Page 1 of 1

"aye sikandar too bata"aik tarhi kalaam aapki naza

Posted: Sat Feb 18, 2006 7:37 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

tarhi ghazal peshe khidmat hai

gar qubool uftad zahe.....

arz kiya hai....



aye sikandar too bata teri hukoomat kya huee
naaz tujhko jispah tha woh teri taaqat kya huee

khopari ko laykay haatho.n mei.n yeh daana ne kaha
kaise pehchaanoo.n tujhe mai.n teri soorat kya huee

dekh kar bhi zulm zaalim hukmraa.n ke aajkal
qaum kyu.n khaamosh hai iski haraarat kya huee

mout bhi makhlooq hai woh bhi maraygee aik din
rab kahayga ab bata woh teri haibat kya huee

ek munaafiq ke ^amal ne jaa.nkani mei.n yeh kaha
"phir bhala mai.n kya hua meri haqeeqat kya huee"

jab qayaamat aayegee tab sab fana hojaaye.nge
rab kahayga bol banday teri shohrat kya huee

nekiyo.n se paak gar haamid karogay nafs ko
har buraayee khud kahaygee meri mehnat kya huee

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah




Re: "aye sikandar too bata"aik tarhi kalaam aapki

Posted: Sun Feb 19, 2006 5:33 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:hamid sahib ,

jee farmaaiye

:-) lagta hai aap kahin aur gum the
ye ghazal likhte waqt...

jee haa.n aap bilkul theek keh rahee hai.n.hum khud hairaan hai.n.isliye humne faislah liya hai keh aaiyndah net ke mushairo.n mei.n hum hissah nahi.n le.nge.insha allah.

ye shair pasand aaya:

jab qiyaamat aayegee tab sab fana hojaaye.nge
rab kahayga bol banday teri shohrat kya huee


shukriya.

jazakallah

tifle maktab
haamidbaaqri

sara

haamidbaaqri wrote:salaamunn alaikum
dosto

aik adna kaavish aapki nazar
gar qubool uftad zahe.....

arz kiya hai....

aye sikandar too bata teri hukoomat kya huee
naaz tujhko jispah tha woh teri taaqat kya huee

dekh kar bhi zulm zaalim hukmraa.n ka aajkal
qaum kyu.n khaamosh hai iski haraarat kya huee

khopari ko laykay haatho.n mei.n yeh daana ne kaha
kaise pehchaanoo.n tujhe mai.n teri soorat kya huee

maut bhi makhlooq hai woh bhi maraygi aik din
rab kahayga ab bata woh teri haibat kya huee

kaa.npte thay log mera naam sun ke aye khuda
"phir bhala mai.n kya huee meri haqeeqat kya huee"

jab qiyaamat aayegee tab sab fana hojaaye.nge
rab kahayga bol banday teri shohrat kya huee

chaahtay ho gar baqa haamid karo khud ko fana
phir na kehna rab se tum meri ^alaamat kya huee

nateejaya fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah