Ghazal--ik nuqta-e-orooj ka....
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Ghazal--ik nuqta-e-orooj ka....
ehl-e-bazm,
aap ki khidmat meiN eik ghazal pesh karne ki jasarat phir se kar raha huN.
Daanish
ik nuqta-e-orooj ka naqsh-e-zawaal huN
maazi jo apna bhool gaya, maiN woh haal huN
ghaafil hun apni zaat se, duniya se bekhabar
ik vahm huN, gumaan huN, khwaab-o-khayal huN
taskeen-e-rooh-o-qalb ki haajat nahiN mujhe
maiN beniyaaz-e-shewa-e-ehl-e-jamaal huN
awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sadaa
maiN waqt ke zameer meiN chhubtha sawaal huN
a'Ada bhi muatarif miri mehr-o-wafaa ke haiN
karta hai rashk jis pe falak woh misaal huN
tera wajood meher-e-munawwar hai aur maiN
tere hi aks-e-noor se maah-e-kamaal huN
tere karam se aarzoo-e-seem-o-zar nahiN
maiN beniyaaz-e-hasrat-e-maal-o-manaal huN

rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib

Janaab Daanish (Hyderabadi, agar maiN aapko saheeh pahchaan paa rahaa huN to),
Kyaa khoob ghazal kahii aapne! Jadoo daalaa hai har misre meiN.
Taalib-e-ilm kii maanind maiN ne aapkii ghazal kii tashreeH kii hai. Aap merii our se daad qabool kareN. Kabhii fursat se nacheez kii kawishoN par tawajjah bakhshe to khud ko khush naseeb maanooNgaa.
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"

din Dhalte waqt khursheed kii aakhrii kiran safhah-e-gardoN pe jaise yeh sher likh gayee ho.ik nuqta-e-orooj ka naqsh-e-zawaal huN
maazi jo apna bhool gaya, maiN woh haal huN
Khoob!ghaafil hun apni zaat se, duniya se bekhabar
ik vahm huN, gumaan huN, khwaab-o-khayal huN
Waah waah! Bahut khoob.awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sadaa
maiN waqt ke zameer meiN chhubtha sawaal huN
Sadqe!a'Ada bhi muatarif miri mehr-o-wafaa ke haiN
karta hai rashk jis pe falak woh misaal huN
Husn-e-khayaal to ham pe aashkaara hai hii, par lage haathoN physics kii sabaq bhii mil gayii. Mujhe yeh sher khaas taur pe pasand aaya (isliye nahiiN ke is meiN ek jaanaa pehchaanaa saa takhallus hai, balke iske isteyaaroN kaa istemaal waaqaii qaabil-e-daad hai.)tera wajood meher-e-munawwar hai aur maiN
tere hi aks-e-noor se maah-e-kamaal huN
Taalib-e-ilm kii maanind maiN ne aapkii ghazal kii tashreeH kii hai. Aap merii our se daad qabool kareN. Kabhii fursat se nacheez kii kawishoN par tawajjah bakhshe to khud ko khush naseeb maanooNgaa.
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami Daanish SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Bahut khoob, aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
ik nuqta-e-orooj ka naqsh-e-zawaal huN
maazi jo apna bhool gaya, maiN woh haal huN
Waah waah kyaa kehne, kyaa hi achcha maTlaA kahaa hei aap ne.
ghaafil hun apni zaat se, duniya se bekhabar
ik vahm huN, gumaan huN, khwaab-o-khayal huN
Neesti cuboot-e-hasti ast. Bahut khoob.
taskeen-e-rooh-o-qalb ki haajat nahiN mujhe
maiN beniyaaz-e-shewa-e-ehl-e-jamaal huN
Is sheAr meiN aapki aek khaaS kaifiyat hei jis meiN ahl-e-jamaal (yaAni Husn waalaoN) ko taskeen-e-rooH o qalb kaa Haajatmand qaraar diyaa hei.
awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sadaa
maiN waqt ke zameer meiN chhubtha sawaal huN
Bahut khoob waah waah. Chubhtaa sawaal khoob hei.
a'Ada bhi muatarif miri mehr-o-wafaa ke haiN
karta hai rashk jis pe falak woh misaal huN
Yeh bhi aek Haqeeqat hei. Bahut khoob.
tera wajood meher-e-munawwar hai aur maiN
tere hi aks-e-noor se maah-e-kamaal huN
Bahut khoob tashaabuh hei.
tere karam se aarzoo-e-seem-o-zar nahiN
maiN beniyaaz-e-hasrat-e-maal-o-manaal huN
Kyaa be-niyaazi hei waah waah. Aisa maAloom houtaa hei ke jaise kehrahe houN "nah sitaayish ki tamanna na Sile ki parvaa". Bahut khoob.
Ummee ke aise hii dilkash kalaam se navaazte rahenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Munnawar saheb
ji haaN 'maiN wohi huN Daanish-e-humnawa tumhe yaad ho ke na yaad ho'
aap se mulaqat ka sharaf khaaksaar ko haasil hai. maine dauran-e-guftagu shayari ke mutalliq bhi kuch khaama-farsaai ki thhi.
daad-o-tahseen ke liye bohat bohat shukriya. Ghalib ki zameen meiN aap ki ghazal paRHi maine. salees aur rawaaN hai.
mashq-e-sukhan karte rahiye. aap hum is maktab meiN 'classmates' haiN-
maa-o-MajnuN hum sabaq boodeim dar ayyaam-e-ishq
uu ba_sehra raft o maa dar kucha_ha ruswa shudeim
(hum aur MajnuN ishq ke zamane meiN hum sabaq thhe
woh sehra ki taraf chala gaya, aur hum inhiiN kuchoN me ruswa ho kar rah gaye)
phir mulaqat hogi-- ba_shart-e-hayat-o-sehat
Daanish
ji haaN 'maiN wohi huN Daanish-e-humnawa tumhe yaad ho ke na yaad ho'
aap se mulaqat ka sharaf khaaksaar ko haasil hai. maine dauran-e-guftagu shayari ke mutalliq bhi kuch khaama-farsaai ki thhi.
daad-o-tahseen ke liye bohat bohat shukriya. Ghalib ki zameen meiN aap ki ghazal paRHi maine. salees aur rawaaN hai.
mashq-e-sukhan karte rahiye. aap hum is maktab meiN 'classmates' haiN-
maa-o-MajnuN hum sabaq boodeim dar ayyaam-e-ishq
uu ba_sehra raft o maa dar kucha_ha ruswa shudeim
(hum aur MajnuN ishq ke zamane meiN hum sabaq thhe
woh sehra ki taraf chala gaya, aur hum inhiiN kuchoN me ruswa ho kar rah gaye)
phir mulaqat hogi-- ba_shart-e-hayat-o-sehat
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
Mukarrami Nazir Saheb
ghazal tafseel se paRHne aur izhaar-e-khayal farmane ke liye aap ka ehsaanmand huN. kya karuN? jin alfaaz meiN izhaar-e-tashakkur karna chaahta thha unheN mere dost Shafeeq ne istemaal kar diya.
hausla afzaai ke liye bohat bohat shukriya. haqeeqat mein aap ki tanqeed hamare liye islaah ka darja rakhti hai.
mamnoon

- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: Ghazal--ik nuqta-e-orooj ka....
Daanish wrote:ehl-e-bazm,
aap ki khidmat meiN eik ghazal pesh karne ki jasarat phir se kar raha huN.
Daanish
ik nuqta-e-orooj ka naqsh-e-zawaal huN
maazi jo apna bhool gaya, maiN woh haal huN
ghaafil hun apni zaat se, duniya se bekhabar
ik vahm huN, gumaan huN, khwaab-o-khayal huN
taskeen-e-rooh-o-qalb ki haajat nahiN mujhe
maiN beniyaaz-e-shewa-e-ehl-e-jamaal huN
awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sadaa
maiN waqt ke zameer meiN chhubtha sawaal huN
a'Ada bhi muatarif miri mehr-o-wafaa ke haiN
karta hai rashk jis pe falak woh misaal huN
tera wajood meher-e-munawwar hai aur maiN
tere hi aks-e-noor se maah-e-kamaal huN
tere karam se aarzoo-e-seem-o-zar nahiN
maiN beniyaaz-e-hasrat-e-maal-o-manaal huN
muHtaram
Danish SaaHib !
assalamOalaikuM
aap apnee Haseen Ghazal peh meree taraf se daad qubool keejiye -har she'r pasand aayaa-
khush rahye
du'aago
yasir
ghaafil hun apni zaat se, duniya se bekhabar
ik vahm huN, gumaan huN, khwaab-o-khayal huN
taskeen-e-rooh-o-qalb ki haajat nahiN mujhe
maiN beniyaaz-e-shewa-e-ehl-e-jamaal huN
awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sadaa
maiN waqt ke zameer meiN chhubtha sawaal huN
a'Ada bhi muatarif miri mehr-o-wafaa ke haiN
karta hai rashk jis pe falak woh misaal huN
tera wajood meher-e-munawwar hai aur maiN
tere hi aks-e-noor se maah-e-kamaal huN
WAH WAH WAH bahut khoob....bahut hi khoob...aap ka ye andaaz haaye bahut bhaaya dil ko...ek ek sher bada zabardast kaha hai aapne..aur poore confidence ke saath..kya baat hai.. :)
Dher saari daad pesh hai Daanish jee! :)
Shumaila
Last edited by Shummu on Thu Mar 16, 2006 12:19 pm, edited 1 time in total.
Shumaila Ji,
Waise, merii ghazleN bhii aapkii nazar ke muntazir haiN :-(
Munawwar
Aapki besh-qiimatii sitaaish kaa haqdaar maiN nahiiN balke Daanish Saahab haiN. Zaraa edit kar leN.Dher saari daad pesh hai Munawaar jee! :)
Waise, merii ghazleN bhii aapkii nazar ke muntazir haiN :-(
Munawwar
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
I'm so sorry for the blunder..bilkul yahi laga jaisa aapne likhi hai..kyonki aap dono ka andaaz milta julta hai....main bahut sharminda hoon ..inshaAllah aap ke kalaam ko bhi dekhungi main abhi edit kiye deti hoon..shukriya nishaandehi farmaane kaMunawwar wrote:Shumaila Ji,Aapki besh-qiimatii sitaaish kaa haqdaar maiN nahiiN balke Daanish Saahab haiN. Zaraa edit kar leN.Dher saari daad pesh hai Munawaar jee! :)