Page 1 of 1

ghazal: raat kay is pahar

Posted: Sun Mar 12, 2006 12:57 am
by sabeeh
assalamoalaikum,
aik baar phir aik aur khwab ke saath hazir hooN.........phir ik mulaqat kee rudaad...aap dosotoN ki aaraa ka muntazir rahoongaaa.
Sabeehuddin shoaiby

meN ne dekha hay kaisa ye sapna naya raat kay is pahar
mujh se bichRa huwa koi apna mila raat kay is pahar

neend kyuN uR gayee chain kyuN khogaya raat kay is pahar
ye achanak meray saath kia hogaya raat kay is pahar

phir achanak ye mausam suhana huwa raat kay is pahar
phir tumhari gali say chali hay hawa raat kay is pahar

dil meN jagee ye kaisee tamanna nayee, khud meN hairaN hooN
ik nayee aarzoo ne mujhay chooliya raat kay is pahar

aik manzil basee thee nigahoN meN janay wo kia hogayee
aur mujh ko mila aik rasta naya raat kay is pahar

meN tu apni kahani sunata raha raat kay is pahar
wo nigaheN jhukaye hee baitha raha raat ke is pahar

us ke mathay pe ik lat thee jis say huwa meN parishaN bohat
lakh chaha magar meN hata na saka raat kay is pahar

aur kia kijiay ga sabeeh us ki ab aap manzar kashee
waqt aya, aur aaker chala bhee gaya raat kay is pahar

Posted: Mon Mar 13, 2006 11:37 am
by sbashwar
Mohtaram Sabeeh Sahib
ASAK
Aapki ghazal ka har sheir bohat pasand ayaa. Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Salem Bashwar

Posted: Mon Mar 13, 2006 8:12 pm
by sabeeh
shukriya salem sahab.......bohat bohat shukriyaaa

Posted: Mon Mar 13, 2006 8:34 pm
by Mahtab Qadr
Sabeeh sahib , salaam
Jumla 8 ashaar mai se 4 matle aik maqta aur 3 sher par mabni aapki ghazal pasand aai.kafi lambi baher hai aur aapki koshish baharhaal kamyaab hai. umeed ke aapki mazeed nigarishaat se bhi mustafeed hote rahne ka mauqa milega
shukria
Mahtab Qadr

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Mar 14, 2006 3:10 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
SabeeH SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Apni Alaalat ke sabab aapki ghazal dekhne meiN takheer hougaie jis ke liye maiN muAafi chaahtaa hooN.

Bahut hi achchi kaavish hei aur aap fiTri shaayer bhi heiN. Is kaamyaab ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Is marHale meiN aap se sirf yehi kahungaa ke aap Kulliyaat-e-Faiz, kulliyaat-e-Qateel Shifaayi aur Ahmed Fraaz ki ghazleN baar baar paRheN. Is kaa nateejah yeh hougaa ke aapkaa aek andaaz qaayim houjaayegaa aur uske baAd aapke kalaam meiN bahut ziyaadah dilkashi paidaa houjaayegi.

Ye meri apni raaye hei jo aapke liye qaabil-e-qubool bhi housakti hei aur baSoorat-e-deegar aap isko nazar andaaz bhi karsakte heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue Mar 14, 2006 7:49 pm
by sabeeh
Mahtab Qadr wrote:Sabeeh sahib , salaam
Jumla 8 ashaar mai se 4 matle aik maqta aur 3 sher par mabni aapki ghazal pasand aai.kafi lambi baher hai aur aapki koshish baharhaal kamyaab hai. umeed ke aapki mazeed nigarishaat se bhi mustafeed hote rahne ka mauqa milega
shukria
Mahtab Qadr
kafee sanbhal ker tajziya kiya hay aap ne! Anyways bohat bohat shukriyaa ghazal ko sarahnay ke liay

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Mar 14, 2006 7:51 pm
by sabeeh
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
SabeeH SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Apni Alaalat ke sabab aapki ghazal dekhne meiN takheer hougaie jis ke liye maiN muAafi chaahtaa hooN.

Bahut hi achchi kaavish hei aur aap fiTri shaayer bhi heiN. Is kaamyaab ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Is marHale meiN aap se sirf yehi kahungaa ke aap Kulliyaat-e-Faiz, kulliyaat-e-Qateel Shifaayi aur Ahmed Fraaz ki ghazleN baar baar paRheN. Is kaa nateejah yeh hougaa ke aapkaa aek andaaz qaayim houjaayegaa aur uske baAd aapke kalaam meiN bahut ziyaadah dilkashi paidaa houjaayegi.

Ye meri apni raaye hei jo aapke liye qaabil-e-qubool bhi housakti hei aur baSoorat-e-deegar aap isko nazar andaaz bhi karsakte heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.

janab abdullah nazir sahib! gahzal ko pasand kerne ka shukriyaa............ye jo naam aap ne le diyay heN.......inhee ka faizan hay ke meN tooTee phooTee jaisee bhee gahzal keh leta hooN.......................
aap kee raye bohat qeematee hay aur isay nazar andaz kerne ka tu sawal hee paida nahi hota..................meN faraz,faiz aur qateel ke ilawa basheer badar ,arif shafeeq aur wasi shah ko bhee paRh raha hooN............