Page 1 of 1

Tarahee Salaam

Posted: Mon Feb 06, 2006 8:17 am
by jawaid badauni
Dosto! Salam

Stanveer.com (mehfile SuKhan) ke mahana tarahee mushaaireh
ke liye is baar maiN ne salaam kaha hai jo aapki Khidmat meN
bhi irsaal kar raha hooN. Aapki aara ka muntazir rahooNga.

MuKhlis
Jawaid



S A L A A M



Aabru meri mire ashk baRha dete haiN
Mujhe "Sarwar" ka azaadaar banaa dete haiN


Aise hote haiN Payumbar (SAAW) ke nawasey dekho
"teer per teer bhi khakar woh doa dete haiN"


Aaj bhi nahr ke pahlu meN haiN pyaasey "Abbas"(AW)
Is tarah ahl-e wafa dars-e wafa dete haiN


Jaane kya pyaas thee naCloN se bhoolaayee nah gaii
warnah insaaN to harik baat bhoola dete haiN


Aaj bhi ASr ke waqt aisa gumaN hota hai
Jaise maidaan se "Shabbir"(AW) sadaa dete haiN


Teer ka zaKhm, yeh pyaas aur yeh tabassum lub per
Kaise bachche hain jo qaatil ko roola dete haiN


Sadqa maaNga hai nawaasoN ka "Nabee" (SAWW) se "Jawaid"
Dekhiye ab mire Mursal(SWW)mujhe kya dete haiN


Re: Tarahee Salaam

Posted: Mon Feb 06, 2006 2:32 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:mashallah

Jawaid bhai,

adaab arz hei.

aaj ki subh bohat khoobsurat hogayi aapke is salaam
ko parhne ke baad.

bohat ache ......... kya kahun alfaaz nahi mil rahe.

mubarakbaad aur daad qubool keejiiye.

sara

jawaid badauni wrote:Dosto! Salam

Stanveer.com (mehfile SuKhan) ke mahana tarahee mushaaireh
ke liye is baar maiN ne salaam kaha hai jo aapki Khidmat meN
bhi irsaal kar raha hooN. Aapki aara ka muntazir rahooNga.

MuKhlis
Jawaid



S A L A A M



Aabru meri mire ashk baRha dete haiN
Mujhe "Sarwar" ka azaadaar banaa dete haiN


Aise hote haiN Payumbar (SAAW) ke nawasey dekho
"teer per teer bhi khakar woh doa dete haiN"


Aaj bhi nahr ke pahlu meN haiN pyaasey "Abbas"(AW)
Is tarah ahl-e wafa dars-e wafa dete haiN


Jaane kya pyaas thee naCloN se bhoolaayee nah gaii
warnah insaaN to harik baat bhoola dete haiN


Aaj bhi ASr ke waqt aisa gumaN hota hai
Jaise maidaan se "Shabbir"(AW) sadaa dete haiN


Teer ka zaKhm, yeh pyaas aur yeh tabassum lub per
Kaise bachche hain jo qaatil ko roola dete haiN


Sadqa maaNga hai nawaasoN ka "Nabee" (SAWW) se "Jawaid"
Dekhiye ab mire Mursal(SWW)mujhe kya dete haiN


Azeezah Sara SaHibah

Mujhe Khooshi hai Salaam aap ko pasaNd aaya. Bohat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid

Jazakallahu khair

Posted: Mon Feb 06, 2006 4:30 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapka kahaa houaa SALAM her liHaaz se kaamyaab aur muta'ccir karne waalaa hei. Is khaas kaifiyyat meiN kahe houe salaam per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Jazakallahu khair

Posted: Mon Feb 06, 2006 8:48 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapka kahaa houaa SALAM her liHaaz se kaamyaab aur muta'ccir karne waalaa hei. Is khaas kaifiyyat meiN kahe houe salaam per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab,
Aadab

Himmat afzaaii ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Mumkin ho to isee qism ka Salam ka ek tarahee Masaalma jismen Salam, Naat qaseedah ya aisa hi koii kalam bheja ja sakta hai Urdu Bandhan meN bhi muAqid kar deejiye. Maahe Moharram aur ayyame azaa ke daur meN aisa silsila yaqeenan munasib rahega. Mehfil-e Sukhan meN Amjad SaHab ne is baar mahanah tarahee Mushaaireh meN Salam kahne ki dawat deee hai magar unhoN ne yeh riyaayat rakhkhee hai keh jo log Salaam nahiN kah sakte woh ghazal bhi kah sakte haiN.

MuKhliS
Jawaid