Page 1 of 1

Zameen-e "Faraz" meN mera Salaam

Posted: Thu Feb 16, 2006 9:35 pm
by jawaid badauni

:Faraz" aao sitare safar ke dekhte hain



chalo karishme Sh’h-e Bahr.o.Bar ke dekhte haiN
dar-e Husein peh faryaad kar ke dekhte haiN



sh’h-e umam ne gadaaoN ko taaj baKhsh diye
to hum bhi lutf zara unke dar ke dekhte haiN



suna hai unki muwaddat hai rahmatoN ka shajar
to uske saaye meN hum bhi Thahar ke dekhte haiN



suna hai ashk-e azaadaar hai dur-e nayaab
to apne ashkoN se daaman ko bhar ke dekhte haiN



suna hai jaada-e haq hai Husein ka jaada
to unkee raah se hum bhi guzar ke dekhte haiN



Khuda hi jane woh pahooNcheNge kaise rauze tak
safar se qabl jo Kham rahguzar ke dekhte haiN



mili qalam ko zameen-e “Faraz” ai “Jawaid”
Sana-e Hazrat-e Shabbir karke dekhte haiN



Jawaid Badauni
Muscat – Oman


Ek iltemaas:
Agar kisi member ko Ahmed Faraz SaHab ka
e-mail address mAlum ho to baraye karam
mujhe inayat farmaaiye main yeh salam
unko irsaal karna chaahta hooN.

Re: Zameen-e "Faraz" meN mera Salaam

Posted: Sun Feb 19, 2006 5:27 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:Jawaid bhai,

zameen e Faraaz per apka salaam dkehi ....... maah muharram mein khoob amad amad ho rahi hai.....dili mubrakbaad qubool keejiye ..

mujhe sabse ziyada haseen ye shair laga

suna hai ashk-e azaadaar hai dur-e nayaab
to apne ashkoN se daaman ko bhar ke dekhte haiN


tamaam ashaar hi bohat khoob hain!!

aapne Ahmed faraz sahib ka email daryaft kiye hain
jo mujhe tou nahi maloom lekin agar aap Sagheir Jafri
sahib jo urudmanzil ke hain unhe likhenge tou zaroor
miljayega.

sara

jawaid badauni wrote:
:Faraz" aao sitare safar ke dekhte hain



chalo karishme Sh’h-e Bahr.o.Bar ke dekhte haiN
dar-e Husein peh faryaad kar ke dekhte haiN



sh’h-e umam ne gadaaoN ko taaj baKhsh diye
to hum bhi lutf zara unke dar ke dekhte haiN



suna hai unki muwaddat hai rahmatoN ka shajar
to uske saaye meN hum bhi Thahar ke dekhte haiN



suna hai ashk-e azaadaar hai dur-e nayaab
to apne ashkoN se daaman ko bhar ke dekhte haiN



suna hai jaada-e haq hai Husein ka jaada
to unkee raah se hum bhi guzar ke dekhte haiN



Khuda hi jane woh pahooNcheNge kaise rauze tak
safar se qabl jo Kham rahguzar ke dekhte haiN



mili qalam ko zameen-e “Faraz” ai “Jawaid”
Sana-e Hazrat-e Shabbir karke dekhte haiN



Jawaid Badauni
Muscat – Oman


Ek iltemaas:
Agar kisi member ko Ahmed Faraz SaHab ka
e-mail address mAlum ho to baraye karam
mujhe inayat farmaaiye main yeh salam
unko irsaal karna chaahta hooN.
Sara SaHibah

Salam ki pazeeraaii ke liye shukriya.

MuKhliS
Jawaid

Bahut khoob

Posted: Mon Feb 20, 2006 7:42 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapka yeh TaraHi salaam abhut hii baamaAni aur jazbaat se bharpoor hei. Subhaan-allah, bahut khoob.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob

Posted: Mon Feb 20, 2006 2:28 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapka yeh TaraHi salaam abhut hii baamaAni aur jazbaat se bharpoor hei. Subhaan-allah, bahut khoob.


Aapka MukhliS,
Nazir.



Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab
Aadaab.

Himmat afzaaii ke liye behud mamnoon hooN. Jazaak Allah Khair.

MuKhliS
Jawaid Badauni

Re: Zameen-e "Faraz" meN mera Salaam

Posted: Tue Feb 21, 2006 3:06 pm
by naheedv
janaab Jawaid saahab,

aap ne Faraz Saahab kee zameen meN kyaa bhar.poor kalaame salaam ataa kiyaa hai. mujhey umeed hai ke voh aap kaa ye nazraanah.e.salaam zaroor pasaNd farmaayeN ge kyoN ke ye unhee kee zameen meN likhaa geyaa hai, waisey tau daad dene meN voh khaase kanjoos vaaqe huve haiN :)

bahar.kaif, aap meree taraf se tau daad qubool kijiye.

mukhliS
Naheed

Re: Zameen-e "Faraz" meN mera Salaam

Posted: Wed Feb 22, 2006 10:47 am
by jawaid badauni
naheedv wrote:janaab Jawaid saahab,

aap ne Faraz Saahab kee zameen meN kyaa bhar.poor kalaame salaam ataa kiyaa hai. mujhey umeed hai ke voh aap kaa ye nazraanah.e.salaam zaroor pasaNd farmaayeN ge kyoN ke ye unhee kee zameen meN likhaa geyaa hai, waisey tau daad dene meN voh khaase kanjoos vaaqe huve haiN :)

bahar.kaif, aap meree taraf se tau daad qubool kijiye.

mukhliS
Naheed


Mohtarmah Naheed SaHibah

Salam ki pazeeraaii ke liye bhohat bohat shukriya.

MaiN yeh salam Faraz SaHab ke paas is liye nahiN bhejna chaahta keh mujhe unki daad ki koii Khaas zaroorat hai. MaiN yehee soch raha tha woh is baat se bohat Khoosh hopNge keh unki zameen meN jo kisi Salam ke liay nihayat namunasib aur dushwaar hai maiN ne chund sher kah liye haiN.

MuKhliS
Jawaid