Page 1 of 1

Taza Ghazal (Tarahee Mushaairah Urdu Duniya)

Posted: Thu Jan 19, 2006 5:32 pm
by jawaid badauni

Dosto! Salam

Urdu Duniya ke mushaairey ke liye ek ghazal Haal hi
meN kahee thee jo aap ki azr kar rahaa hooN.
Ummid hai apni graNqadr aara se nawaazker mujhe
mamnoon farmayeNge.

MuKhliS
Jawaid Badauni

---------------------------------------------------------------------------------



"jin dinoN daur-e qamar tha woh zamanah kya hoowa"



dekh kar mujhko tumhara muskurana kya hoowa
kuch to batlaao woh Tarz-e muKhliSaanah kya hoowaa


Ek din Khood zulm ik zaalim se yooN kahne lagaa
Ai bashar tera mizaaje muncifaanaa kya hoowaa


ek pal meN saare Gham karne lage ooska Tawaaf
maikadey se ek maikush ghar rawana kya hoowaa


mujhko bus iskee Khooshee gulshan miraa aabaad hai
tumko iska gham tumhara aashiyanah kya hoowaa


poocho teer andaaz se mere woh kyooN larzaan hai aaj
dil pe lagta tha jo seedha woh nishana kya hoowaa


sookhne ko hai paseenah ho chukee meHnat tamaam
seTh ji meHnatkashoN ka meHntanah kya hoowaa


aaj jis jaanib bhi dekho teergee ka raaj hai
"jin dinoN daur-e qamar tha woh zamanah kya hoowaa"


KheeNch laayee sheikh ko :Jawaid: Khooshboo-e sharaab
raah-e maiKhanah se unkaa aana jaana kya hoowaa

-------------------------------------------------------------------

Bahut khoob waah waah

Posted: Fri Jan 20, 2006 7:57 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

Aapki ghazal mujhe beHad pasand aayi jiske liye dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

dekh kar mujhko tumhara muskurana kya hoowa
kuch to batlaao woh Tarz-e muKhliSaanah kya hoowaa


Waah waah bahut khoob maTlaA hei. Lafz "Tarz" mouannac aur muzakkar dounone jins kii Haiciat se jaayhiz hei.

Zulm Khood ik roz ahl-e zulm se kahne lagaa
Ai bashar tera mizaaj-e munSifaanah kya hoowaa


ahl-e-zulm ki tarkeeb saHeeH tou hei lekin mujhe apne mizaaj ke khilaaf meHsoos houji. SheAr bahut hi achchaa hei.

ek pal meN saare Gham karne lage ooska Tawaaf
maikadey se ek maikush ghar rawana kya hoowaa


jee yeh sheAr bhii khoob hei.

mujhko bus iskee Khooshee gulshan miraa aabaad hai
tumko iska gham tumhara aashiyanah kya hoowaa


Bahut achchaa sheAr hei waah waah. Dekhne meiN is sheAr meiN shutar gurbah maAloom houtaa hei lekin aisi koii baat nahiN. pahle miSreA meiN mutakallim aek hei aur doosre miSreA meiN "tumo" bhi mufrad hei lekin hamaara aashiyaanah (se muraad tumhaara aur meraa). Is TaraH is meiN koii shutar gurbah nahiN hei.

[upoocho teer andaaz se mere woh kyooN larzaan hai aaj
dil pe lagta tha jo seedha woh nishana kya hoowaa [/u]

waah yeh tou khaaliS ghazal kaa sheAr hougayaa hei. kyaa kehne.

sookhne ko hai paseenah ho chukee meHnat tamaam
seTh ji meHnatkashoN ka meHntanah kya hoowaa


yeh tou taraqqi pasan shaaAiraoN ke usloob-e-bayaan kaa sheAr hei lekin maAnavi liHaaz se bahut hii achchaa hei.

aaj jis jaanib bhi dekho teergee ka raaj hai
"jin dinoN daur-e qamar tha woh zamanah kya hoowaa"


Waah waah bahut hi achchi gireh lagaayi hei aap ne.

KheeNch laayee sheikh ko :Jawaid: Khooshboo-e sharaab
raah-e maiKhanah se unkaa aana jaana kya hoowaa


MaqTeA meiN aapaRi hei sukhan gustaraanah baat. Shekh Saahib tou usi raah per gaamzan heiN isi liye tou maikade kii ziyaarat karli aur khushooay-e-sharaab kaa kuch tou nateejah niklaa hougaa. Ab un se kyaa poochnaa ke is raah meiN unkaa aanaa jaanaa kyaa houaa kiyunkeh "chuTi nahiN hei monh se yeh kaafir lagi houi".

Bahut bahut mubaarak ho is kaamyaab ghazal per.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Fri Jan 20, 2006 9:23 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab,
Aadaab

Aapke mufaCCil tabsarey aur himmat afzaaii ke liye aap ka mamnoon hooN. Aap ne ghazal ko pasand farmaya yeh mere liye goya ek sanad hai.

MaiN ne aap ki graNqadr raaye ke peshe nazar apna miSra badal ker yooN kar liya hai:

Ek din Khood zulm ik zaalim se yooN kahne lagaa
Ai bashar tera mizaaje muncifaanaa kya hoowaa

Ummid hai aaindah bhi apnee aara se nawazte raheNge.

Ek baar phir buhat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid