Page 1 of 1

khushaamdeed Janab Muzaffar Ahmad Muzaffar

Posted: Sun Feb 12, 2006 2:51 pm
by farhan
Janab Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb

aap ko is bazm main KHUSHAAMDEED kaha jata hai............ummid kartay hain ki aap ka waqt is bazm main achcha guzray ga...

farhan


Re: khushaamdeed Janab Muzaffar Ahmad Muzaffar

Posted: Sun Feb 12, 2006 3:39 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
farhan wrote:Janab Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb

aap ko is bazm main KHUSHAAMDEED kaha jata hai............ummid kartay hain ki aap ka waqt is bazm main achcha guzray ga...

farhan

moHtaram Janab Farhan SaHeb
aadaab!
Aap kee janib se nihayat pur khulooS jazbaat ka iz^haar mere lije naSirf HoSlah afzah hai. balkeh bae'c-e-musarat bhee hai.
maiN aap ka mamnoon hooN.


Wassalam
dua' go
muzaffar aHmad mzaffar.

Posted: Mon Feb 13, 2006 2:51 pm
by sbashwar
Janab Muzaffar Ahmad Muzaffar sahib
ASAK
Urdubandhan par aapki a'amad se behad massarrat hui.
Bohat bohat khush-aamadeed.
Salem Bashwar

Posted: Sat Feb 18, 2006 12:03 pm
by Handsome
Welcome to Urdu bandhan

Khush rahain
Handsome

Posted: Tue Feb 28, 2006 6:57 am
by little abbasi
SALA/\/\.

Aap ko urdubandhan per khushamdeed ho .

Posted: Sat Mar 18, 2006 7:39 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram mimbaran-e-urdubandhan.
aadaab!

faqeer aap tamaam khawateen-o-Hazraat ka be Had mamnoon hai. keh aap sab ne itnee garam joshee se istaqbaal kiya hai.keh yeh jazbah aor walwalah aap ki be laoc muHabbat par daleel ka kaam kar geya.

khuda aap sam ko apnee aaman meN rakhey. aameen.
inshAllah ab bazm meN Hazir hota rahooN ga.

ijazat dijiye.
mukhliS
muzaffar aHmad muzaffar

Khushaamaded

Posted: Sat Mar 18, 2006 8:07 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :grin:

MaiN daakht ke neeche khaRaa houkar bhii saaye ki talaash meiN lagaa houaa thaa.

Mujhe patah hi nahiN chal sakaa ke aap ne yahaaN tashreef laakar urdubandhan ko raunaq bakhshdi hei. Aaj aap se msn per baat cheet ke dauraan maiN isi liye aap se baar baar guzaarish karrahaa thaa ke yahaaN ke rukn ban jaayeN.

Ham sab aapkaa tah-e-dil se istiqbaal karte heiN aur ummeed hei ke aapki nigaah-e-luTf o karam ki rehnumaayi meiN ham ko bahut kuch seekhne ko milegaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Khushaamaded

Posted: Sat Mar 18, 2006 11:53 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :grin:

MaiN daakht ke neeche khaRaa houkar bhii saaye ki talaash meiN lagaa houaa thaa.

Mujhe patah hi nahiN chal sakaa ke aap ne yahaaN tashreef laakar urdubandhan ko raunaq bakhshdi hei. Aaj aap se msn per baat cheet ke dauraan maiN isi liye aap se baar baar guzaarish karrahaa thaa ke yahaaN ke rukn ban jaayeN.

Ham sab aapkaa tah-e-dil se istiqbaal karte heiN aur ummeed hei ke aapki nigaah-e-luTf o karam ki rehnumaayi meiN ham ko bahut kuch seekhne ko milegaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.

mukarram-o-moHtaram Janab Abdullah Nazir SaHeb.
aadabb a'rZ^ hai. :-)

Huzoor aap ka Hukm milte hi khadim khidmat meN HaZ^ir ho geya hai. mujhe to ta'ajub hai. keh ham pas hote huwe bhi itne dor kese rahe. Sad shukr keh aap ne rabit^ah ki koi Surat nikaal le. yeh khulooS aor murawwat ki ibtada yaqina" zaheri faSlooN ko kabhi bhi rah ki dewaar nah samjhe gi.

inshAllah ab bazm meN ek nale'ek se t^alib-e-e'lm ki Heciyat se ata rahooN ga.mujhe sharmindagee bhi hai.keh maiN to kisi qabil naheeN hooN. maiN to tahee daman hooN. mere pas to agar khuch hai. to Sirf khulooS aor muHabbat ke phool.so peesh karta rahooN ga.

Ummed karta hooN keh aap mujh t^ifl-e-madrasah ki nalaikiyooN ki khabar bhi lete raheN ge.aor ba waqt-e-zarurat kaan bhi khencheeN ge. :-)

Wassalam
khadim
muzaffar