Page 1 of 1

Ghazal : ashk mera kaaghazoN par

Posted: Mon Mar 06, 2006 12:22 pm
by Munawwar
YaaroN,
Urdubandhan meiN ek pehlaa kaaNptaa huaa qadam rakh rahaa hooN. Aap meiN se jo mujh se is se pehle ebazm ya sukhanwar meiN mil chuke haiN, mere baare meiN kuchh jaantey hi hoNge. BaaqiyoN ko aadaab.

Mera naam Bhaswar Dasgupta hai, takhallus "Munawwar" hai. MaiN yahaaN apnii ek ghazal pesh kar rahaa hooN, jise maiN ne doosre virtual bazmoN maiN bhii darj kiyaa hai.

Ashk mera kaaghazoN par..

ashk mera kaaghazoN par naqsh-o-nuqtaa ho gayaa
Gham ne dekhaa rang-i-mehfil, shokh naghmaa ho gayaa

ham ne jaanaa shaayarii ke faaideN bhii kam nahiiN
jab ke unke bazm tak jaane kaa rastaa ho gayaa

ham ne jab sarkaar ke sab aashiqoN ko dii sadaa
KHalq saarii aa gayii 'aur but bhii zindaa ho gayaa

pyaas tere maikade par kyaa bujhe, kyoNkar bujhe?
jaam khaali ho gaye, maiN aur tishnaa ho gayaa

yaar kii aankhoN meiN dekhaa faislaa-e-dil lagee
faislaa-e-tark-e-ulfat aur pukhtaa ho gayaa.

hai ghazal kaa ek haasil, dil se dil kii dostii
jis ne shaayar kii sunii, hamdard uskaa ho gayaa

doosroN kii chhoRkar too aaj apnii baat kar
zikr tere naam kaa ab ik fasaanaa ho gayaa

aye "Munawwar", saath tere shaayarii hai, dekh le
phir na kahnaa is jahaaN meiN tu bhi tanhaa ho gayaa.
-----------------------------------------------------------------------------

MaiN abhii taalib-e-fan-o-ilm hii hooN aur seekhne kii koshish kar rahaa hooN. Aapkii raye is ghazal par kyaa hai bataayeN.

Mamnoon aur khayaalaat kaa muntazir,
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"

Posted: Mon Mar 06, 2006 6:09 pm
by Munawwar
Sara ji,
Tah-e-dil se aapkaa shukr adaa kartaa hooN. Aapne zarrah nawaazii kii hai, aur is himmat afzaai ne mere qadmoN ko khud ba khud mazboot kar diye. Dar rahaa hooN ke qadam itne bhii jam na jaaye ki maiN mehfil kii dar-o-deewar meiN shaamil na ho jaaooN.
Aapka mazeed shukr adaa kartaa hooN.

Munawwar

Posted: Mon Mar 06, 2006 11:19 pm
by Mahtab Qadr
Janam Munawar sahib Aaadaab
Phale khushaamdeed phir ghazal ki peshkashi ka shukria.
bahut khoob , ye to pahla teer hai dekheiN aage aage aapke tarkash se kia kia nikalta hai. ghazal majmoi taur par achi hai pasand aai.
kam sini khail rahi hai , abhi kia rakhaa hai
aasra aasre waloN ne lagaa rakhaa hai
umeed ke apni mazeed kawishoN se nawazte raheiNge
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Tue Mar 07, 2006 7:19 am
by Munawwar
Shukriyaa Mahtab ji,

Shukriya
Bazm meiN bulaane kaa bhii aur ghazal par khayaalaat pesh karne kaa bhii.
Tarkash to fi-al haal khaali hai, rafta rafta kucch aur teer kamaan par aa bhii jaayeNge.

Mai to bas naam kaa hai shauq hamaare dil kaa.
Bazm ke farsh meiN saaraa hii nashaa rakhaa hai.


Khair-andesh
Munawwar