Page 1 of 1

Tarhii ghazal (Guzaarish #15)

Posted: Sun Mar 12, 2006 7:38 am
by Munawwar
yaaraan-e-mehfil, salaam!
Guzaarish - 15 par yeh merii chhotii sii koshish...

Ek Darvesh kii ghazal

dil-e-daraaz ke raazoN pe chashm waa na hu'aa
karam ke rang na samjhaa ke jo gadaa na hu'aa

gadey ka husn kii shokhii se waastaa na hu'aa
ke chaaNd kuchh bhii jaley naan ke siwaa na hu'aa

Thikaana kyaa kisii darvesh kaa, na poochiye bas,
zameeN tamaam hii; yaa kucch bhii aasraa na hu'aa

ye bhook pyaas to lagne se baaz aa hi gaye
to farq kyaa ke maiN insaan hi hu'aa na hu'aa

"do kucch to khush raho, kucch na do to khush raho"
sadaa yahii diye is dar se maiN rawaana hu'aa

jagah to khuld meiN hogii hamaare waaste bhii
nahiiN hai Gham ke maiN is faani khulq kaa na hu'aa

gadey hazaar haiN is raah-e-zindagii pe magar,
ko'ii janaab "Munawwar" sa doosraa na hu'aa
----------------------------------------------------------------------------

Kaisii lagii bataa'iegaa.

Bhaswar Dasgupta "Munawwar"

Posted: Mon Mar 13, 2006 1:49 pm
by jawaid badauni

Azeezi Munawar SaHab
Aadaab.o.tasleemaat

Aap ki tarahee Gazal nazar nawaz hoii. Munfarid andaz hai. Gazal mujhe pasaNd aii. Daad qubool kijiye.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Posted: Mon Mar 13, 2006 3:43 pm
by Munawwar
Jawaid jii,
aapkaa bahut bahut shukriya. MaiN kuchh fikrmand thaa ke ash'aar meiN jo zameeni rishta hai woh ahbaab ko raas aayegaa ke nahiiN. AmoomaN, ghazal ke ash'aar mukhtalif muddoN par hote haiN.
mujhe behad khushii hai, ke aapko ghazal pasand aayi. Aapki tarahii ghazal bhii khoob thii.

mukhlis.
Munawwar

Posted: Thu Mar 23, 2006 5:07 am
by Munawwar
Sara jii,
aap kii zarrah nawaazii hai.

Aap kii tarhii ghazal har lihaaz se merii ghazal se bahtar hai.
MaiN aapkaa shukrguzaar hooN ke aapne ghazal pasand kii.

Mamnoon,
Munawwar.