Abdullah bhai , salam e masnoon
Aapki Ghazal phir aapki ghazal hai, mai to parh kar sardhunta hi raha bahut lutfayaa zaban o bayan ka bhi jawab nahi aur tashbeehat o isteyare bhi khoob haiN.
apnaa moNh mouRke jalte houe rukhsaar ke saath
haye kyaa tuHfah diyaa furSat-e-deedaar ke saath
wah wah jalte huve rukhsar ke sath moNh morhna aur tohfah ke jawab nahi
kyaa taqaabul bhalaa unkaa mire kirdaar ke saath
chaal bhi jinki badal jaati hei guftaar ke saath
wah wah chal ka guftaar ke sath badal jaana bahut khoob hai
saazish-e-qatl hei kiyuN pyaar ke izhaar ke saath
naazuk-andaam kaa kyaa rishtah hei talvaar ke saath
wah wah huzoor nazukandamoN ka to talvaar ke sath hamesha hi rishta rahe hai unhi ke lye dunya mai barhe qatl o khoN huve haiN :)
khaana-e-dil ko mire Dhaayegaa lekin zaalim
teri taSveer bhi girjaayegi deevaar ke saath
wah bahut khoob naya khyal pesh farmaya aapne
kis ko apnaa kaheN aur kis ko paraayaa samjheN
doust bhi jabkeh mulavvac houe aghyaar ke saath
waah khoob
souz-e-dil, zakhm-e-jigar, aah o fughaaN, karb-e-nafas
mujhko kyaa kyaa nah milaa qurbat-e-dildaar ke saath
bahut umdah tarkeeb hai wah wah
wo baharHaal banaadete heiN deewaanah mujhe
kabhi iqraar ke saath aur kabhi inkaar ke saath
wah wah
maut maangooN bhi tou milti nahiN mujhko yaarub
kaisaa inSaaf hei yeh tere Talabgaar ke saath
aray nahi bhai abhi aapki zaroorat hai urdu adab aur uske talabgaroNko hamari to dua hai ke Allah aapko sahet o afiat ke sath ta dair adabi ufaq par salamat rakhe.aameen
koiee manzil ki jihat hei nah khabar hei :Nazir:
luT nah jaayeN kahiN ham qaafilah-saalaar ke saath.
wah waah bahut khoob waqai haqeeqat ka izhaar hai.
aapka mukhlis
Mahtab Qadr
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS tasleemaat,
Apni aek taazah ghazal pesh karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke apni giraaNqadr aaraa se navaazkar shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
apnaa moNh mouRke jalte houe rukhsaar ke saath
haye kyaa tuHfah diyaa furSat-e-deedaar ke saath
kyaa taqaabul bhalaa unkaa mire kirdaar ke saath
chaal bhi jinki badal jaati hei guftaar ke saath
saazish-e-qatl hei kiyuN pyaar ke izhaar ke saath
naazuk-andaam kaa kyaa rishtah hei talvaar ke saath
khaana-e-dil ko mire Dhaayegaa lekin zaalim
teri taSveer bhi girjaayegi deevaar ke saath
kis ko apnaa kaheN aur kis ko paraayaa samjheN
doust bhi jabkeh mulavvac houe aghyaar ke saath
souz-e-dil, zakhm-e-jigar, aah o fughaaN, karb-e-nafas
mujhko kyaa kyaa nah milaa qurbat-e-dildaar ke saath
wo baharHaal banaadete heiN deewaanah mujhe
kabhi iqraar ke saath aur kabhi inkaar ke saath
maut maangooN bhi tou milti nahiN mujhko yaarub
kaisaa inSaaf hei yeh tere Talabgaar ke saath
koiee manzil ki jihat hei nah khabar hei :Nazir:
luT nah jaayeN kahiN ham qaafilah-saalaar ke saath.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.