Page 1 of 1

Tarhii Misr "Aakhir is dard kii dawaa kyaa hai" pa

Posted: Wed Mar 08, 2006 5:03 pm
by Munawwar
DostoN,

Ghalib kii ghazal ke misr "Aakhir is dard kii dawaa kyaa hai" ko bataur tarhii misr jaankar yeh ghazal likhii hai maiN ne, jo Sukhanwar ke tarhii ghazal ke mushaire meiN pesh kii hai.

Ummeed hai aapko pasand aayegii:

raah meiN thak ke baiThtaa kyaa hai?

raah meiN thak ke baiThtaa kyaa hai?
faislaa ho to faaslaa kyaa hai?

zakhm, tuu bharne meiN lagaa kyaa hai?
dard dab jaaye to mazaa kyaa hai!

zindagii kii hai duubtii kashtii,
isko darkaar naakhudaa kyaa hai!

ibtedaa ishq kii na poochho kyaa
yaa khudaa, iskii intehaa kyaa hai?

woh hai khaamosh bazm meiN apney
yeh sazaa kyoN? mirii khataa kyaa hai?

umr apnii sharaab meiN Duubii,
phir bhii samjhe na ham, nashaa kyaa hai.

dekhkar haal-e-dil "Munawwar" ke
dam ne jaanaa ke TuuTnaa kyaa hai!

Bataaiegaa ke kaisii lagii?

Mamnoon,
Munawwar

Bahut khoob

Posted: Thu Mar 09, 2006 2:25 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Bhaswar Dasgupta :Munawwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Ghalib kii Zameen meiN aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.

Ummeed ke isi TaraH se aayindah bhi aap apne giraaNqadr kalaam se navaazte rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Thu Mar 09, 2006 4:51 pm
by sbashwar
Mohtarm Janab Munnawar Sahib
ASAK
Bohat acchi ghazal kahi aapne. Eh shair mujeh bohat pasand ayaa.

raah meiN thak ke baiThtaa kyaa hai?
faislaa ho to faaslaa kyaa hai?

Daad aur mubarak baad qubool kijiye.
Salem Bashwar