Page 1 of 1

hameN Khudaa kee qasam! yaad aa,iyaaN kyaa kyaa!

Posted: Sat Jan 21, 2006 3:54 am
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-meHfil: tasleemaat!

:Internet: kee ek Urdu meHfil meN Faiz Ahmad "Faiz" kaa ek miSra' t^araH ke t^aur par diyaa gayaa hai aur sab se us par t^aba'-aazmaayee kee farmaa,yish kee gayee hai. miSra' hai:

nah ab raqeeb, nah naaSeH, nah Gham-gusaar koyee
"tum ashnaa th`e to th`eeN aashnaa,iyaaN kyaa kyaa!"

radeef: kyaa kyaa
qaafiYe: aashnaa,iyaaN, be-wafaa,iyaaN waGhairah

Faiz SaaHeb kee t^araH meN Ghazal kehnaa KhaaSah mushkil hai. is zameen meN :qaafiyah taNg: to naheeN hai lekin radeef :kyaa kyaa: ne she'r-goyee par saKht paabandee lagaa dee hai aur ma'nee-aafreenee joo-e-sheer ho kar reh gayee hai. aap ko i'lm ho gaa keh Mir Taqi "Mir" aisee zameen meN apne zamaaneh kee maKhSooS zabaan ( :aa,iyaaN, khaa,iyaaN:) ista'maal karte haiN. maiN ne bh`ee yehee Soorat iKhtiyaar kee hai. is se maqSood Khudaa-nah-Khwaastah Khudaa-e-suKhan kaa :muNh chiRaanaa: naheeN hai bal.k apnee mushkil aasaan karnaa hai. so ab Ghazal dekh`iYe. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.

mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` rahaa hooN. shaayad kisee ke kaam aa jaaYeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

----------------------------
GHAZAL:

hameN Khdaa kee qasam! yaad aa,iyaaN kyaa kyaa!
jafaa ke bhes meN woh aashnaa,iyaaN kyaa kyaa!

umeed-o-aarzoo jee meN basaa,iyaaN kyaa kyaa
fareb i'shq meN daanistah khaa,iyaaN kyaa kyaa!

Khudee se kuch` nah milaa, be-Khudee se kuch` nah milaa
Hareem-e-shauq meN zeHmat uTh`aa,iyaaN kyaa kyaa!

inheeN se yaad hai taazah gaYe zamaaneh kee
hameN a'zeez haiN teree judaa,iyaaN kyaa kyaa!

miyaan-e-Ka'bah-o-butKhaanah gum khaRe th`e ham
naz^ar jo Khud peh paRee tujh` ko paa,iyaaN kyaa kyaa!

nah deed kee koyee Soorat, nah waSl kee ummeed
ph`ir us peh haiN miree be-dast-o-paa,iyaaN kyaa kyaa!

fareb-e-dasht-e-tamannaa meN mujh` ko ch`oR gayeeN
Khayaal-o-Khwaab kee meHshar-numaa,iyaaN kyaa kyaa!

nah teree dostee achh`ee, nah dushmanee achh`ee
banaa rakh`ee haiN yeh too ne Khudaa,iyaaN kyaa kyaa!

maqaam-e-i'shq meN "Sarwar"! tujh`e bh`ee le DoobeeN
tiree anaa, yeh tiree Khud-numaa,iyaaN kyaa kyaa!
---------------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"

================================
aa,iyaaN = aayeeN
basaa,iyaaN = basaayeeN
danistah = jaan boojh` kar
khaa,iyaaN = kh`aayeeN
Hareem-e-shauq = i'shq ke gh`ar ke andar
uTh`aai,yaaN = uTh`aayeeN
miyaan = beech, darmiyaan
paa,iyaaN = paayaa
be-dast-o-paa,iyaaN = haath`-pair kaa nah honaa, majbooriyaaN
dasht-e-tamannaa = aarzoo kaa jaNgal
meHshar-numaay,iaaN = qiyaamat uTh`aanaa
anaa = maiN, :ego:
Khud-numaa,iyaaN = apne aap ko baRaa dikh`aanaa

bahut khoob

Posted: Sat Jan 21, 2006 2:19 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

Yeh aapkaa hi Haq hei ke aap ne Meer ke qadeem andaaz-e-zabaan o bayaan meiN itni dilkash TaraHi ghazal kahi hei. Khaaksaar kii dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Patah nahiN ke Faiz Ahmed Faiz kii kullioyyat se yehi miSraA kiyuN ikhtiyaar kiyaa gayaa hei?

"tum ashnaa th`e to th`eeN aashnaa,iyaaN kyaa kyaa!"

iska vazn "mufaa'ilun....fa'ilaa'tun...mufaa'ilun....fe'lun" hei.
is miSreA meiN "th't'theeN" is qadar caqeel hougayaa hei ke kam se kam Faiz ke kalaam se is miSreA ko intikhaab nahiN karnaa chaahiye thaa.

BaharHaal, aapki is dilkash takhleeq per maiN aap ko dobaarah dili daad pesh kartaa hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sun Jan 22, 2006 5:37 am
by Sarwar A. Raz
muHtaramee Nazir SaaHeb: aadaab!

nawaazish aur i'zzat-afzaayee ke liYe aap kaa shukr-guZaar hooN! jee haaN maiN aap se muttafiq hooN keh Faiz ke miSre' meN :the to theeN: bohat a'jeeb-o-Ghareeb lag rahaa hai lekin dene waale ne yehee t^araH dee th`ee! so us par fikr laazim huyee. kisee wajh se Faiz kee naz^ar se apnee yeh Khaamee naheeN guZree ho gee. wallah-o-a'lam!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Tue Jan 24, 2006 5:39 am
by Sarwar A. Raz
muHtarimah Dunya SaaHebah: aadaab!

aap kee daad mere liYe i'zzat-afzaayee kaa baa,ic hai aur maiN is ke liYe shukr-guZaar hooN! Khush rahiYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

kya kehne

Posted: Thu Jan 26, 2006 7:23 am
by abdulhadiruswa

Qiblah Sarwar Sahib,

aadaab o tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Qadeem urdu ke alfaz Meer ke andaz meiN istemal karna apka hi hissah hei.

Khaksar ki dili daad qubool farmayiye.

khair andesh,
Ruswa,

Posted: Thu Jan 26, 2006 3:14 pm
by Sarwar A. Raz
muKarramee Ruswa SaaHeb: aadaab!

yaad-aawaree ke liYe mamnoon hooN. Ghazal aap ko pasand aayee aur yeh mere liYe masarrat aur i'zzat kaa baa,ic huwaa!

Sarwar A. Raz "Sarwar"