Page 1 of 5

Lafz par ashaar#28-"taSveer" per ashAar likhiye

Posted: Mon Mar 20, 2006 1:03 pm
by Abdullah Nazir


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS tasleemaat, :rose

Mehrbaani farmaakar "tasveer" per ashAar likhiye:
Macalan meraa sheAr hei:

baAd-e-muddat jo nazar aayaa hei shehr-e-ulfat

souchtaa hooN kisi veeraane ki TASVEER nah hou.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Aadab

Posted: Mon Mar 20, 2006 5:34 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Nazir SaHeb.
aadaab!

aap ke Hukm kee za'meel meN taSweer par do asha'aar pesh-e-khidmat haiN. aor donooN ka rang bhi yaksaaN hai.

naqsh faryadee hai. kis kee shokhiy-e-teHreer ka.
kaGhazee hai perahan har pekar-e-TASWEER ka.
(mirza Ghalib)



noor se bhar jae'e dil woh rang hai. teHreer ka.
aap kiya ho ga keh jab a'alam hai.yeh TASWEER ka.
(u'beed ullah a'aleem)


ab bat chal hi nikli hai. to aek aor she'er bhi ho jae'e.

shaoq us dasht meN daoRe'e hai.mujh ko keh jahaaN.
jadah Ghaer az nigah-e-dedah-e'-TASWEER naheeN
(mirza Ghalib)

aor lage hathooN...yeh bhi hojae'e.

lab ho gae'e haiN tish´nah-e'-taqreer kiya kareeN
dekha tomheeN to ho gae'e TASWEER kiya kareeN.
(muzaffar) :-)


Wassalam
khadim muzaffar

Posted: Mon Mar 20, 2006 11:49 pm
by ummassad
chand tasweer.e butan aor hseenoun ke kutoot
baad merne ke mere gher se yh saaman nikla

taSweer

Posted: Tue Mar 21, 2006 5:58 am
by Abdullah Nazir



wo agar pardeh meiN hei, taSweer os ki dekh loon

bekhudi meiN chand lamHe houshiyaari hi sahi.


ShaaYyer: Abdullah Nazir.


Nazir.


TaSweer par she'er.

Posted: Tue Mar 21, 2006 6:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
HaZ^rat Ameer AHmad Menai marHoom ka mat^la' pesh-e-khidmat hai.


a'ashikooN se hai taraqqi Husn ki tanweer meN
jinke rukh se rang uRh aaya teri taSweer meN.


Wassalam
muz^affar

Posted: Thu Mar 23, 2006 3:47 am
by yasir shah
Saf baandhay donoN jaanib booTay haray haray hoN
naddee kaa Saaf paanee taSweer le rahaa ho


-------------------------------------------(Iqbal:aik aarzoo)

"taSveer"

Posted: Fri Mar 24, 2006 8:47 am
by Abdullah Nazir



kisi taSveer ko maiN be-iraadah choom letaa hooN

magar goongi hei kyaa boule, kare iqraar-e-lab kaisaa.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Mar 25, 2006 10:04 am
by Shummu
apney badley miree tasweer nazar aa jaati
tu ne us waqt agar aaina dekhaa hotaa

Ahmed Nadeem Qasmi (1964 : MuHeet)

tasveer par ek she'er.

Posted: Sat Mar 25, 2006 11:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Barang-e-gul Saba se kab khila dilgeer dil mera

keh hai baaGh-e-jahaaN meN Ghunchah-e-taSveer dil mera

(Shaikh Zaoq)

"taSveer"

Posted: Sat Mar 25, 2006 12:42 pm
by Abdullah Nazir



"muSavvir Laila o MajnooN ki naakaami peh HairaaN heiN

kabhi baiThaa nah milkar pehlooay-e-taSveer pehloo se."


Shaayer: sheikh Mohammed Ibrahim Zauq


Nazir.


"taSveer"

Posted: Sat Mar 25, 2006 1:26 pm
by Abdullah Nazir



kabhi furqat meiN kartaa hooN tiri taSveer se baateN

kabhi khwaabaoN meiN tujhko dekhkar karvaT badaltaa hooN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Mar 25, 2006 7:07 pm
by Shummu
ye aakhri khat,aakhri tasweer bhi leta jaa
maiN bhoolne waaloN ki nishaani nahi rakhtaa

Posted: Sun Mar 26, 2006 10:40 am
by Shummu
Badgumaanee bhee ajab shai hai, kay baitay baitay,
Dil kay aainay main tasweer badal jaatee hai!!!

"taSveer"

Posted: Sun Mar 26, 2006 5:41 pm
by Abdullah Nazir



qismat ko ro'uN yaa tiri ghaflat kaa gham karuN

tuu bhii nahiN hei aur tiri taSveer bhi nahiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


tasveer par ek she'er.

Posted: Sun Mar 26, 2006 9:34 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
aae'nah-e-jamaal se saktah howa mujhe


taSveer-e-yar dekh kar taSveer ho geya.