Page 1 of 1

Ghazal--'kahaaN gaye"

Posted: Sun Feb 12, 2006 12:23 pm
by Daanish
ehl-e-bazm,
aadaab-o-tasleemat.
ek adna kaavish le kar haazir hua huN...haqeeqat tau yeh hai ke ek mubtadi huN...qafiyabandi ke tajrube kar leta huN...yahaN pesh karne ki jurrat kar raha huN...
paRHiye aur aazaadana izhaar-e-khayal farmaiye...
khaaksaar
Daanish

mehfil-e-shab ke humsafar, waqt-e-seher kahaaN gaye
jalke chiraagh_haa-e-zeest, ho ke dhuaaN, dhuaaN gaye

raah-e-wafa meiN aql ki rehbari ek vahm thhi
naqsh-e-qadam junooN ke thhe, ehl-e-khirad jahaaN gaye

jis ke khiraam-e-naaz se gulshan-e-dil meiN thhi bahaar
hay'e woh mere humnafas de ke mujhe khizaaN gaye

manzil-e-aagahi pe tau ehl-e-nazar pahunch gaye
bazm-e-zameeN ke bulhawas kab su-e-aasmaaN gaye

shauq-e-visaal kis qadar laaya hai rang dekhiye
leke ab aatish-e-firaaq jaate haiN hum jahaaN gaye