Page 1 of 1

ghazal

Posted: Sun Feb 19, 2006 7:11 pm
by naheedv
1.
hai jis ke naam ye rehl.e.visaal haathoN meN
base huve haiN usee ke malaal haathoN meN
2.
kisee niSaab meN jin ke jawaab mil na sakeN
baSaaratoN ne paRhe voh sawaal haathoN meN
3.
maiN suntee hooN tira be.taabiyoN bharaa lehjah
bane huve haiN tire khadd.o.khaal haathoN meN
4.
jo rezah rezah ho kar gir paRe achaanak se
voh AyatoN kee taraH the khayaal haathoN meN
5.
ye kis khalaa meN safar kar rahi hai meree hayaat
huvaa hai kuch bhee pakaRnaa muhaal haathoN meN
6.
kisee khayaal kee aahaT se chonk uthee tau havaa
khaRee thee chehrah liye pur.malaal haathoN meN
7.
sunaaye koyee tau mosam badalne kaa muzdah
koyee tau aaye liye indimaal haathoN meN
8.
havaa.e.hijr kee sarhad pe kyoN rakhe dil.o.jaaN?
visaal bujhtaa huvaa ab sanbhaal haathoN meN
9.
hare bhare the kabhee mere khavaab bhee :Naheed:
haraa bharaa thaa lakeeroN kaa jaal haathoN meN

(Urdu version)

Image

bahut khoob

Posted: Sun Feb 19, 2006 11:10 pm
by Mahtab Qadr
Naheed sahiba Aadaab
Aap ki ghazal nazarnawaz huvi behad shukria , hamesha ki tarah aapki ghazal ka apna aik achoota andaaz aik khoobsurat ehsasaat ka ghuncha e lajawaab , bahut haseen ghazal jo aaj ki bahut si haqeeqatoN ki akkasi bhi karti hai. pasand aai. har sher acha .
Mahtab Qadr

Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Feb 20, 2006 7:38 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Naheed_Verk SaaHibah,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Aap ne bahut mushkil radeef "haathaoN meiN" isteAmaal ki hei aur us ke saath qaafiyaoN ko nibaane kaa mushkil kaam bhi aap ne bakhoobi anjaam diyaa hei.

Aapke sheAr No.4 meiN aek chook nazar aayi hei:

4.
jo rezah rezah ho kar gir paRe achaanak se
voh AyatoN kee taraH the khayaal haathoN meN


agar pahle miSreA ko yooN kardeN tou beHr meiN aajaayegaa.
(jo rezah rezah houe, gir paRe achaanak se)


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Feb 20, 2006 7:22 pm
by Shummu
wah naheed sis wah itni muhskil zameen mein aap ne to kaafi achchi ghazal kahi hai..ustaadaana rang jhalak raha hai..waqaii ab to aap pakki shaayra ho chuki hain...ek ek sher ghaur karne laayaq hai...dili daad pesh hai is umda kaavish pe :-)

Shumaila

Re: bahut khoob

Posted: Mon Feb 20, 2006 9:37 pm
by naheedv
Mahtab Qadr wrote:Naheed sahiba Aadaab
Aap ki ghazal nazarnawaz huvi behad shukria , hamesha ki tarah aapki ghazal ka apna aik achoota andaaz aik khoobsurat ehsasaat ka ghuncha e lajawaab , bahut haseen ghazal jo aaj ki bahut si haqeeqatoN ki akkasi bhi karti hai. pasand aai. har sher acha .
Mahtab Qadr
janaab Mahtab saahab,

aap kee hoslah afzaayee se himmar baRhee aur khushee huyee ke meree koshish naakaam naheeN huyee :)

buhat shukriya
Naheed

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Feb 20, 2006 9:42 pm
by naheedv
WEBMASTER wrote:
MuHtaramah
Naheed_Verk SaaHibah,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Aap ne bahut mushkil radeef "haathaoN meiN" isteAmaal ki hei aur us ke saath qaafiyaoN ko nibaane kaa mushkil kaam bhi aap ne bakhoobi anjaam diyaa hei.

Aapke sheAr No.4 meiN aek chook nazar aayi hei:

4.
jo rezah rezah ho kar gir paRe achaanak se
voh AyatoN kee taraH the khayaal haathoN meN


agar pahle miSreA ko yooN kardeN tou beHr meiN aajaayegaa.
(jo rezah rezah houe, gir paRe achaanak se)


Aapka MukhliS,
Nazir.

janaab Mohtaram Nazir saahab,

aap kee hoslah afzaayee hamesha hee himmat bandhaati hai. maiN tau abhee seekhane ke amal se hi dau chaar hooN aur jo bhee achaa buraa ban paataa hai, sab ke saamne rakh detee hooN.

she'r 4 meN mujh se chook ho gayee hai. aap kaa mutabaadil misra' achaa hai, maiN durust kar looN gee.

buhat shukriya!

aap please apnaa address email PM kar dijiye taa ke aap ko kitaab mail kar sakooN.

shukriya
Naheed

Posted: Mon Feb 20, 2006 9:47 pm
by naheedv
Shummu wrote:wah naheed sis wah itni muhskil zameen mein aap ne to kaafi achchi ghazal kahi hai..ustaadaana rang jhalak raha hai..waqaii ab to aap pakki shaayra ho chuki hain...ek ek sher ghaur karne laayaq hai...dili daad pesh hai is umda kaavish pe :-)

Shumaila
Shumaila,

allah itnee ta'rif. kaheeN mere paayoN ukhaR na jaayeN ;)

ghazal pasaNd karne kaa buhat shukriya, aur pakki shaayra tau ho chukee, kitaab jo aa gayee hai ;)

Naheed

Posted: Thu Feb 23, 2006 3:14 am
by naheedv
sara_j wrote:Dear naheed ji,

adaab arz hei.

baRe taweel intezar ke baad apka kalaam paRhne mila
aur paRh ker bohat acha laga. Masha Allah bohat hi manjha hua kalaam hai. poori ghazal hi lajawaab hai aur ye ashaar kuch ziyada pasand aaye hain.

1.
hai jis ke naam ye rehl.e.visaal haathoN meN
base huve haiN usee ke malaal haathoN meN
2.
kisee niSaab meN jin ke jawaab mil na sakeN
baSaaratoN ne paRhe voh sawaal haathoN meN
3.
maiN suntee hooN tira be.taabiyoN bharaa lehjah
bane huve haiN tire khadd.o.khaal haathoN meN
4.
jo rezah rezah ho kar gir paRe achaanak se
voh AyatoN kee taraH the khayaal haathoN meN
9.
hare bhare the kabhee mere khavaab bhee :Naheed:
haraa bharaa thaa lakeeroN kaa jaal haathoN meN


bohat ache, daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara
Sara jee,

kaisee haiN aap?
aap ko ye ghazal pasand aayee, iss se buhat khushee huyee. bus masroof ho gayee hai aur pehle kee tarah likhne kaa time hi nahi miltaa, magar gaahe gaahe ye shoq pooraa kar hi letee hooN :)

shukriya
Naheed

Posted: Mon Mar 13, 2006 7:57 pm
by sabeeh
assalamoalaikum naheed baji
sub se pehle tu tere naam kee aahat per mubarak baad

ghazal bohat achee hay........................bachpan se aik naat sunte chalay aarahay heN...................""Ajab hay kaif ajab hay khumar aankhoN meN basa huwa hay nabi ka dayar ankhoN meN qasam khuda kee medina jinhoN ne dekha hay me dhoond looNga wo aankheN hazar aankhoN meN"""""""""

ghazal perh ker beikhtiyar yaad aayeee
zameeN kee sair bhee kee aur falak bhee hoayee
wo dhoondhtay heN jo qismat ka haal haathoN meN
itnee achee ghazal se nawazne keliay................bohat bohat shukriyaaa