Page 1 of 1

Salam kehne ke liye TaraHi miSraA:

Posted: Tue Feb 07, 2006 2:26 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS tasleemaat,

Mere aek bahut hi Azeez aur mehrbaan doust ne mashwirah diyaa ke maiN maah-e-muHarram kii munaasibat se SALAM kehne ke liye koii TaraHi miSraA dooN. Aek TaraHi miSraA jou mujhe munaasib maAloom houaa wo yeh hei:

Sadaa mazaar se nikle sadaa Husein Husein
ShaaAir: Dabeer.
Radeef= Husein Husein (ASWS)
Qawaafi= (sadaa, houaa, khudaa, sunaa, kahaa, uThaa, Ziaa, marHabaa, ibtidaa, intihaa, kyaa) waghairah.

Yeh beHr-e-Mujtac makhboon mashkool kehlaati hei.
Iskaa vazn hei:
Mufaa'I'lun…..fa'I'laa'tun…..mufaa'I'lun…..fa'I'laat
= //0//0……….///0/0………..//0//0…………///0/
= 1212………….1122………….1212……………1121

ijaazateN:
aakhiri rukn ko ghair qaafiyah-band miSraAoN meiN fa'illat yaAni (1121) kii bajaaye mandarja-e-zel HaalataoN meiN isteAmaal karsakte heiN:
feAlun = 22
fa'I'lun= 112
feAlaat = 221
=======

Is kaar-e-khair ke liye maiN apne Azeez doust kaa khaaS Taur per marhoon-e-minnat hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap meiN se jo bhi aHbaab salaam keh sakte heiN apni mutabarrik takhleeqaat se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.


Aapka MukhliS,
Nazir.