WEBMASTER wrote:
S H U M M U
PurkhulooS tasleemaat,
YooN maAloom houtaa hei ke aap ne yeh TaraHi ghazal bahut hii ujlat meiN kahi hei aur nazar-e-caani bhi nahiN kii. Apnaa tabSirah pesh karne se pahle tah-e-dil se daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
Adaab nazir bhai..jee waqaii ghazal bahut hi ujlat meiN kahi thi aur mujhe andaaza bhi tha apni khaamiyon ka isliye ghazal yahan post ki taakeh aapki rehnumaayi mil sake...aap ke tabsire ka mujhe besabri se intizaar tha
M U L A A H I Z A A T
baat jiskii kabhii asar na hui
aaj kaise woh be asar na hui
MatleA kaa pahlaa miSraA beHr meiN hei lekin is meiN (asar nah houi) is liye ghalaT hei keh "acar" muzakkar hei. Ibaarat ke liHaaz se yooN kahaa jaayegaa "baat jiskaa koii acar nah houaa".
Doosraa miSraA bhii BeHr meiN hei aur ibaaraat kaa bhi mfahhom nikalrahaa hei lekin pahle miSreA ke ghalaT houne kii vajah se poore sheAr kaa mafhoom vaaZeh nahiN housaktta.
Iske ilaaj ke liye pahle miSreA ko badalnaa hougaa jis ke liye meri tajveez hei:
(baat jo pahle moAtabar nah houi)
Bahut shukriya...yaqeen maane is baar matla likhna mere liye khaasa dushwaar saabit hua jab ki amooman mujhe matle likhne mein mushkil nahi hoti aur kayi kayi matle likh Daalti hoon
khair isliye matla maine baraaye matla likha tha.....aapki tajveez bahut pasand aayi...main sher pehle aise hi likh rahi thi magar theek se likh nahi paa rahi thi....aap ne meri mushkil aasaan kar di....tah-e-dil se shukriya...maine sher edit kar diya hai
usko apnii har ik khushii de dii
zindagii phir bhi mukhtasar na hui
SheAr mafhoom paidaa karrahaa hei lekin pahle miSreA kii kamzouri kii vajah se kamzour hougayaa hei. Agar is ko behtar banaanaa hou tou meri tajveez hei ke pahle miSreA ko yooN kardeN:
(Tai kiye kitne hi nasheb o faraaz)
yahan maine ye kehna chaaha hai keh usko apni har khushi de di aur mere paas sirf gham reh gaye uske bawajood zindagi choTi hone ka naam nahi le rahi jab ki amooman Ghamzada dil ko zindagi bojh lagti hai..bhaari paRti hai aur uski zindagi choTi ho jaati hai banisbat khushhaal dil ke...kya ye mafhoom nahi nikal raha sher se?
maine khud ko jalaa jalaa Daalaa
raushnee jab jahaaN jidhar na hui
Doosra miSraA mushkil hougayaa hei jismeiN aap yeh kehnaa chaahti heiN (jab = jis waqt, jahaaN = jis muqaam per, jidhar = jis jaanib).
SheAr bahut khoob hei, waah waah.
Bahut nawaazish..mujhe yaqeen tha aap ko ye sher zaroor pasand aayega..mujhe khud bhi zaati taur pe ye sher bahut achcha laga
woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
mere is dil ko bhii khabar na hui
Waah waah, bahut khoob.
IatiraaZ karne waale keh sakte heiN ke lafz "is" Hashvo hei yani "bharti kaa hei" lekin agar wo yooN soucheN ke mutakallimah apne dil kii Taraf ishaarah karte houe ye miSraA kehrahi hei tou ghalaTfehmi kaa izaalah houjaayegaa.
bahut shukriya...jee aap sher bilkul sahi samjhe.....yahan 'is' bharti ka qataii nahi hai.
aisi ujlat meiN zindagii guzrii
'do ghaRi chain se basar na hui'
Achchi gireh hei, waah waah.
Meri nazar meiN "aisi ujlat" kahnaa durust yooN hei keh lafz "aisi" lafz-e- "ujlat" ki sifat (=adjective) ke Taur per isteAmaal kiyaa jaarahaa hei. Agar zarf-e-zamaan (=adverb of time) ke Taur per isteAmaal kareN tou phir (aise ujlat meiN zindagi guzri) kahnaa paRegaa.
bahut bahut shukriya ..agar 'aisi' ko 'kaisi' kar dein to sher kuch behtar ho jaayega kya?
jab se taareekiyoN ne aa ghaeraa
mere aanGan meiN phir sahar na hui
Bahut khoob, waah waah. Bahut achchaa sheAr hei. Pahle miSreA meiN "aa gheraa" kii bajaaye "gher liyaa" bhi khaa jaasaktaa thaa.
shukriya ..nawaazish....jab aap jaise ustaad shayar daad dete haina..dil baaGh baaGh ho jaata hai
ban gayaa woh mirii hayaat ka hissa
Yeh miSraA beHr meiN nahiN hei is liye filwaqt ham is ko nazar andaaz kardete heiN.
ya
(zeest ka meri ban gayaa hissa)
justujuu jiski umr bhar na hui
Achcha sehAr hei.
shukriya
aakhirii uski Call thii shayad
phir kabhii baat bhool kar na hui
SheAr bahut achcha hei lekin pahle miSreA meiN angrezi kaa lafz "call" nahiN hounaa chaahiye thaa. Pahle miSreA ko yooN kyaa jaasaktaa hei:
a- aakhiri guftagu thii kyaa uski !
b- aakhiri baar us ne di jou Sadaa
c-guftagu us ne kii jou aakhir-e-kaar.
asl main sab mujhse kehte rehte the keh tum puraane tarz pe ghazal likhti hoon ..kuch nayapan laaya karo apne kalaam mein to bas isliye yahan jaan boojh kar CALL lafz ka istimaal kiya taakeh jadeediyat ka ehsaas ho waise bhi naye shoara aajkal is tarah ke experiment karte rehte hain..jaise wais shah ne bhi apni shayri mein aise lafzon ka istimaal kiya hai...mujhe maaloom tha ke puraane logon ko is pe aiteraaz hoga magar phir bhi maine ye risk liya hai warna is sher ko main aur bhi tarah se keh sakti thi magar wahi puraana tarz hota..isliye ye likha...ab dekhte hain naye log kya kehte haiN
sunke uski wafaaoN ke charche
kaise keh doon ki chashm tar na hui
Waah waah kyaa kehne. Bahut achcha sheAr hei.
aapki besaakhta daad ka shukriya dil se
bhoolne kii 'Shumaa'ilah' usko
koi tadbeer kaargar na hui
Waah waah, maqTaA bhi bahut achchaa hei.
shukriya:)
Dobaarah meri dili daad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir
Bahut bahut nawaazish....karam...shukriya NAZIR sahab....main aapki saraapa mamnoon-o-mutashakkir hoon jo aapne itna waqt nikaala meri adna si ghazal ke liye aur apni giraan qadr aara se nawaaza :P
Duaoon ki talabgaar,
Shumaila