Page 1 of 5

Lafz par ashaar#26--aatish/aaG

Posted: Wed Feb 01, 2006 11:41 am
by Shummu
aab-o-aatish se yeh Khamiir-e-chaman,
hai KhizaaN ya bahaar hai? kya hai?


Firaaq Gorakhpuri

"aatish"

Posted: Thu Feb 02, 2006 4:31 am
by Abdullah Nazir



aatish-e-ishq meiN jaltaa rahaa dil hijr ki shab

shamA-e-ummeed dhuaaN deti rahi rou rou kar.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Feb 02, 2006 10:51 am
by Shummu
Ishq par zor naheen hai yeh woh aatish Ghalib,
Jo lagaaye na lage aur bujhaaye na bane.

Posted: Thu Feb 02, 2006 11:17 pm
by ummassad
aatish parast kahte hain aahle jahan mujhe
ser jarm nala haye shararbar dekh ker

Posted: Fri Feb 03, 2006 8:35 am
by Shummu
meraa azm itanaa bula.nd hai ke paraaye sholo.n kaa Dar nahii.n
mujhe Khauf aatish-e-gul se hai, ye kahii.n chaman ko jalaa na de

"aathis"

Posted: Sat Feb 04, 2006 7:55 am
by Abdullah Nazir



uff rii tap-e-garmiy-e-muHabbat

ous naam pah jaaN nicaar aatish.


Shayer: Mumin.


Nazir.


Posted: Sat Feb 04, 2006 9:24 am
by Shummu
sood-o-ziyaaN ka khayaal hai kabhi to kabhi hai be-parwaahi
aatish se daaman bacha bhi leta hooN aur aas hai jalne ki bhi

"aatish"

Posted: Sat Feb 04, 2006 12:31 pm
by Abdullah Nazir


"dekh us aatish ke parkaale ki wo chashmak zani

mujhko kuch bijli nazar paRti hei ghabraayi houi."


Shayer: Jur'at


Nazir.


aatish

Posted: Mon Feb 06, 2006 6:07 am
by Abdullah Nazir



aatish-e-ishq ne yooN dil ko mire jhulsaayaa

jism ko jaise jalaadeti hei SeHraa ki samoom.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir,


Posted: Thu Feb 09, 2006 3:50 am
by Daanish
na poochh aalam-e-bargashta taal'ei, Aatish!
barasti aag, jo baaraaN ki aarzoo karte--Khwaja Hyder Ali 'Aatish'

Posted: Thu Feb 09, 2006 6:54 am
by Daanish
Kisi soorat se nahiN jaaN ko qaraar, ai Aatish!
tapish-e-dil mujhe laa chaar liye phirti hai--Hyder Ali Aatish


aathish

Posted: Fri Feb 10, 2006 4:55 am
by Abdullah Nazir



aathish-e-barq o sharar aur nasheman meraa

ai khudaa tuu hii tabaahi se bachaanaa mujhko.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Feb 10, 2006 1:52 pm
by Daanish
bayaaN khwaab ki tarah jo kar raha hai
yeh qissa hai jab ka, ke Aatish jawaaN thha--Hyder Ali Aatish

Posted: Fri Feb 10, 2006 8:56 pm
by Shummu
shola-badan, aatish bajaaN, phirta raha wo be-amaaN
warna sabaa zolfoN maiN tha, warna ghataa kajal maiN thi

Posted: Sat Feb 11, 2006 2:31 am
by Daanish
saaya mera mujh se misl-e-dood bhage hai Asad
kaun mujh aatish bajaaN ke paas Thehraa jaaiye--Ghalib