Page 1 of 1

TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.14) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Fri Feb 10, 2006 5:46 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS tasleemaat, :rose

Guzarish 14 ke miSreA per apni ghazal pesh karne ki saAaadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

unko jab tak miri khabar nah houi
pursish-e-souz-e-chashm-e-tar nah houi

marg-e-lail o nahaar are taubah
"do ghaRi chain se basar nah houi"

loag milte rahe bichaRte rahe
aur dunyaa ko kuch khabar nah houi

saaAat-e-shab guzargaie kab ke
jaane phir kis liye saHar nah houi

Ham ne aapus meiN gham tou baaNT liye
Kaam ki baat hi magar nah houi

dhoop kaa isqadar taHammul thaa
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi

Deedani thaa mizaaj-e-ahl-e-junooN
Housh waalaoN ki jab nazar nah houi

Raah-e-dushwaar ka hou zikr hi kyaa
Aas bhi apni hamsafar nah houi

Bhoolnaa mujhko ghair mumkin hei
Be-rukhi itni be-jigar nah houi

Jisko chaahaa usi ko Thukraate
Ham se yeh bhool, bhoolkar nah houi

Be-zabaani bhi hei zabaaN ;Nazir:
daastaaN dil kii mukhtaSar nah houi.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.14) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Sat Feb 11, 2006 6:14 am
by Raji
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS tasleemaat, :rose

Guzarish 14 ke miSreA per apni ghazal pesh karne ki saAaadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:


loag milte rahe bichaRte rahe
aur dunyaa ko kuch khabar nah houi

saaAat-e-shab guzargaie kab ke
jaane phir kis liye saHar nah houi

Ham ne aapus meiN gham tou baaNT liye
Kaam ki baat hi magar nah houi

dhoop kaa isqadar taHammul thaa
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi

Deedani thaa mizaaj-e-ahl-e-junooN
Housh waalaoN ki jab nazar nah houi


Bhoolnaa mujhko ghair mumkin hei
Be-rukhi itni be-jigar nah houi
is she'r meN ghair-mumkin aur be-jigar kaa iste'maal bohat acha laga hai.

Jisko chaahaa usi ko Thukraate
Ham se yeh bhool, bhoolkar nah houi
bohat hee pyaraa sach hai :)

Be-zabaani bhi hei zabaaN ;Nazir:
daastaaN dil kii mukhtaSar nah houi.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.


moHtaram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
mah-e-ravaaN ka miSraH-e-taraH bilashuba be-intihaa KhoobSoorat hai. aur is par aap kee apnii taKhleeq bhi la-jawab hai.
weise tu poorii Ghazal hee quote honee chahiye thee lekin maiN ne Sirf un ashaar ko quote kiyaa hai jo mujhe be-Had ache lage aur baar baar paRhne ko jee chaahaa.

meree janib se ek behtreen peshkash par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

wassalam
Zahida Raees :Raji:

Posted: Sat Feb 11, 2006 7:59 am
by farhan
Janab Abdullah Saheb

tarahi Misray per aap ki apni ghazal paRhi....bahut pasand aayee..... youn to puri ghazal to shaandaar hai..........lakin yeh shair..........mujhay laga ki mayray kisi ahsaas ki tarjumani kar raha hai............
dhoop kaa isqadar taHammul thaa
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi

bahut hi umda shair hai............puri hi ghazl kay liye daad peesh-e-khidmat hai...........lakin is shair per khassssssssssssss aur dheerooN daad peesh karta hoon.


fahran

Re: TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.14) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Sat Feb 11, 2006 12:18 pm
by Shummu
WEBMASTER wrote:

dhoop kaa isqadar taHammul thaa
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi

Raah-e-dushwaar ka hou zikr hi kyaa
Aas bhi apni hamsafar nah houi

Be-zabaani bhi hei zabaaN ;Nazir:
daastaaN dil kii mukhtaSar nah houi.


wah wah ghazal ke ye teen ashaar bahut pasand aaye..daad haazir hai :-)

shumaila

Posted: Sat Feb 11, 2006 8:00 pm
by jawaid badauni


Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab,
Aadaab

Ghazal nazar nawaz hoii. Bohat Khub. Tamam ashAAr ne behud mutaAssir kiya. Ek kaamyaab ghazal per meri mubarakbaadee qubool farmaiye.

Mundarja zel sher meN mujhe miSrae caani bohat achcha lag raha hai magar shayad miSra-e oola utna caaf nah ho saka hai. Mumkin hai mera Khyaal ghalat ho.

dhoop kaa isqadar taHammul thaa
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi


MaiN agar is sher ko kahta to shayad kuch yooN kahta:

Jab se bhaayii hai dil ko dasht ki dhoop
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi

Mukammal ghazal per ek baar phir meri daad qubool kijiye.

MuKhliS
Jawaid

Bahut bahut shukriyah

Posted: Sun Feb 12, 2006 11:57 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Raji SaaHibah,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne apne muntakhab kardah ashAar ko ziyaadah saraahaa jiske liye maiN aapka beHad shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi isi TaraH se meri HauSlah afzaayi farmaati rahengi.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Feb 13, 2006 3:52 pm
by khozema husaini
mohtaram nazir saheb
aadaab
aap ki ghazal ke sabhi ashAar bohat khoobsoorat heN meri jaanib se dili daad pash hai qubool farmayeN
Husaini

Bahut bahut shukriyah

Posted: Thu Feb 16, 2006 1:50 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
FarHan SaaHib,

PrukhulooS tasleemaat, :-)

Aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi jiske liye maiN aapki HauSlaH afzaayi ke liye beHad mamnoon hooN.

Ummeed hei aayindah bhi aap yooN meri himmat baRhaate rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Bahut bahut Shukriya

Posted: Fri Feb 17, 2006 12:14 pm
by Abdullah Nazir

SHUMMU

PurkhulooS tasleemaat,

Aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne isko qaabil-e-daad o teHseen samajhaa jiske liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi aap isi TaraH se meri HauSlah afzaayi faramaati rahengi.

Aapka MukhliS,
Nazir.


Bahut bahut shukriyah

Posted: Sat Feb 18, 2006 1:19 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHibah,

PurkhulooS tasleemaat,

Guzarish 14 ke miSreA per meri ghazal aapko pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa.

Aapki is karam farmaayi ke liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aap meri HauSlah afzaayi farmaati rahengi.


Aapka MukhliS,

Nazir.


Posted: Sun Feb 19, 2006 5:29 am
by Star Mind
moHtaram A.Nazir SaaHib,

aadaab

maashaa Allah janaab ! ab mujh jaise Haqeer aur kam i'lm ka aap k fan par tabSira karnaa Al-amaan wal Hafeez ! kyoN k ham woh Haq adaa hi nahiN karsakte ! lihaaza ik daad-e-muKhtaSar Haazir hai ! :)
tamaam asha'aar hi apnee apne jagaa laa-jwaab haiN

shukriya


Zia Baloch

Bahut bahut shukriya

Posted: Mon Feb 20, 2006 3:00 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

Guzarish No.14 ke TaraHi miSreA per aapko meri ghazal pasand aayi tou yeh aapki zarrah navaazi hei. Aap jaise kunah mashq shayer agar meri HauSlah afzaayi karte heiN tou meri saAiy-e-sukhan meiN jaaNfishaani paidaa houjaati hei keh kisi qaabil houne ki koushish kartaa rahuN. Is liye maiN aapkaa tah-e-dil se mamnoon hooN.

Aap ne aek miSreA ki kamzouri kii Taraf ishaarah karte houe farmaayaa hei:

Mundarja zel sher meN mujhe miSrae caani bohat achcha lag raha hai magar shayad miSra-e oola utna caaf nah ho saka hai. Mumkin hai mera Khyaal ghalat ho.

dhoop kaa isqadar taHammul thaa
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi


MaiN agar is sher ko kahta to shayad kuch yooN kahta:

Jab se bhaayii hai dil ko dasht ki dhoop
Haajat-e-saaya-e-shajar nah houi


Jis zaaviya-e-nigaah se aap ne sheAr ko dekhaa hei, aap kaa eHsaas bilkul durust hei.

Meraa apnaa miSraA aek Haqeeqi waaqaAe per mabni hei jiskaa yahaN zikr karduN tou koii qabaaHat nahiN hei.

Jab maiN pahli baar Saudi-Arab aayaa aur apne waalid SaaHib ke saath Huj arrahaa thaa, ham Arfaat aur muzdalifah se houte houe Minaa pahounche jahaN aek imaarat ke nichle hiSSeh meiN aek kamrah milaa thaa. Us jagah hamaara do pahar kaa khaanaa houchukaa thaa. Dhoop bahut sakht thi aur waalid SaaHib ne mujhe Hukm diyaa ke aek paneer kaa Dibbah khareed kar laauN. MaiN ne Hukm ki taAmeel karte houe chalchalaati dhoop meiN baraihna sir baahar qadam rakhaa aur khareed kar le aayaa lekin yeh souch laaHiq rahi ke aakhir iski kyaa Zaroorat thii jabke dopahar kaa khaanaa houchukaa hei.

Mere waapus aate hi kahaa gayaa ke murabbeh (jam) kaa aek sheeshah khareedkar laauN. MaiN yehi souchtaa houaa baahar gayaa ke aakhir iski kyaa Zaroorat hei keh mujhe sakht dhoop meiN baahar bhejaa jaarahaa hei. Jab is Hukm ki taAmeel karchukaa tou phir kehne lage ke aek diyasalaayi kaa Dibbah khareedkar laauN. Tab mujh se rahaa nahiN gayaa aur maiN ne kahaa "pahli baat yeh ke ham dopahar ka khaanaa khaachuke heiN aur aap ne jo cheezeN khareedne ke liye kahaa hei unki koii Zaroorat nahiN thi raat houne tak. Taaham maiN ne aapke Hukm kii taAmeel kii lekin ab aap diaasalaayi ka Dibbah laane ke liye kehrahe heiN!!!". Yeh sunkar wo hansne lage aur maiN baghir izhaar-e-gham o ghuSSeh ke dil hii dil meiN kuRhne lagaa.

Meri Haalat dekhkar kehne lage "beTaa mujhe maAloom hei ke in cheezaoN ki is waqt koii Zaroorat nahiN hei aur yeh bhi maAloom hei keh maiN tum ko sakht dhoop meiN baahar bhej rahaa hooN. Mere pesh-e-nazar yeh maSliHat hei ke tum yahaaN ki sakht dhoop ko bardaasht karne ke qaabil houjau". Is per maiN ne kahaa agar yeh baat hei tou abhi jaakar diasalaayi kaa Dibbah laataa hooN aur le aayaa.

Is waaqiAe ke b'aAd se sakht se sakht dhoop bhi mujhe pareshaan nahiN karti thii jabkeh doust aHbaab meiN bahut kam aise loag thay jo meri TaraH taHammul kar sakte thay.

Yehi ehsaas mere miSreA meiN chupaa houaa hei. Isko maiN kaise keh saktaa hooN "jab se bhaayi hei mujhko dasht kii dhoop". NiSf Sadi kii talkh zindagi ne kab jhulse houe badan ko chupaane meiN madad kii hei. Isi liye tou maiN ne apni doosri ghazal ke aek miSreA meiN kahaa thaa "sau saal bhii houjaayeN tou ghurbat nahiN jaati".

Aapka miSraA bahut hii achchaa hei lekin maiN yehi kahungaa ke usi ke dil se poocho jis per muSeebateN guzarti heiN aur apne Huqooq ke HuSool se meHroom houjaataa hei.

Is Taveel sharH ki Zaroorat is liye pesh aayi taakeh aap yeh nah samajh baiTheN keh maiN apne doust aHbab ke achche mashwiraoN ko bhii rad kardetaa hooN. Khush rehiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Bahut bahut Shukriyah

Posted: Fri Feb 24, 2006 1:15 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Khozema Husaini SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa jiske liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN.

Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi isi TaraH se khaaksaar ki HauSlah afzaayi farmaate rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir,


Bahut bahut shukriyah

Posted: Tue Feb 28, 2006 2:03 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Apni TaraHi ghazal per aapke giraaNqadr tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Is baat kii khushi hei ke aajkal aapko kuch furSat mili hei ke sites per aate jaate raheN aur apne kalaam se bhi navaazte raheN.



Aapka Mukhlis,
Nazir.