Page 1 of 1
"hamsafar nah huee"tarhi ghazal guzaarish#14
Posted: Mon Feb 13, 2006 3:45 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aapke diye hue misre per hamaari adna kaavish peshe khidmat hai
gar qubool uftad zahe......
arz kiya hai......
jisko chaaha tha hamsafar nah huee
"do ghadi chayn se basar nah huee"
hum judaai mei.n uski rote rahe
woh magar hum peh nauhagar nah huee
jis se khush ho khuda mira aisee
aik naykee bhi ^umrbhar nah huee
hai.n woh naadaan jo yeh kehte hai.n
zeest kyu.n apni mukhtesar nah huee
zindagi mukhtesar hi hai haamid
iski shaayed unhe.n khabar nah huee
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Bahut khoob waah waah
Posted: Mon Feb 13, 2006 4:30 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT
jisko chaaha tha hamsafar nah huee
"do ghadi chayn se basar nah huee"
Bahut khoob, bahut achchaa maTlaA hei aapki kaamyaab gireh ke saath , waah waah.
hum judaai mei.n uske rote rahe
woh magar hum peh nauhagar nah huee
Bahut achchaa sheAr hei. waah waah. Pahle miSreA meiN "uski " ko aap ne ghalaTi se "uske" type kardiyaa hei, durust farmaaleN.
jis se khush ho khuda mira aisee
aik naykee bhi ^umr bhar nah huee
WaaH waah yeh aapka makhSooS andaaz hei.
hai.n woh naadaan jo yeh kehte hai.n
zeest kyu.n apni mukhtesar nah huee
Yeh bhi aapke makhSooS andaaz kaa sheAr hei. bahut khoob.
zindagi mukhtesar hi hai haamid
iski shaayed unhe.n khabar nah huee
Aapke is maqTeA kaa mafhoom is se pahle ke sheAr se taAalluq rakhtaa hei is liye ham in donouN ashAar ko QiTAa band keh sakte heiN.
MaiN dobaarah aapko is kaamyaab ghazal per mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Bahut khoob waah waah
Posted: Tue Feb 14, 2006 6:38 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT
jisko chaaha tha hamsafar nah huee
"do ghadi chayn se basar nah huee"
Bahut khoob, bahut achchaa maTlaA hei aapki kaamyaab gireh ke saath , waah waah.
hum judaai mei.n uske rote rahe
woh magar hum peh nauhagar nah huee
Bahut achchaa sheAr hei. waah waah. Pahle miSreA meiN "uski " ko aap ne ghalaTi se "uske" type kardiyaa hei, durust farmaaleN.
jis se khush ho khuda mira aisee
aik naykee bhi ^umr bhar nah huee
WaaH waah yeh aapka makhSooS andaaz hei.
hai.n woh naadaan jo yeh kehte hai.n
zeest kyu.n apni mukhtesar nah huee
Yeh bhi aapke makhSooS andaaz kaa sheAr hei. bahut khoob.
zindagi mukhtesar hi hai haamid
iski shaayed unhe.n khabar nah huee
Aapke is maqTeA kaa mafhoom is se pahle ke sheAr se taAalluq rakhtaa hei is liye ham in donouN ashAar ko QiTAa band keh sakte heiN.
MaiN dobaarah aapko is kaamyaab ghazal per mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib
aapki mukhlisanah aur ^aarifaanah daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Posted: Tue Feb 14, 2006 9:27 am
by Shummu
wah bahut khobo...achchi ghazal kahi hai..daad pesh hai Haamid sahab
Shumaila
shukriya
Posted: Fri Feb 17, 2006 5:47 am
by haamidbaaqri
Shummu wrote:wah bahut khobo...achchi ghazal kahi hai..daad pesh hai Haamid sahab
Shumaila
salaamun alaikum
mohtaramah shumaila saahebah
ghazal pasand farmaane ka bahut bahut shukriya.aapki mukhlisaanah daad ko humne qubool kiya.
salaamat rahe.n
jazakallah
haamidbaaqri
Re: "hamsafar nah huee"tarhi ghazal guzaarish#14
Posted: Mon Mar 06, 2006 3:31 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:hamid sahib....aapki aek aur achi tehreer parhne ko mili
sabhi ashaar ache hain daad qubool keejiye.
haamidbaaqri wrote:
jisko chaaha tha hamsafar nah huee
"do ghadi chayn se basar nah huee"
hum judaai mei.n uski rote rahe
woh magar hum peh nauhagar nah huee
jis se khush ho khuda mira aisee
aik naykee bhi ^umrbhar nah huee
hai.n woh naadaan jo yeh kehte hai.n
zeest kyu.n apni mukhtesar nah huee
zindagi mukhtesar hi hai haamid
iski shaayed unhe.n khabar nah huee
salaamun alaikum
azeez behna sara
kaisee hai.n aap?
hum muaazirat chaahte hai.n keh apni masroofiyat ke baais bahut dino.n baad jawaab de rahe hai.n.
aapki purkhuloos daad ko hum tahe dilse qubool karte hai.n.aur allah(sbhnwt) se hamaari behna ki salaamati ki dua maangte hai.n.aameen
khush rahe.n aap
haamidbaaqri