Page 1 of 1

tarHi salaam Sadaa mazaar se nikle sadaa husain Husain

Posted: Fri Feb 10, 2006 3:14 pm
by khozema husaini
tarHi salam Sadaa mazaar se nikle Sadaa Husain Husain

Haazreen e mehfil
assalaam o alaikum
KHair talab ba KHair ba Hamd e Allah
shaan e imaam aAli maqaam meN apni bisaat ke mutabiq chand ashAar
kahe heN jo aap ki nazr kar raha hoon mujhe Ummed hai aap apni aara se nawaaz kar mujhe sukriyah ada karne ka mouqa faraham karenge
shukriyah
Husaini
salaam
hai shor kon o makaaN men bapa Husain Husain
shaheed tashnah dahaaN hogaya Husain Husain

rahe zabaan pe kalmah sada Husain Husain
hai dard o ranj o alam ki dawa Husain Husain

Ali o Fatema Zehra ki aankh ka tara
sukoon e qalb e rasool e KHuda Husain Husain

nibha raha hai jo sar de ke wada e tifli
yahi woh jaan e wafa hai mira Husain Husain

bhula sakegi nah dunya woh nouHa e Zainab
rawaan hai ab bhi wahi silsilah Husain Husain

sawaar pusht pe jis dam tha KHoon ka piyasa
tha zair e taiGh bhi meHwe duAa Husain Husain

ba faiz e ism e muqaddas chamak uThha qirtaas
KHuloos e dil se jahaan likh diya Husain Husain

Husaini qabr meN jaari rahe Azaa e Huisain
"Sadaa mazaar se nikle sadaa Husain Husain

Husaini tujh se hai mumkin kahaN cana e Husain
mila rahe heN har ik qafiya Husain Husain

Husain Khandwi

Posted: Sat Feb 11, 2006 4:41 pm
by khozema husaini
mohtarmah sara sahebah
aadaab
is daad aur housla afzai ka bohat bohat shukriyah
Husaini

Posted: Sat Feb 11, 2006 7:51 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee wa azeezi Husainee SaHab Aadaab

Aapka kalam ba huzoor-e Imaam-e Aali Maqam behud pasaNd aaya. Meri doa hai Imaam-e mazloom aap ke haq meN doa farmayeN aur Allah aapko ajr ataa farmaye.

Aapka MuKhliS

Jawaid Badauni

Posted: Sun Feb 12, 2006 3:52 pm
by khozema husaini
janaab jawaid badayuni saheb
aadaab
aap ki nek duAon aur hosla afzaai ka bohat bohat shukriyah
Husaini