloom houaa ke aap Hindustan jaarahe heiN lekin mustaqbil meiN ghazal goyie ke taAalluq se izhaar-e-mayhoosi kaa Haqeeqi sabab maloom nah housakaa. Khudaa kare ke aapke saath taa Hayaat aisaa kabhi nah hou ke ppni khudaadaad fiTri ghazal-goiee se gurez karne per majboor houjaayeN.

Meri tamaam neik tamannayeN aapke saath heiN aur Khuda se duAaa hei ke aapko seHHet-e-davaam ATaa farmaye aur dunyavi aur aakhirat kii niAmataoN se navaaze.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

Ghazal kee paZeeraayee aur daad ke liYe saraapaa sipaas hooN! du,a'a meN yaad kar liyaa keejiYe: aur darwaish kee Sadaa kyaa hai!

Ghazal-goyee ke Hawaaleh se shaayad maiN apnaa mat^lab waaZ^eH naheeN kar sakaa aur aap ko Ghalat^-fehmee ho gayee. maiN yeh kehnaa chaahataa th`aa keh qayaam-e-Hindustan ke dauraan shaayad Ghazal kehne kaa waqt nah mile. wahaaN bh`aag-dauR kee kaifiyyat kaa saamna hotaa hai aur shaa,i'ree pas-e-pusht ho jaatee hai. mustaqbil meN ba-shart^-e-zindagee-o-SeHat yeh shaGhl jaaree rakh`ne kaa iraadah hai, inshaa-Allah! :-)

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply