Page 1 of 1

Mera naam hai Muhabbat

Posted: Sun Jan 16, 2005 1:15 pm
by Aanchal
assalamalikum
is fourm main mere yeh pehli post hai :D
is kay shayar ka naam to nahi pata , yeh aik song hai jis main buhat achi shayari ki gai hai... is ka background bhi khud hi banaya hai .....hmmm mera khayal hai isay isi fourm main hona chaye agar nahi to jis fourm main sahi rahey ga move kar dain :)

Re: Mera naam hai Muhabbat

Posted: Sun Jan 16, 2005 1:40 pm
by khurram_shaikh
Aanchal wrote:assalamalikum
is fourm main mere yeh pehli post hai :D
is kay shayar ka naam to nahi pata , yeh aik song hai jis main buhat achi shayari ki gai hai... is ka background bhi khud hi banaya hai .....hmmm mera khayal hai isay isi fourm main hona chaye agar nahi to jis fourm main sahi rahey ga move kar dain :)
W salaam,


arey waah naanin ammaan aap to ghazeb ki kalakaar hain :roll: :roll: itnaa behtreen background zabardast bahoot khoob shukriyaa ek behtreen peshkash kaa

Posted: Sun Jan 16, 2005 2:47 pm
by Hashmat Usmani
salaam Heeriye,

:D :D :D bhai waah kisii kii qismat ho to bas merii jaisii...du'a itnii jaldii qubool hogii, iska 'ilm na thaa VARNA "kuchh AUR" hii maang letaa...pataa hai jaise hii maiN ne tumhaare isteqbaaliya meN tum se post kii dar_Khowast kii aur postkarte hii jo nazar Daaltaa huuN to aapkii post nazar aatii hai.....waah bhai waah! aaj to mujhe LOTTERY ka ticket khariidna chaahiye [aaj qismat zor pe hai, kal ho na ho....kaun jaane! :cry: ]

Khair, tumhaarii pesh_kash hameshaa kii taraH bahot umda aur dil_kash hai. pas-e-manzar kii 'akkaasii dil_fareb aur dil_aavez hai. shukria share karne kaa.

vaise, agar 'aks meN yeh Hazrat-e-"BhaNwraa" haiN to yeh phool ko chhoR kar udhar kahaaN Khaar meN ulajh kar rah gaye...zara inko inkii munaasib jagah par to biThaa deN, plz. :lol: :lol: :lol: :lol:

faqat Khush_naseeb :D

Hashmat

Posted: Sun Jan 16, 2005 4:02 pm
by Shummu
:o oho to Aanchal apni heer hain....naam badal liya han..waise khushaamadeed ek baar phir :D

aur my GOD is qadar khoobsurat aur munfarid background... :shock: wow main to bas background hi dekhti reh gayi..maine ap tak nazm nahi paRhi :oops: ye bataoo kaise banaya???? aur ye dil ko kaise banaaya jo idhar udhar maara maara phir raha hai? plz plz let me know..I'll be so grateful to u...waqaii bade din baad tum aayi magar bahut acche andaaz se entry maari hai...kahan rahi itne din??


DAAD hazir hai itni behtareen presentation par!!

Shumaila

Posted: Mon Jan 17, 2005 10:46 am
by Aanchal
khurram.....shukria NAWASAYE , :lol: deekhoo aap ki nani kia kia kar sakti hai .. 8)

mouji.....shukria mouji , computer slow hai warn or bhi buhat kuch post kar daiti . :lol: main itni dair khamosh kahan beath sakti houn :oops: ..hmmm or yeh bhanwara oper hi theek hai , oper latka hova nazar to a raha hai warna neachay a gia to sab phool ko deekhian gay becharay bhanwarey koi koi nahi pouchye ga lolzz

shummu..... thanks shummu darling.. kasi hoo ? han naam badal lia hai houn vohi :wink: . aap loog jis naam say chaye bula loo :D
yeh background photoshop or paintshop say banatay hain , alag alag images lay kay aik jaga pay chipka daytay hain lolzz. yeh DIL bhi paintshop say idher udhar bhatak raha hai ....main tumhaye is ka tareeka bata doun gee , abhi pakistan main houn or net pay anay ka time nahi milta , inshallha jab wapas jaoun gee to pher tutorial bana doun gee is ka :D ....waisay yaha koi IT ka fourm nahi hai ? jahan ham urdu main tutorial bana sakhian ? kuch seekhian kuch seekhaaian 8)

Posted: Mon Jan 17, 2005 10:56 am
by fatimah
aslaam_u_alikam

bohat khub

Posted: Mon Jan 17, 2005 11:18 am
by Hashmat Usmani
Aanchal wrote:hmmm or yeh bhanwara oper hi theek hai , oper latka hova nazar to a raha hai warna neachay a gia to sab phool ko deekhian gay becharay bhanwarey koi koi nahi pouchye ga lolzz
hmmm...achchhaa! tabhii to maiN bhii oopar hii oopar manDraa rahaa huuN :wink: :cry: :oops:

Posted: Tue Jan 18, 2005 10:59 am
by Shummu
Aanchal wrote:
shummu..... thanks shummu darling.. kasi hoo ? han naam badal lia hai houn vohi :wink: . aap loog jis naam say chaye bula loo :D
yeh background photoshop or paintshop say banatay hain , alag alag images lay kay aik jaga pay chipka daytay hain lolzz. yeh DIL bhi paintshop say idher udhar bhatak raha hai ....main tumhaye is ka tareeka bata doun gee , abhi pakistan main houn or net pay anay ka time nahi milta , inshallha jab wapas jaoun gee to pher tutorial bana doun gee is ka :D ....waisay yaha koi IT ka fourm nahi hai ? jahan ham urdu main tutorial bana sakhian ? kuch seekhian kuch seekhaaian 8)
no problem tum tutorial urdustab aur ST pe post kar dena..ok plzz..bhoolna nahi :)

Posted: Tue Jan 18, 2005 1:55 pm
by NAZRANA
Aadab,

Image

ImageKaash Aap say kuch seikh sakoon Image

Posted: Wed Feb 09, 2005 9:18 am
by rahmed25682
Aanchal sahiba ...

Bohat khoob ... kitna achha background banaya hay ... DAAD haazir hay ... NAZM per bhee aur BACKGROUND per bhee..

Waisay aap kay IDEA to achha hay kay yahan per aik IT ka section bhee hona chahhiye ...
Daikhain doosray ahbaab kia kahtay hain

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Sat Jul 16, 2005 4:37 am
by Handsome
WOW nice sharing :)