Page 1 of 1

TARAHI MISRA - -- - (GUZ.14) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Tue Jan 31, 2006 1:09 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat, :rose


GUZARISH NO.14 taareekh February 1, 2006


Yagaanah changezi :yaas: kii kulliyyaat se:
TaraHi miSraA:
do ghaRi chain se basar nah houi


Radeef= nah houi
Qaafiye= (magar, be-acar, khabar, muAtabar, umr bhar, kaargar, ham-Safar, raahbar, ter, dar, sir, saHar, baarwer, nazar, ) waghairah.

Iska vazn hei: faa'i'laa'tun...mufaa'i'lun...fa'i'lun.
= /0//0/0…//0//0…///0
=2122…1212…112.
Note: 1) Pahle rukn ko "faa'ilaatun" kii bajaye "fa'I'laa'tun" isteAmal karsakte heiN.
2) ghair-qaafiyah band misraAoN ke aakhiri rukn ko "fe'lun" yaa "fa'I'lun" yaa "feA'laat" isteAmaal karne kii ijaazut hei.
Yeh BAHR-E-KHAFEEF MAKHBOON MEHZOOF / MAQTOOA kehlati hei.

Ummeed ke aap Tab'A aazmaayi farmaakar meri Hauslah afzaayii farmaayenge. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.