Page 1 of 1

t^arHi Ghazal barae'e musha´i'rah 14

Posted: Tue Feb 14, 2006 12:26 am
by figaar
Ghazal ke chand sheer pesh-e-khidmat haiN.


manzil-e-waSl-e-yar sar nah huei.

yeh nah honi thi A'mr bhar nah huei.


SubH-e-meHshar thi zindagi apni

"do ghaRi cheen se basar nah huei"


wo aae beThe aor chale bhi gae

aek maiN tha jise khabar nah huei


jashn barpa hai qatl par mere

khabr lekin kaheN nashar nah huei.


Z^abt^ ko aazma ke dekh ahi.

lab khusha nah huwe chashm tar nah huei

Posted: Tue Feb 14, 2006 9:22 am
by Shummu
wah wah wah Figaar sahab bahut khoob...sab se pehle ko khushaamadeed aur aapki ghazal bahut pasand aayi..daad pesh hai :-)


Shumaila

Posted: Wed Feb 15, 2006 4:15 pm
by khozema husaini
mohtaram figaar saheb
aap ki ghazal pasand aai meri janib se dili daad Haazir hai
Husaini

adab

Posted: Wed Feb 15, 2006 5:00 pm
by figaar
Shummu wrote:wah wah wah Figaar sahab bahut khoob...sab se pehle ko khushaamadeed aur aapki ghazal bahut pasand aayi..daad pesh hai :-)


Shumaila

Summu SaHebah aadaab


Ghazal ko pasand farmane ka be Had shukria.DherooN dua'aaeeN mere janib se.

khuda Hafiz
figaar

Posted: Wed Feb 15, 2006 5:02 pm
by figaar
khozema husaini wrote:mohtaram figaar saheb
aap ki ghazal pasand aai meri janib se dili daad Haazir hai
Husaini
moHtaram/moHtarmah
Husaini SaHeb/SaHebah

Aap ne Ghazal ko pasand kiya. aap ka bihit shukria.khush raheeN.

khuda Hafiz
figaar

Posted: Sat Feb 18, 2006 1:14 pm
by figaar
khozema husaini wrote:mohtaram figaar saheb
aap ki ghazal pasand aai meri janib se dili daad Haazir hai
Husaini

moHtaram Hussaini SaHeb
aadaab!
maiN aap ka be Had mamnoon hoN keh aap ne meri naqiS si Ghazal ko pasand farmaya.
aabaad raheeN

mukhliS
figaar

Re: t^arHi Ghazal barae'e musha´i'rah 14

Posted: Sat Feb 18, 2006 1:18 pm
by figaar
sara_j wrote:figaar sahib,

adaab arz hei.

sabse pehle is mehfil mein khushamdeed.

aapki tarhee ghazal paRh ker dil khush hogaya

masha Allah bohat umda kalaam hai.

daad qubool keejiye.

sara


figaar wrote:Ghazal ke chand sheer pesh-e-khidmat haiN.


manzil-e-waSl-e-yar sar nah huei.

yeh nah honi thi A'mr bhar nah huei.


SubH-e-meHshar thi zindagi apni

"do ghaRi cheen se basar nah huei"


wo aae beThe aor chale bhi gae

aek maiN tha jise khabar nah huei


jashn barpa hai qatl par mere

khabr lekin kaheN nashar nah huei.


Z^abt^ ko aazma ke dekh ahi.

lab khusha nah huwe chashm tar nah huei

MoHtarmah Saara SaHebah.
aadaab!
aap ka be Had mamnoon hoN keh aap ne mujh faqeer ka is garamjoshi se istaqbaal kiya keh mere waste yadgaar ban geya.aap ka yeh bartao mujhe a'mr bhar yad rahe ga. khush raheeN.

aap ka mukhliS
figaar nawshehrawi.