Page 1 of 1

"Khaaif nahiN haiN ishq ke baar-e-giraaN se hum"--

Posted: Thu Mar 30, 2006 12:48 pm
by Daanish
dosto
kuchh din pehle eik shayri nashist ke liye hamare shahar (Hyderabad, India) ke buzurg shayar Khwaja Shauq ka misrA "dars-e-hayaat lete haiN aab-e-rawaaN se hum" bataur-e-misra-e-tarah diya gaya thha. is zameen meiN asaatezaa ki ghazleN bhi maujood haiN (Haali, Ameer Meenai waghairah).
digar sho'ra ke saath saath khaaksaar ne bhi is zameen meiN taba_azmaai ki aur apni is haqeer shayri kaavish ko qaarayeen-e-bazm ki khidmat mein baraye tabsirah pesh karne ki sa'adat haasil kar raha huN

Daanish


khaaif nahiN haiN ishq ke baar-e-giraaN se hum
Darte haiN lekin apne dil-e-natawaaN se hum

hum ko shab-e-firaaq lab-e-gor kar gayi
phir bhi na chain paa sakay dard-e-nihaaN se hum

hai apni bezabaani bhi sad_rashk-e-guftagu
kya kuchh na keh gaye haiN sukoot-e-zabaaN se hum

sauGhaat-e-dard, tohfa-e-Gham, armuGhaan-e-zakhm
kya kya sameT laye haiN us aastaaN se hum

ik aisi saaz-baaz dua aur asar meiN hai
Darte haiN maangte hu'e kuchh aasmaaN se hum

misl-e-habaab waqt ki maujoN pe hai nafas
"dars-e-hayaat lete haiN aab-e-rawaaN se hum"

gard-e-rah-e-safar hi tau thhi haasil-e-safar
daaman jhhaTak ke uThh gaye is KhaakdaaN se hum

shama-e-hayaat bujh gayi Daanish ba_faiz-e-marg
aakhir rihaayi paa hi gaye qaid-e-jaaN se hum





Bahut khoob, waah waah

Posted: Thu Mar 30, 2006 4:41 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Daanish SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT

khaaif nahiN haiN ishq ke baar-e-giraaN se hum
Darte haiN lekin apne dil-e-natawaaN se hum


Waah waah, bahut khoob, Bahut achchaa maTlaA hei.

hum ko shab-e-firaaq lab-e-gor kar gayi
phir bhi na chain paa sakay dard-e-nihaaN se hum


Bahut achchaa sheAr hei. Shab-e-firaaq gor ke moNh tak le aayi aur is ke baavajood dard-e-nihaaN se nijaat nah mil saki.

hai apni bezabaani bhi sad_rashk-e-guftagu
kya kuchh na keh gaye haiN sukoot-e-zabaaN se hum


Waah bahut khoob. Bezabaani kaa rashk-e-guftgoo hounaa bahut hii achche andaaz meiN kahaa hei aap ne.

sauGhaat-e-dard, tohfa-e-Gham, armuGhaan-e-zakhm
kya kya sameT laye haiN us aastaaN se hum


Waah waah, kyaa kehne.

ik aisi saaz-baaz dua aur asar meiN hai
Darte haiN maangte hu'e kuchh aasmaaN se hum


Aap kehrahe heiN ke duAa aur acar meiN saas-baaz hei. DaraSl duAa hou yaa acar dounoN hii aasmaan ke taabeA heiN. Phir aasmaan se kuch maangte houe darne ki kyaa Zaroorat hei jabkeh duAa ke baare meiN kahaa gayaa hei ke wo ibaadat ka labb-e-lubaab houti hei aur yeh bhi kahaa gayaa hei ke duAa muqaddar ko badal sakti hei. Baharhal aapke is sheAr ke mafhoom ko pahounchne meiN mujhe diqqat pesh aayi. Yeh Zaroori nahiN ke aapki fikr mere nuqTa-e-nazar se muttafiq hou.


misl-e-habaab waqt ki maujoN pe hai nafas
"dars-e-hayaat lete haiN aab-e-rawaaN se hum"


Waah waah, jitni bhi taAreef ki jaaye kam hei. Bahut hi dilkash gireh lagaayi hei aap ne Janab Khwaajah Sahuq ke miSreA per. Agar wo sune hounge tou jhoom gaye hounge.

gard-e-rah-e-safar hi tau thhi haasil-e-safar
daaman jhhaTak ke uThh gaye is KhaakdaaN se hum


Yeh sheAr bhii laajavaab hei. Bahuit khoob.

shama-e-hayaat bujh gayi Daanish ba_faiz-e-marg
aakhir rihaayi paa hi gaye qaid-e-jaaN se hum


MaqTaA rivaayati qism kaa hei aur bahut achchaa hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Fri Mar 31, 2006 4:19 am
by rahmed25682
Salam Daanish sahab ...

MASHALLAH bohat he achhy aur umda ghazal kahy hay aap ne.
Mery taraf se daad qubool farmaayeN.

Maahiraana raaye to janab Nazir sahab day he chukay haiN.is liye humara kuchh kahna sooraj ko chiraagh dikhaanay k mutraadif hoga.

Khush rahaiN

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Fri Mar 31, 2006 5:38 am
by Munawwar
Janaab Daanish saahab,

Bahut khoob! BaRi khoobsoorat ghazal sar-e-bazm rakhii aapne. Har she'r meiN aapki ustaadi aur khayaal-o-bayaaN ki pukhtagii pesh-e-nazar hai. Yeh kaamil aur haseen ghazal, Khwaja saahab kii yaad meN chaRhaaye phool ki maanind sadaa mehke!
hai apni bezabaani bhi sad_rashk-e-guftagu
kya kuchh na keh gaye haiN sukoot-e-zabaaN se hum

sauGhaat-e-dard, tohfa-e-Gham, armuGhaan-e-zakhm
kya kya sameT laye haiN us aastaaN se hum

misl-e-habaab waqt ki maujoN pe hai nafas
"dars-e-hayaat lete haiN aab-e-rawaaN se hum"

gard-e-rah-e-safar hi tau thhi haasil-e-safar
daaman jhhaTak ke uThh gaye is KhaakdaaN se hum

Bilkul isii zameen par nahiiN, par miltii jultii zameen par mashhoor shaayar Saahir Ludhianvi ne ek meeThee ghazal likhi thii.
Tang aa chuke haiN kashmakash-e-zindagii se ham...

Yeh kehnaa ghalat na hogaa, ke aapke andaaz meN Sahir kii tahreer kii gunj thii. Merii jaanib se dilii daad qabool kareN, Daanish saahab.

Mukhlis,
Munawwar

Posted: Sat Apr 01, 2006 2:31 am
by Daanish
Mohtarami Nazir Saheb
aadaab
ghazal tafseel se paRHne ke liye aur apni giraaNqadr aara se nawaazne ke liye aap ka behad mamnoon huN. yaqeen maaniye, har kaavish par aap ki raye ka baRHi bechaini se intezaar rahta hai. baghair kisi mubaalighe ke arz-e-khidmat hai ke mere ehbaab meri ghazal se zyaada aap ki daad par jhoomte haiN kyoN ke aap ki daad rashk-e-ghazal hai.
ik aisi saaz-baaz dua aur asar meiN hai
Darte haiN maangte hu'e kuchh aasmaaN se hum
is shayr ke ta'lluq se bas yahi arz karna chahunga ke dua-o-asar yaqeeni taur par aasmaan ke taabeA haiN. shayar yeh mehsoos karta hai ke aksar uski dua be asar hoti hai aur mazeed aasmaan se kuchh maangte hu'e Darta hai. lekin ho sakta hai ke mafhoom ki adaaigi na ho paayi ho.

Hazrat Khaja Shauq ki sadarat meiN yah nashist munaqqid hui thhi lekin Khaaksaar is meiN shareek na ho saka.

khaaksaar
Daanish

Posted: Sat Apr 01, 2006 2:42 am
by Daanish
Mukarramii Raheel Ahmed Saheb
Aadaab-o-tasleemaat. ghazal ki pazeerayi ke liye aap ka bohat bohat shukriyah.
ba_sad Khuloos
khaaknasheen
Daanish

Posted: Sat Apr 01, 2006 2:46 am
by Daanish
Janab Munawwar Saheb
purkhuloos tasleemaat.
ghazal pasand farmane ke liye aap ka shukrguzaar huN. ustaadi kahaN aur ham kahaN saheb--man aanam ke man daanam! tifl-e-maktab huN.
ghazal ki pazeerayi ke liye aap ka mamnoon huN.

khair andesh
khaaknasheen
Daanish

Posted: Sat Apr 01, 2006 5:59 pm
by Shummu

khaaif nahiN haiN ishq ke baar-e-giraaN se hum
Darte haiN lekin apne dil-e-natawaaN se hum

hum ko shab-e-firaaq lab-e-gor kar gayi
phir bhi na chain paa sakay dard-e-nihaaN se hum

hai apni bezabaani bhi sad_rashk-e-guftagu
kya kuchh na keh gaye haiN sukoot-e-zabaaN se hum

sauGhaat-e-dard, tohfa-e-Gham, armuGhaan-e-zakhm
kya kya sameT laye haiN us aastaaN se hum

ik aisi saaz-baaz dua aur asar meiN hai
Darte haiN maangte hu'e kuchh aasmaaN se hum

misl-e-habaab waqt ki maujoN pe hai nafas
"dars-e-hayaat lete haiN aab-e-rawaaN se hum"

gard-e-rah-e-safar hi tau thhi haasil-e-safar
daaman jhhaTak ke uThh gaye is KhaakdaaN se hum

shama-e-hayaat bujh gayi Daanish ba_faiz-e-marg
aakhir rihaayi paa hi gaye qaid-e-jaaN se hum
wah wah daanish jee ..bahut hi khoobsurat ghazal se nawaaza hai..ustaadaana rang liye hue aap ki ye ghazal mujhe bahut pasand aayi..dili daad pesh hai :grin:

shumaila

Re: "Khaaif nahiN haiN ishq ke baar-e-giraaN se hum&quo

Posted: Sun Apr 02, 2006 2:40 am
by yasir shah
Daanish wrote:dosto
kuchh din pehle eik shayri nashist ke liye hamare shahar (Hyderabad, India) ke buzurg shayar Khwaja Shauq ka misrA "dars-e-hayaat lete haiN aab-e-rawaaN se hum" bataur-e-misra-e-tarah diya gaya thha. is zameen meiN asaatezaa ki ghazleN bhi maujood haiN (Haali, Ameer Meenai waghairah).
digar sho'ra ke saath saath khaaksaar ne bhi is zameen meiN taba_azmaai ki aur apni is haqeer shayri kaavish ko qaarayeen-e-bazm ki khidmat mein baraye tabsirah pesh karne ki sa'adat haasil kar raha huN

Daanish


khaaif nahiN haiN ishq ke baar-e-giraaN se hum
Darte haiN lekin apne dil-e-natawaaN se hum

hum ko shab-e-firaaq lab-e-gor kar gayi
phir bhi na chain paa sakay dard-e-nihaaN se hum

hai apni bezabaani bhi sad_rashk-e-guftagu
kya kuchh na keh gaye haiN sukoot-e-zabaaN se hum

sauGhaat-e-dard, tohfa-e-Gham, armuGhaan-e-zakhm
kya kya sameT laye haiN us aastaaN se hum

ik aisi saaz-baaz dua aur asar meiN hai
Darte haiN maangte hu'e kuchh aasmaaN se hum

misl-e-habaab waqt ki maujoN pe hai nafas
"dars-e-hayaat lete haiN aab-e-rawaaN se hum"

gard-e-rah-e-safar hi tau thhi haasil-e-safar
daaman jhhaTak ke uThh gaye is KhaakdaaN se hum

shama-e-hayaat bujh gayi Daanish ba_faiz-e-marg
aakhir rihaayi paa hi gaye qaid-e-jaaN se hum




Danish SaaHib !

aap ki pooree Ghazal qaabil-e-teHseen hay -


gard-e-rah-e-safar hi tau thhi haasil-e-safar
daaman jhhaTak ke uThh gaye is KhaakdaaN se hum

shama-e-hayaat bujh gayi Daanish ba_faiz-e-marg
aakhir rihaayi paa hi gaye qaid-e-jaaN se hum


apnee pooree Ghazal peh meree taraf se daad qubool keejiye -

khush rahye
du'aago
yasir

Posted: Mon Apr 03, 2006 2:31 am
by Daanish
Mohtarma Shumaila Saheba
Aadaab
ghazal ki pazeerayi ke liye aap ka mamnoon huN. zarrah_nawazi ke liye bohat bohat shukriyah.
khaaksaar
Daanish

Posted: Mon Apr 03, 2006 2:34 am
by Daanish
Mohtaram Yasir Shah Sab
ghazal pasand farmane ke liye aap ka bohat bohat shukriyah. umeed hai ke aap mustaqbil meiN bhi khaaksaar ki kaavishoN ko paRHne ki zehmat gawara farmayenge.

khair andesh
Daanish