Page 1 of 1

Ghazal--"na ho jaaye"

Posted: Sun Feb 05, 2006 3:00 pm
by Daanish
ehl-e-bazm
adaab
kuchh din pehle ehbaab ki ek nishast meiN Hafeez Hoshiarpuri ka yeh misra ba-taur-e-tarah diya gaya thha:
"raaz-e-ulfath ayaaN na ho jaaye"...is zameen meiN Jigar ki bhi ek mash'hoor ghazal hai.
asaatzaa ki pairvi ko sa'adat samajhte hu'e khaaksaar ne bhi taba azmai ki, aur apni haqeer kaavish ko yahaN pesh karne ki jasaarat kar rahaN huN. paRHiye aur azaadana izhaar-e-khayal farmaiye...


Ghazal
zabth ka imtihaaN na ho jaye
shama-e-hasti dhuaaN na ho jaye

gham-e-aalam raqam hua jis meiN
woh meri dastaaN na ho jaye

sar-e-mehfil tumhari aankhoN se
"raaz-e-ulfath ayaaN na ho jaye"

naala-e- andaleeb-e-gulshan-e-gham
meri tarz-e-fughaaN na ho jaye

meri jaanib nigah-e-mast uthi
hosh ka imtihaaN na ho jaye

khana-e-dil se jo uthi hai sada
shor-e-kaun-o-makaaN na ho jaye

maut ke dar tak aa gaye daanish
zindagi mehrbaaN na ho jaye

bahut khoob

Posted: Sun Feb 05, 2006 6:46 pm
by Mahtab Qadr
Danish ji aadaab
aapki ghazal pasand ai, bahut khoob bataur e khas girah bahut achi lagai aapne.mubarak
aap ki mazeed kawisheiN post karte rahiye.
shukria
Mahtab Qadr

Bahut khoob

Posted: Mon Feb 06, 2006 6:22 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Daanish SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :roll:

Aapko khushaamaded kehne ke liye maiN ne aapke email kaa patah DhoonDne ki koushish kii tou patah chalaa ke aap laa patah heiN. Bahut se doust aHbaab yooN kehiye ke 90% se ziyaadah, apne email ka patah aur sis jagah muqeem heiN uskaa naam aur patah jaan boojhkar chupaate heiN.

Aapki ghazal bahut khoob hei. Saare ashAar her liHaaz se bahut hii achche heiN jin ke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir,


nawazish!

Posted: Tue Feb 07, 2006 2:59 am
by Daanish
mohtaram Nazir saheb, mohtrarma Sara sahiba,
tasleemaat. :-)
zarra nawazi ke liye bohat bohat shukriya.
nazir saheb, 'profile' se ab khaaksaar ka pata mil jayega. waise mera ta'lluq sheher-e-hyderabad, India se hai aur yahaN ke ek college ke shauba-e-angrezi se wabasta huN. pesha-e-tadrees se derina wabastgi hai. 24 baras kat gaye 'isi dasht ki sayyahi meiN'...aur kya arz karuN?
ek adna taalib-e-ilm huN...yahaN kuchh seekhne ke liye aaya huN...

khaaksaar
Daanish