Page 1 of 1

:: Dhal gayee shab magar saHar na hoi ::

Posted: Sat Feb 18, 2006 9:00 pm
by Star Mind
moHtaram A.Nazir SaaHib wa deegar aHbaab-e-meHfil aadaab,

ummed hai k mizaaj baKher hoNge ! aaj aa paayaa to is miSra'e pe nazar paRee to dil Khush howaa ....go k is zameen maiN ghazal to maiN ne pehle hi kahee hai magar girah abhi abhi lagaaye hai.. so ab pooree kaavish Haazir hai : :-)

1.

zindagee pori u'mr bhar na hoi
Dhal gayee shab magar saHar na hoi

2.

dahar maiN laakhoN inqilaab aaye
ik miree zindagee basar na hoi

3.

jaan-e-a'aashiq nikal gayee laikin
mehrbaaN aap ki nazar na hoi

4.

daad-e-teeGh-e-adaa to sab ne
madH-e-zaKhm-e-jigar agar na hoi

5.

woh nigah kyaa jo dil k paar na ho
woh adaa kyaa jo hosh-bar na hoi

6.

kyaa qayaamat hai apni umr-e-daraaz
"do ghaRee chain se basar na hoi"

7.

aate aate qayaamat aa bhi gayee
teri zulf-e-daraaz sar na hoi

8.

dil ne taazaa jahaaN basaa bhi liye
ham ko ab tak Zia Khabar na hoi

................................................................

shukriya


Zia Baloch

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Feb 19, 2006 11:57 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Waah waah kyaa kehne aapki TaraHi ghazal tou bahut hi dilkash hei. Saare ashAar pasand aaye jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

1- zindagee pori u'mr bhar na hoi
Dhal gayee shab magar saHar na hoi


Bahut khoob. BaRaa achchaa maTlaA hei. Shab kaa Dhalnaa shabaab ke Dhalne ke mutaraadif hei aur zindagi kaa poori nah hounaa yaa khatm nah hounaa aek Haqeeqat per mabni hei. Achcha mazmoon baandhaa hei aap ne.

2. dahar maiN laakhoN inqilaab aaye
ik miree zindagee basar na hoi


Jee aap zindagi basar nah houi ke maAni itmenaan se basar nah houi ke le rahe heiN.

3- jaan-e-a'aashiq nikal gayee laikin
mehrbaaN aap ki nazar na hoi


Is sheAr meiN bahut khoobSoorat taghazzul hei, waah waah.

4- daad-e-teeGh-e-adaa to sab ne (di)
madH-e-zaKhm-e-jigar agar na hoi


Is sheAr meiN bhi achcha taghazzul hei. Bahut khoob.

woh nigah kyaa jo dil k paar na ho
woh adaa kyaa jo hosh-bar na hoi


Is sheAr meiN "housh-bar" kii tarkeeb mere liye nayi hei. Is liye maiN yeh samajhne se qaaSir hooN ke is se aapki kyaa muraad hei. Agar aapkaa maqSad housh uRaadene waali tou iski kyaa daleel hei?

6- kyaa qayaamat hai apni umr-e-daraaz
"do ghaRee chain se basar na hoi"


Behtar hei ke aap hameshah "qiyaamat" likhkhaa kareN jo SaHeeH talaffuz hei.
Achchi gireh hei. Bahut khoob.

7- aate aate qayaamat aa bhi gayee
teri zulf-e-daraaz sar na hoi


aate aate qiaamat aa bhi gayi. Bahut khoob andaz hei.

8- dil ne taazaa jahaaN basaa bhi liye
ham ko ab tak Zia Khabar na hoi


MaqTaA bhi achchaa hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Mar 05, 2006 8:50 pm
by Star Mind
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Waah waah kyaa kehne aapki TaraHi ghazal tou bahut hi dilkash hei. Saare ashAar pasand aaye jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


ustaad-e-moHtaram , w/salaam

bad qismatee se mufaSSal jawaab delete hogaya , is leye dobaara likh rahaa hoN !

aap ka nehaayat mamnoon hoN k aap ne meeri is Haqeer kaavish ko is darja saraaha hai ! yaqeena aaj agar thoRee bohut shaai'ree karne lagaa hoN to sab aap buzurgoN ki shafqat aur HoSla afzaayee ki badolat hai ! aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya


MULAAHIZAAT:

1- zindagee pori u'mr bhar na hoi
Dhal gayee shab magar saHar na hoi


Bahut khoob. BaRaa achchaa maTlaA hei. Shab kaa Dhalnaa shabaab ke Dhalne ke mutaraadif hei aur zindagi kaa poori nah hounaa yaa khatm nah hounaa aek Haqeeqat per mabni hei. Achcha mazmoon baandhaa hei aap ne.


sab aap ka Husn-e-nazar hai moHtaram ! nehaayat mamnoon hoN !

2. dahar maiN laakhoN inqilaab aaye
ik miree zindagee basar na hoi


Jee aap zindagi basar nah houi ke maAni itmenaan se basar nah houi ke le rahe heiN.



jee aapne bajaa farmaaya ! mamnoon hoN !

3- jaan-e-a'aashiq nikal gayee laikin
mehrbaaN aap ki nazar na hoi


Is sheAr meiN bahut khoobSoorat taghazzul hei, waah waah.

4- daad-e-teeGh-e-adaa to sab ne (di)
madH-e-zaKhm-e-jigar agar na hoi

Is sheAr meiN bhi achcha taghazzul hei. Bahut khoob.


sab aap ka Husn-e-nazar aur aap ki shafqat hai janaab ! tah-e-dil se mamnoon hoN


woh nigah kyaa jo dil k paar na ho
woh adaa kyaa jo hosh-bar na hoi


Is sheAr meiN "housh-bar" kii tarkeeb mere liye nayi hei. Is liye maiN yeh samajhne se qaaSir hooN ke is se aapki kyaa muraad hei. Agar aapkaa maqSad housh uRaadene waali tou iski kyaa daleel hei?



bhalaa mujh jaisa Jaahil banda kyaa daleel de saktaa hai , siwaae is k choNke farsee maiN ye donoN alag alag alfaaz haiN aur bar ba mana "le jaane waala" hai is leye ise bhi dil-bar par qiyaas karte howe iste;maal kiyaa hai ! baaqee aap kee rahnumaayee matloob hai ! shukriya


[u]6- kyaa qayaamat hai apni umr-e-daraaz
"do ghaRee chain se basar na hoi" [/u]

Behtar hei ke aap hameshah "qiyaamat" likhkhaa kareN jo SaHeeH talaffuz hei.
Achchi gireh hei. Bahut khoob.



7- aate aate qayaamat aa bhi gayee
teri zulf-e-daraaz sar na hoi


aate aate qiaamat aa bhi gayi. Bahut khoob andaz hei.


nehaayat mamnoon hoN , sab aap ki shafqat ka nateeja hai !

8- dil ne taazaa jahaaN basaa bhi liye
ham ko ab tak Zia Khabar na hoi


MaqTaA bhi achchaa hei, waah waah.
[/color]

Aapka MukhliS,
Nazir.




nehaayat mamnoon hoN aap ka k aap ne is qadar mufaSSal tabSira likha hai ! yaqeen kejeye agar isee tarah aap ka dast-e-shafqat sar par rahaa to aek din zaroor apnee manzil paaloNga ! inshaa Allah ! mamnoon !

aHqar

Zia Baloch

Re: :: Dhal gayee shab magar saHar na hoi ::

Posted: Sun Mar 05, 2006 8:57 pm
by Star Mind
sara_j wrote:zia sahib,

baRe hi dhamake ke saath aaye hain huzoor.....

ustad ji ke kehne ke baad hum kya kahein?? humare alfaaz tou
mand parjayenge :-) phir bhi hum kahenge zaroor.....
bohat hi khoobsurat ghazal likhdi aapne kis kis shair ki tareef karein har shair lajawab hai... dili daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara

Saara SaaHiba,

ab kaheN to kyaa kaheeN, aap jaisee shaai'ra ne itnee daad se nawaazaa hai k jee baaGh baaGh hogayaa ! pehle ustaad-e-moHtaram aur phir aap ki daad ! yaqeen kejeye Khoon kaafee baRh gayaa ! aap ki HoSla afzaayee keleye aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya

Zia Baloch