Page 1 of 1

Satati Rahi Chaandni...

Posted: Thu Mar 02, 2006 7:52 am
by munir-armaan-nasimi
Ek Ghazaal aap sab ke liye. Khas kar Ustad-e-fan Jb. A.Nazir Sahib ke liye. Meherbaani hogi agar islaah se nawaz kar meri ghazal ko aur khubsoorat bana dein.

mukhlish,

armaan

Bahut Khoob

Posted: Fri Mar 03, 2006 12:32 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Munir armaan Naseemi SaaHib, :-)

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki yeh ghazal mujhe beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT

Aapke maqTeA se pahle do sheAraoN se yooN lagtaa hei ke chaandni aap kisi kinaayeh kii TaraH isteAmaal karrahe heiN jo mubham houne ki vajah se us tak qaari kii rasaayi nahiN housakti.

Meri raaye meiN mandarja-e-zel sheAr ko tou yooN kiyaa jaasaktaa hei lekin yeh maHeZ meri raay hei jis se aapkaa muttafiq hounaa Zaroori nahiN hei:

gham ugaltaa rahaa din meiN sooraJ magar
raat bhar khooN rulaati rahi chaandni.


Iske baAd waale sheAr per bhi nazar-e-caani karnaa behtar hougaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sat Mar 04, 2006 7:30 am
by munir-armaan-nasimi

Beradaram Nazir Saheb,

Salam-o-Rehmat! yeh meri khush naseebi hai ke..meri ghazal aap ko pasand aayi. "Gam Ugalta Raha Din main Suraj magar == Khoon ke Aanso Rulati Rahi Chaandni"... mera yeh sher, Gujrat ke riots ke baad ke haalat pe hai... jab chand Muslim families ne ganne ke khet main chhup kar apni jaan bachani chahi thi...magar Chaandni Raat hone ki wazah se dangayion ne unhein dhoond nikala aur pure 25 logon ko zinda jala diya tha.

Baharhaal, aap ki islaah ko main ne note kar liya hai. sher aur umda ho gaya hai. aap ka tahe dil se shukr guzaar hoon. Ummed hai ke aage bhi hosla afzayi karte rahenge.

Khuda Hafiz,

aap ka bhai

Munir Armaan Nasimi

Shukriyah

Posted: Sat Mar 04, 2006 9:17 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Munir arman Nasimi SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :roll:

MaiN ne aapke sheAr ke baare meiN yehi likhkhaa thaa keh chandni ko kinayeh ke Taur per isteAmil kiyaa gayaa hou jou qaari ke liye mubham hou. Aap ne iske pas-manzar kaa zikr kardiyaa tou kaafi hei.

Meri nazar pahle miSreA kii munaasibat per gayii jou zaahiri maAani per mabni thii. Pahle miSreA meiN kiyunkeh sooraj ke zikr ke saath din ko laayaa gayaa thaa tou mere zehn meiN yehi baat aayi ke doosre miSreA meiN chaandni ke saath raat kaa zikr munaasib hougaa.

BaharHaal aapka sheAr aapki tashreeH ke liHaaz se bilkul Theek hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sat Mar 04, 2006 4:19 pm
by Shummu
wah munir sahab achchi ghazal kahi hai aapne..munfarid radeef ke saath...aap urdu version ke saath roman version bhi de diya karein to sher quote karne mein asaani hogi...shukriya..filhaal is khoobsurat ghazla pe dili daad qubool karein :-)

Shumaila

Posted: Sat Mar 04, 2006 11:27 pm
by ehsaas
Munir saheb acchi fghazal kahi

buhut shukria ham say share kernay ka

Posted: Tue Mar 07, 2006 8:01 am
by munir-armaan-nasimi
Dosto,

Main aap sab logon ka behad mamnoon hoon, especially of SARA ji that she converted my urdu ghazal into roman, which is quite difficult for me. Ye meri 'Khush Naseebi' hai ke main urdubandhan ke 'Bandhan' main aa gaya. Dher saare pur-kholoosh doston ke e-mails mil rahe hain.

Khuda kare ye 'Bandhan' kabhi na toote.

Ehsaas bhai aur Shummu ji ka behad shukriya ke unhon ne meri ghazal ko pasand kiya. Insha-Allah aage bhi ye silsila chalta rahega.

aap ka apna,

armaan

Posted: Wed Mar 08, 2006 12:04 pm
by sbashwar
Janab Arman Sahib
ASAK
Aapki ghazal bohat pasand aayee. Dili daad aur mubarak baad qubool kijiye.
Salem Bashwar

Posted: Thu Mar 09, 2006 10:51 am
by munir-armaan-nasimi
Beradaram Salim Saheb,

Armaan nawazi ka shukriya. Insa'Allah aage bhi aap ki pasand ka khayaal rakhoonga...aur koshish karoonga ke meri 'Ghazal' aap ke 'Dil ki Rani' ban jaaye.

Thankz once again,

aap ka apna


Munir Armaan Nasimi