Page 1 of 1

lamha-e-rukhsat

Posted: Thu Feb 09, 2006 3:42 pm
by Daanish
Lamha-e-rukhsat--Makhdoom Mohiuddin

kuchh sun ne ki khwahish kaanoN ko kuchh kehne ka armaaN aankhoN meiN
gardan meiN hamayil hone ki betaab tamanna baaNhoN ko
mushtaaq nigahoN ki zid se nazroN ka haya se jhuk jaana
ik shauq-e-humaaghoshi pinhaaN un neechi bheegi palkoN meiN
shaane pe pareshaN hone ko bechain siyah kaakul ki ghata
peshani meiN toofaN sajdoN ka, lab bosi ki khwahish hontoN meiN
warafta nigahoN se paida hai ek ada-e-Zulekhai
andaaz-e-taghaful tewar se, ruswai ka saamaaN aankhoN meiN
furqat ki bhayanak raatoN ka rangeen tasavvur meiN aana
afsha-e-haqeeqat ke Dar se haNs dene ki koshish hontoN meiN
aansoo ka dhhalak kar rah jaana, khooNgashta diloN ka nazraana
takmeel-e-wafa ka afsaana keh jaana aankhoN aankhoN meiN