saavan ke saath saath hai puvaiyoN kaa dard...Sarwar saaHib
Posted: Mon Jan 17, 2005 6:18 am
salaam dosto!
aaj maiN aapke saamne hamaare har_dil_'azeez shaa'ir aur ustaad-e-moHtaram janaab-e-Sarwar Alam Raz "Sarwar" saaHib kii ek nihayat hii dil_kash aur dil_Khush Ghazal aapkii nazar kartaa huuN jo ek duusre forum par merii nazar_guzaar huii aur jise maiN aapke ham_raah share kiye bina nahiiN rah paayaa.
to mulaaHizah farmaaiye mausoof kii yeh Ghazal aur us par unhiiN ka muKhtasir tabsira.
faqat niyaaz_mand,
Hashmat
______________________________________________________
yaaraan.e.bazm: tasleemaat!
kabhee kabhee aisaa hotaa hai k kisee doosre kaa ko'ee she'r yaa misra' dil ko bhaa jaataa hai aur be.iKhtiyaar uss beHr aur zameen meiN she'r kehne kee Khwaahish hotee hai. aap sab iss manzil se guzar chuke haiN aur meree baat ko Khoob samajhte haiN. kuChh din hu'e aik doosree meHfil meiN aik doast ne apnee aik Ghazal inaayat kee thee jiss kee zameen thee :purvaa'iyoN kaa dard, aNgRaa'iyoN kaa dard: iss se maiN bohat muta'assir hu'aa aur koshish kee k maiN bhee iss zameen kaa Haq adaa karooN. jo ash'aar iss fikr ke nateeje meiN hu'e voh pesh kar rahaa hooN. az.raah.e.karam apnee raa'e se aagaah farmaa kar shukriye kaa moqa' deejiye!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
-----------------------------------------------------------------------------------------------------
GHAZAL:
kyaa kam thaa subH.o.shaam kee tanhaai'yoN kaa dard?
us pe yeh teree anjuman.aaraai'yoN kaa dard!
dil bhee vohee hai, Gham bhee vohee, roz.o.shab vohee
kam ho to kaise aap ke saudaai'yoN kaa dard?
ashk.e.junooN idhar hai, udhar aah.e.sard hai
saavan ke saath saath hai purvaai'yoN kaa dard!
aaKhir kaTe to kaise kaTe meree zindigee?
Hasrat nigaah.e.lutf kee, rusvaai'yoN kaa dard!
dunyaa.e.shaa'iree meiN kaheen Khwaar kar na de
mujh ko Ghazal kee qaafiya.paimaai'yoN kaa dard!
Sarwar! saNbhal ke chal, kaheeN gumraah kar na de
na.daani'yoN ke shehr meiN, daanaai'yoN kaa dard!