Page 1 of 1

EK TAZA GHAZAL

Posted: Sat Feb 11, 2006 6:32 am
by munir-armaan-nasimi
Doston Ko Salaam...

Ek Ghazal...Apne Ruhaani Ustaad "Nasir Kazmi" ki Nazr. Aap logon ki aa'ra ka intezaar rahega.
Munir Armaan Nasimi




GHAZAL roman meiN:

daryaa daryaa behtaa hooN
qaTrah qaTrah tarsaa hooN

mat dekho maiN kaisaa hooN
maiN jaanooN maiN kyaa kyaa hooN

din bhar jaltaa rehtaa hooN
maiN sooraj kaa chehraa hooN

unki jheel si aankhaoN meiN
maiN bhi akcar Doobaa hooN

apnaa koii bichRe tou
khoon ke aansoo routaa hooN

maiN :armaan:! Ik banjaarah
basti basti phirtaa hooN
=======


Posted: Sat Feb 11, 2006 11:45 am
by Shummu
wah bahut khoob Munir sahab....ghazal achchi hai khaaskar matla bahut achcha laga..daad pesh hai.... :grin:

shumaila

SHUKRIYA !!

Posted: Mon Feb 13, 2006 6:49 am
by munir-armaan-nasimi
Bhai...aap logon ki Daad se.... Hoasla mila hai. Insa'Allah...aage bhi aap logon ko apni Ghazal sunata rahoonga.

Thanks once again. Bye

aap ka apna,

Munir Armaan Nasimi