Page 1 of 1

Kashmala from Karachi.

Posted: Tue Jan 24, 2006 6:19 pm
by Kashmala
Urdubandhan kay dosto,

Salaam. maira naam Kashmala aur takhallus Sahar hay. mujhay urdu shaaeri aur adab say dilchaspi hay. isi liye apnai taskeen e zauq kay liye main nau Urdubandhan ko join kia hay. mujhay ummeed hay keh aap logon kaa taawun mujhay har gaam par milay gaa. thanx so much.

Kashmala Sahar.

Posted: Tue Jan 24, 2006 7:29 pm
by Shummu
Adaab-o-tasleemaat Kashmala Sahibaa..aap jaise baa zauq logon ki to is bazm ko khaas zaroorat hai..humein behad khushi hui jaankar ke aap ko shayri aur adab se dilchaspi hai..inshAllah aap ko yahan taskeen-e-zauq ke liye kaafi saamaan milega.....bas shart ye hai keh aap aati rahiyega....aap ki tehreeron ka bhi intizaar rahega..... :grin:

MashaAllah aap ki pic bahut achchi hai....Allah nazar-e-bad se bachaaye...!


Hum sabhi urdubandhan ke saathiyoN ki jaanib se aap ko KHUSHAAMADEED kehte hain!!!! :-)


faqat,
Shumaila

Re: Kashmala from Karachi.

Posted: Tue Jan 24, 2006 11:06 pm
by Mahtab Qadr
Mohatrama KHUSHAAMDEED aap ki amad urdubandhan ke lye yaqeenan khushaind sabit hogi , kioNke urdubandhan hai hi urdu adab o sher se taalluq rakhne waloNki anjuman. aap ki nigarishat e nacr o nazm ka intezar rahega.
shukria
Kashmala wrote:Urdubandhan kay dosto,

Salaam. maira naam Kashmala aur takhallus Sahar hay. mujhay urdu shaaeri aur adab say dilchaspi hay. isi liye apnai taskeen e zauq kay liye main nau Urdubandhan ko join kia hay. mujhay ummeed hay keh aap logon kaa taawun mujhay har gaam par milay gaa. thanx so much.

Kashmala Sahar.

Posted: Sun Jan 29, 2006 6:16 am
by little abbasi
sala/\/\.

aap ko urdu bandhan per khushamdeed ho ji .

Posted: Sun Jan 29, 2006 6:27 am
by Handsome
Khush-Am-deed anti jee !
i hope you enjoy your saty here and also teach use some new Urdu Adab and also learn ..


Khus Rahain
Piyara sa bacha
Handsome

Posted: Sun Jan 29, 2006 6:44 am
by Hashmat Usmani
salaam Kashmala saaHioba,

urdubandhan par ham aapkaa teh e dil se Khair maqdam karte haiN. ummeed hai ki aap ko yahaN lutf aayegaa aur ham ek dusre se mustafeed ho sakeNge. aatii jaatii rahiyegaa. aapkii nigaarishaat kaa shiddat se intezaar rahegaa.

Hashmat

Posted: Mon Jan 30, 2006 7:05 am
by sbashwar
ASAK
Khush-Amadeed Kashmala Sahiba.
Bohat khoshi hui aapki aamad urdubandhan par.
Salem Bashwar

Ham bhi Aap sab ke saath

Posted: Sat Jun 02, 2007 1:18 pm
by najeeb
Urdubandhan ke saatiyo Salam Alaik Urdu adab ke is qaafle meN banda e aajiz bhi aap sab ke saath shareek hai.

MaiN kahaN rukta huN arsh aur farsh ki awaaz se
Mujhko jana hai bahut ooncha had e parwaz se


Adab ke is karwaan meN shana ba shana chalne meN kabhi na thakne waala jazba e jaNgudaaz liye qadam aage badathe jaao. Kabhi peechhe palat kar na dekho. Sirf aage dekho. Taake manzil ki jaanib rawaaN dawaan hone ka ehsaas hamesha rahe.

Aapsabka Mukhlis
Najeeb Ahmed Najeeb

Posted: Sat Jun 02, 2007 1:28 pm
by muhammad_19k
to janab najeeb SaHeb,

apnay t'aaruf ke leeaye nayaa thread shroo kijiaye ;). aor janab kuch tafseeli t'aaruf karwaa-iaye.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui

Re: Kashmala from Karachi.

Posted: Tue May 10, 2011 8:27 am
by SohailAhmedSiddiqui
نظم (سہیل احمد صدیقی)
ابھی ہلکی سی خنکی تھی
ابھی ہلکاسانشہ تھا
مگرپھرکیاہواجانم......
تمھارے شہرکاموسم....
گیاکیوں روٹھ کر
مجھ سے