Page 1 of 1

Ghazal: kia kia nahi milta

Posted: Thu Mar 23, 2006 10:16 pm
by sabeeh
assalamoalaikum,
aik ghazal liay hazir hooN.........jahaN kahiN drustgee kee gunjayesh lagay kerdijiay gaaa.............aap kee araa ka muntazir
Apka
sAbeEh

is shehr kay bazaar meN kia kia nahiN milta
phir bhee mujhay koi tiray jaisa nahiN milta

jo kuch dil e nakam ne chaha nahiN milta
manzil nahiN miltee kabhi rastan nahiN milta

lehja nahi milta kabhee chehra nahiN milta
dunia meN hamaiN aik bhi tum sa nahiN milta

chHoRa hay jo ghar aik tu dooja nahi milta
ab dil sa tiray koi Thikana nahiN milta

lashoN ke is anbar meN dhoonda, nahiN milta
booRhay ko buRhapay ka sahara nahiN milta

us qaum ki taqdeer ka Allah hee hafiz
haqdar ko jis jaga haq apna nahi milta

badal tu barastay heN jahaN bhar meN barabar
sehra ko magar aik bhee qatra nahi miltaa

kia zulm hay is shehr kay logoN pe ay humdum
ronay keliay dost ka kundha nahi milta

ghar choR kay apna koi pardes gaya thaa
kehta hay ke pardes meN saya nahi milta

koi khushee miltee hay tu miltee hay adhooree
gham jab kabhi milta hay akaila nahiN miltaa

Posted: Sun Mar 26, 2006 2:56 pm
by sbashwar
Mohtaram Sabeeh Sahib
ASAK
Vah bohat khoob. Aapki ghazal ka har sheir pasand ayaa.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Salem Bashwar

Bahut khoob

Posted: Mon Mar 27, 2006 4:56 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
SabeeH Shoaibi SaaHib

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jo aapke zindah iHsaasaat ki tarjumani karrahi hei. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ummeed kartaa hooN ke aap apna adabi safar jaari rakhte houe apni dilkaswh shaayeri se navaazte rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Mar 27, 2006 9:22 pm
by sabeeh
sbashwar wrote:Mohtaram Sabeeh Sahib
ASAK
Vah bohat khoob. Aapki ghazal ka har sheir pasand ayaa.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Salem Bashwar
waalaikumassalam salim bhaeee
bohat mamnoon hooN................ke aap ne meri kavish per naZr Dalee aru hauSla afzayee kee

Re: Bahut khoob

Posted: Mon Mar 27, 2006 9:24 pm
by sabeeh
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
SabeeH Shoaibi SaaHib

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jo aapke zindah iHsaasaat ki tarjumani karrahi hei. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ummeed kartaa hooN ke aap apna adabi safar jaari rakhte houe apni dilkaswh shaayeri se navaazte rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.

janaab nazir saheb,
bohat bohat shukriyaa ke aapne meray napukhta aur kham kalam ko paRha aur apnay qeemtee alfaz inayat kiay.......

Re: Ghazal: kia kia nahi milta

Posted: Wed Mar 29, 2006 8:40 pm
by sabeeh
sara_j wrote:
sabeeh wrote:assalamoalaikum,
aik ghazal liay hazir hooN.........jahaN kahiN drustgee kee gunjayesh lagay kerdijiay gaaa.............aap kee araa ka muntazir
Apka
sAbeEh

is shehr kay bazaar meN kia kia nahiN milta
phir bhee mujhay koi tiray jaisa nahiN milta

jo kuch dil e nakam ne chaha nahiN milta
manzil nahiN miltee kabhi rastan nahiN milta

lehja nahi milta kabhee chehra nahiN milta
dunia meN hamaiN aik bhi tum sa nahiN milta

chHoRa hay jo ghar aik tu dooja nahi milta
ab dil sa tiray koi Thikana nahiN milta

lashoN ke is anbar meN dhoonda, nahiN milta
booRhay ko buRhapay ka sahara nahiN milta

us qaum ki taqdeer ka Allah hee hafiz
haqdar ko jis jaga haq apna nahi milta

badal tu barastay heN jahaN bhar meN barabar
sehra ko magar aik bhee qatra nahi miltaa

kia zulm hay is shehr kay logoN pe ay humdum
ronay keliay dost ka kundha nahi milta

ghar choR kay apna koi pardes gaya thaa
kehta hay ke pardes meN saya nahi milta

koi khushee miltee hay tu miltee hay adhooree
gham jab kabhi milta hay akaila nahiN miltaa
wah sabeeh ! bohat khoob!

bari dilkash aur umda ghazal kahi aapne.

sabhi ashaar bohat pasand aaye, meri janib se daad qubool keejiye.

sara
bohat bohat shukriyaa sara_j aapka