Page 1 of 1

tare anfase Ghazal ! meree nazar meN

Posted: Tue Feb 21, 2006 10:59 am
by Jibraan Khalil
aziz doasto aur sathio
aadaab !

Hajj e baitulallah ke b'ad Jeddah meN muqeem
moHabbi w moshaffiq Abdulla Nazir Sahib se mulaqaat ka shurf Hasil huwa
ba~tawassat Bhai Mehtab Qadr,rukhsat hote waqt Abdullah Nazir sahib ne baRee muhabbat aur khuloos ke saath apna majmo'e kalaam ~~ ** tare anfase Ghazl ** ~~ iis Khaaksaar ko ataa kiya, aaj meN aapke saamne oonke majmo par apne taccuraat paish karne ki jasarat kar`raha hoN.
mujhe apni kam ilmi aur kam maiega ka shiddat se ehsass hai aur mujhe yeh bhi ma'loom hai ke apne iis taccuraat aur tajziye meN buhat si khamiyaN bhi bilashuba hongi jiske liye meN apne moHabbi w moshaffiq Abdullah Nazir saheb se paishghi dast basta mo'afi ka khuahasghar bhi hoN aur mujhe yaqeen vasiq hai ke hamesha ki tarah shafqat farmate huwe meree iis khata ko darghuzar farmayeNge.
jk.


Image
Image
Image
Image
Image
Image

Posted: Thu Feb 23, 2006 11:25 am
by sbashwar
Mohtarami Janab Jibran Khalil Saheb
Asslam Alaikom
Aapka tabcara Nazir Saheb ke 'Infas-e-Ghazal' par bohat pasand ayaa. Aap ne badi khobi ke saath usmein mazah bhi paida kiya (Naqqad & Pandit). :lol:
Saara Sahiba ka bhi shukria jinhoun ne dubara post karke SA mein muqeem humko pardne ka moqa'a diya.
Talib Dua
Salem Bashwar

Posted: Fri Apr 21, 2006 5:21 am
by Raji
moHtaram janab-e-Jibran Uncle
Aadaab-o-tasleemaat,

bohat taKheer se is post par likh rahii hooN jiske liye bohat ma'azrat Khwah hoN.
agar maiN ghalatee par naheeN hooN tu yeh aap kee pahlee sanjeedah teHreer hai jo meree nigha se guzree hai aur yaqeen keejiye ab apnii ghalatee ka eHsaas ho raha hai keh agar maiN moHtaram janab-e-Sarwar A. Raz SaaHeb kee kitaab par apne taacuraat likhne se qabl aap ka yeh maZmoon paRh letee tu kam az kam kuch behtar maZmoon likhne meN kaamyaab zaroor ho jaatee Khair is meN bhi Allah(swt) kee koyii raza ho gii :-)

aap ne bilkul Teak kaha keh baHeciyat-e-naqaad agar kisee bhi achii taKhleeq ka tajziyah kiyaa jaayeN tu shaahiiree nikal jaatee hai aur haath meN faqat chilkhaa hee reh jaataa hai. :-)

go keh maZmoon kee ibtidaa meN hee aap ne keh diyaa hai keh aap kee aaraa ek qaarii kee Heciyat se hai nah keh mubaSSir kee lekin maZmoon ka qaarii is baat ko baKhoobii samajh sakte heN mazmnoon-nighaar ke qalam ne Abdullah Nazir SaaHeb kee shaahiree kaa bohat ghehrayii se tajziyah kiyaa hai aur unkee shaairee ke bohat se ehm pahloo jinse ke kam az kam unke net ke qaareeen bilkul hee nawaqif the is mazmnoon ke bazariye aashinaa ho gaye heN.

unke diwan meN se aap ne bohat hee KhoobSoorat ashaar quote kiye heN. unhoN ne waqii meN "dasht" ko bohat Khoobii se iste'maal kiyaa hai.

aap ke taacuraat jaanne ke ba'ad ab yeh Khwahish zaroor hai keh Abdullah Nazir SaaHeb ke is diwan tak hamaree bhi rasaayii mumkin ho sake.

ek behtreen kawish kee taKhleeq ke liye meree jaanib se mubarakbaad qubool keejiye.

mamnoon-o-taalib-e-dua

Zahida Raees :Raji: