Page 1 of 5
Harf-e-'SEEN' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Posted: Wed Feb 01, 2006 11:37 am
by Shummu
sunte hai.n ki mil jaatii hai har chiiz duaa se
ek roz tumhe.n maa.Ng ke dekhe.nge Khudaa se
"Rana Akbarabadi"
"seen" se
Posted: Thu Feb 02, 2006 4:35 am
by Abdullah Nazir
Sair-e-Aalam kuch nahiN juz tangiy-e-fikr o nazar
kitni wusAat hei hamaare dil meiN aakar dekhiye.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Feb 02, 2006 3:30 pm
by Shummu
senkRoN cheyd hain is meiN lekin
kitni achchi ye ridaa lagti hai
fakhra batool
"seen"
Posted: Thu Feb 02, 2006 3:56 pm
by Abdullah Nazir
saath detaa hooN yehi souch ke maiN
uski ghaflat bhi adaa lagti hei.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Feb 02, 2006 11:11 pm
by ummassad
sune jate na the tum se mere din raat ke shikve
kafan sarkao meri bezubani dekhte jao
"seen"
Posted: Sat Feb 04, 2006 7:25 am
by Abdullah Nazir
saans letaa hooN tou zaalim tiri yaad aati hei
kyaa karuN tuu bhi nahiN aur tiri khushboo bhi nahiN
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Feb 04, 2006 9:31 am
by Shummu
sau baar agar tum ruuTh gaye ham tum ko manaa hii lete the
ik baar agar ham ruuTh gaye tum ham ko manaanaa kyaa jaano
"seen"
Posted: Sat Feb 04, 2006 12:00 pm
by Abdullah Nazir
"sajaa ke aayaa hooN Sayyaad aek ik tinkah
duAayeN degaa rahegaa jou aashiyaane meiN."
Shayer: naamaAloom
Nazir.
Posted: Sun Feb 05, 2006 11:31 am
by Shummu
saa.Ns lenaa bhii kaisii aadat hai
jiiye jaanaa bhii kyaa ravaayat hai
"seen"
Posted: Sun Feb 05, 2006 1:02 pm
by Abdullah Nazir
saadah sii aapki taSveer thi dilkash kitni
Dil ke aayieneh meiN ik Aks nihaaN hei ab tak.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"seen"
Posted: Mon Feb 06, 2006 5:46 am
by Abdullah Nazir
saaqi ne mujhko kab nahiN rakhkhaa fareb meiN
detaa hei jo bhii jaam tou khaali sharaab se.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir,
Posted: Tue Feb 07, 2006 3:46 am
by ummassad
sun tuu sahi jahan main hy tera fasana kya
kahti hy tujh ko kalq-e- khuda gaibana kya
"seen"
Posted: Tue Feb 07, 2006 4:34 am
by Abdullah Nazir
sunte rahe fasaana-e-ahl-e-jahaaN bahut
keeje HuZoor koii Haqeeqat kii baat bhi.
Shayer: Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Feb 07, 2006 4:42 am
by Hashmat Usmani
sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa
kahatii hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibaanaa kyaa
AGha Hashr
seen
Posted: Tue Feb 07, 2006 4:45 am
by Abdullah Nazir
saaz-e-dil routaa rahaa jaur-e-khizaaN sun sunkar
Loag kehte heiN ke gulshan meiN bahaar aayi hei.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.