Page 1 of 1

tarahi ghazal--"Zindagi se humeiN mila kya hai"

Posted: Thu Mar 23, 2006 3:28 pm
by Daanish
ehl-e-bazm

dosto
ek bazm meiN Ghalib ka maqbool misrA--"aakhir is dard ki dawaa kya hai" bataur-e-misrA-e-tarah diya gaya. yuN tau yeh kaavish is layaq nahiN ke yahaN pesh karuN, phir bhi yeh gustaakhi kar raha huN. paRHiye aur apni giraaNqadr aara se nawaaziye.

Daanish




zindagi se humeiN mila kya hai?
namuraadi ke maasiwa kya hai?

barq-o-Khirman meiN dosti kaisi?
imtihaan-e-rah-e-wafaa kya hai?

raunaq-e-bazm-e-ghair ho kar tum
kehte ho is meiN narawaa kya hai?

khhinch ke aa hi gaye woh paas mire
aaj jaa kar khhula duaa kya hai

chaaragar jab ailaaj kar na sakay
pursish-e-haal meiN rahaa kya hai?

adl ki kuchh daleel ho Daanish
beKhataa huN tau yeh sazaa kya hai?

Bahut khoob, waah waah

Posted: Thu Mar 23, 2006 5:16 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Daanish SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Mirza Ghalib ke miSreA per aapki TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houi. Aap ne bahut achche mazaameen qalamband kiye heiN. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Apni bazlah-sanji ke baavajood aapkaa munkasir-ul-mizaaj hounaa hamaare liye aek mashAal-e-raah se kam nahiN.

MULAAHIZAAT

zindagi se humeiN mila kya hai?
namuraadi ke maasiwa kya hai?


MaTlaA achcha hei lekin yaas o qunooT ki kaifiyyat hei jo zindagi meiN ghair mutavaazin Haalaat ke acaraat ki den hei.

barq-o-Khirman meiN dosti kaisi?
imtihaan-e-rah-e-wafaa kya hai?


Pahla miSraA laajavaab hei jis meiN aap ne ziddain ke Adam tavaafuq kaa zikr kiyaa hei. Is ki munaasibat doosre miSreA meiN vaaZeH nahiN housuki. Is meiN koii shak nahiN keh aapke zehn meiN koii nah koii mafhooM hougaa lekin meri nazar meiN agar doosraa miSraA pahle miSreA kii TaraH dilpazeer hou to sheAr bahut ziyaadah behtar houjaayegaa.

raunaq-e-bazm-e-ghair ho kar tum
kehte ho is meiN narawaa kya hai?


Bahut khoob, waah waah.

khhinch ke aa hi gaye woh paas mire
aaj jaa kar khhula duaa kya hai


Waah waah, bahut khoob. Aaj jaakar khulaa se aap ke maTlab hei ke aaj jaakar yeh bhed khulaa. Kyaa kehne.

chaaragar jab ailaaj kar na sakay
pursish-e-haal meiN rahaa kya hai?


Bahut khoob, waah waah.

adl ki kuchh daleel ho Daanish
beKhataa huN tau yeh sazaa kya hai


Waah waah, Daanish SaaHib, kyaa kehne bahut achchaa maqTaA kahaa hei aap ne.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sun Mar 26, 2006 2:15 am
by Daanish
Mohtarmi Nazir Saheb
adaab

daad-o-tahseen ke liye aap ka mamnoon huN. aap ki tanqeed baja hai--"barq ko khirman meiN dosti kaisi" ka khayal namukammal sa rah gaya. koshish karunga ke "naqsh-e-caani behtar az naqsh-e-awwal" ki soorat ho...majmooi taur par ghazal pasand farmane ke liye aap ka bohat bohat shukriyah.

khair andesh
khaaksaar
Daanish

Posted: Wed Mar 29, 2006 4:25 am
by rahmed25682
Salam Daanish sahab ...

Aik khoobsurat ghazal kahnay aur hum tak pohnchaanay per MUBAARAK-BAAD qubool karaiN.

ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA

Khush rahaiN

Khair Andesh

Raheel Ahmed