Page 1 of 3

Harf-e-"SHEEN" se ash'aar qalam_band kijiiye...shu

Posted: Tue Feb 21, 2006 6:36 am
by Hashmat Usmani
Harf-e-"SHEEN" se ash'aar qalam_band kijiiye...shukria.

shaam ke saaNvale chehre ko nikhaaraa jaaye
kiuN na saagar se koii chaand ubhaaraa jaaye


Qateel Shifaaii

"sheen"

Posted: Tue Feb 21, 2006 11:56 am
by Abdullah Nazir



shuAaA-e-mehr ne chehrah jhulas diyaa meraa

panaah lene ko jab saaya-e-shajar nah rahaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"sheen"

Posted: Thu Feb 23, 2006 2:07 am
by Abdullah Nazir



Shewa-e-Husn-e-taAalluq nahiN badlaa Nazir,

naagahaaN gou mire Haalaat ne badli karwaT.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir,


Posted: Sat Feb 25, 2006 4:24 am
by ummassad
shouq se nakami ki badoulat kucha .e.dil bhi toot gya
gurbat jisko raas na aayi aor watan bhi choot gya

Posted: Sat Feb 25, 2006 7:42 am
by Kashmala
shehr e dil mein ajab mohallay thay

un mein aksar naheen rahay aabaad

"sheen"

Posted: Sat Feb 25, 2006 3:06 pm
by Abdullah Nazir



SheAr likhkhe the Nazir ne tere liye

jaane kiyuN saamne nuktah cheeN aagaye.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"sham"

Posted: Sun Feb 26, 2006 1:04 pm
by Abdullah Nazir



yaad-e-jaanaaN meiN dil-e-zaar kii betaabi hei

mashghalah aur nahiN shaam o saHar kyaa keeje.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"sheen"

Posted: Fri Mar 03, 2006 1:49 am
by Abdullah Nazir



shikast-e-dil shikast-e-aarzoo hei

jo tum moNh pher lo meHshar bapaa ho.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"sheen"

Posted: Fri Mar 03, 2006 3:17 am
by Abdullah Nazir



shoAla-e-aatish-e-qurbat kii Zaroorat kyaa thii

pyaar jab tum ko jataanaa thaa gurezaaN houkar.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"seen"

Posted: Sun Mar 05, 2006 3:48 am
by Abdullah Nazir



shuAaAe-mehr ne chehrah jhulas diyaa meraa

panaah lene ko jab saaya-e-shajar nah rahaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Mar 06, 2006 6:21 am
by ummassad
shouq se nakaami ki badoulat sheesha .e. dil bhi toot gaya
gurbat jisko raas na aayi aor watan bhi choot gaya

"sheen"

Posted: Tue Mar 07, 2006 2:34 am
by Abdullah Nazir



shamA kiyuN shoAla-e-jaaNkaah se ghabraati hei

maiN isi aag meiN jal jal ke tou parvaanah banaa.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir,


Posted: Wed Mar 08, 2006 3:03 am
by Daanish
shauq, har rang, raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa
Qais tasveer ke parde meiN bhi uriyaaN niklaa--Ghalib

"sheen"

Posted: Wed Mar 08, 2006 3:56 am
by Abdullah Nazir



shaam-e-hijr kab furSat hei palak jhapakne kii

intizaar hei mujhko chaand ke nikalne kaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Mar 19, 2006 1:26 am
by ummassad
sune jaate na they tumse mere din raat ke shikye
kafan sarkao meri bezabani dekhte jao