Page 1 of 1

ab Hasrat e nazool e maseeHaa kare koie

Posted: Mon Dec 13, 2004 2:53 pm
by Jibraan Khalil
adna si kavish janab e WEBMASTER ki raheen e minnat :

Posted: Mon Dec 13, 2004 3:12 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

MoHtarami JK SaaHib, yeh zameen, yeh takhayyol, yeh Haq goi, yeh usloob-e-bayaaN, subHaan Allah :!:

Huzoor kis kis shea'r peh daad , doN :roll: . samajh maiN hi nahiN aataa keh shea'r ko dekhoN k daad doN :? .
Ghalib ki zameeN pe tukhm-afshaaney-e-sukhan , to bila-shuba aap jese SaaHibaan-e-i'lm hi karsaktey haiN :D . poori ki poori ghazal hai dil maiN utar gayee huzoor :!: . dherooooN daad qabool kejeye.

MokhliS : Zia Baloch

Bahut khoob waah waah

Posted: Tue Dec 14, 2004 11:54 am
by Abdullah Nazir

Muhtarami
JIBRAN KHALIL Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat, :)


Aapki ghazal behad pasand aayi , ahAar zubaan aur mazaameen ke lihaaz se bahut hii dilkash hei aur gahre mani rakhte heiN.

Meri daad aur mubarakbaad qubool farmaayiye.

Allah kare zour-e-qalam aur ziyaadah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Wed Dec 15, 2004 8:15 am
by rahmed25682
WAH WAH JK sahab WAH ...

Kia baat hay .. balkay Kia he baat hay ...

Zia sahab kee baat he zehan main aaty hay kay kis kis sher per daad dain ...

ALLAH karay Zor-e-Qalam aur ziyada ...

Khush rahain aur isee tarha apnay kalam say mustafeed kartay rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Thu Dec 16, 2004 3:11 pm
by sbashwar
Mohtaram JK Sahib
Asslam Alaikom.
Vah bohat achi ghazal kahi apne. meri dili mubarak baad khubool kijiye.
shukria
Salem Bashwar

Re: ab Hasrat e nazool e maseeHaa kare koie

Posted: Tue Jan 04, 2005 6:46 pm
by khozema husaini
Jibraan Khalil wrote:adna si kavish janab e WEBMASTER ki raheen e minnat :


aadaab
is khoobsoorat ghazal kay liye daad pesh ekhidmat hay
husaini

Posted: Wed Jan 26, 2005 11:14 am
by Raji
Mautraum Janab-e-JibaraaN sir,
Aadaab-o-tasleemat

Aap ka yeh kalaam bauth hee khoobsoorat hai. Mazmoon tu mera most favourate hai so daad aur mubarakbaad diye baghair nahein jaahoongi. :D

Lekin sir ek baat hai aap iTne baRe shair hoNe ke bawajood sirf nasaree forums per hee kiyon nazar aate hain :? . kisee shairee ke forum per aap ka kalaam nazar nahien aataa. aisa kiyon hai.
Aap kee do kitaabein jo mere paas maujood hain aap kee behtreen shairee ke saboot ke taur per maujood hain phir apne kalaam ke saaat aisee naa-insaafi kiyon :roll:


Aap ke mazeed kalaam ka intizaar rahe gaa

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Sat Jan 29, 2005 4:19 pm
by fatimah
aslaam_u_alikam

arrey waah fantastic uncle.
kiya baat hey.
aap ka yeh kalam bhi bohat pasand ayaa.
dheron daad qubool kijiye.

shukriya