Page 1 of 1

:: Raaz-e-do a'aalam tiree aaNkhoN k paimaane maiN hai ::

Posted: Fri Mar 31, 2006 8:22 am
by Star Mind
Yaaran-e-meHfil , aadaab !
ummed hai k aap sab Hasb-e-ma'mool Kheryat se hoNge ! jaise k maiN Hasb-e-ma'mool itne lambe waqfe k baa;'d Haazir howaa hoN ! magar Khudaa raa jawab dejeyega ! der se hi sahee inshaa Allah jawab doNga ! :-)

Ghazal kehne se pehle a'rz karoN k ye Ghazal maiN ne Sarwar SaaHib ki Ghazal se muta;ccir hokar likhee hai ! unki Ghazal ka mat^;la hai

"woh mazaa sarwar na ka'ba maiN na but Khaane maiN hai
jo mazaar-e-i'shq par be mot marjaane maiN hai"

so maiN ne unhee k mata^la' ko zaraa sa tabdeel karke apna mat^la kahaa hai ! to arz hai k

Ghazal

1.

woh mazaa YAA RAB na ka'ba maiN na but Khaane maiN hai
jo tiree ulfat maiN jal kar Khaak hojaane maiN hai ! :)

2.

naaSiHaa ! too i'shq se waaqif nahiN hai , mujh se pochh
lut^f-e-hastee hee fareeb-e-a'aashiqee khaane maiN hai ! :D

3.

ShaiKh jee ! tum jis qiyaamat se Daraate ho mujhe
woh qiyaamat to mire di ke Sanam Khaane maiN hai ! :-)

4.

saaqiyaa ! teree nigaahoN maiN koii to baat hai ! :smt045
pyaas itnee jo sharaab-e-shauq pee jaane maiN hai ! ;)


aur ab maqt^a'

5.

too jo chaahe to Hayaat-e-jaavidaaN paa le :Zia: !
raaz-e-do a'aalam tiree aaNkhoN k paimaane maiN hai ! :)

......................................

shukriya

Zia Baloch

Bahut khoob

Posted: Sat Apr 01, 2006 5:26 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Sarwar SaaHib ki zameen meiN kahi houi aapki ghazal pasand aayi jiske liye meri dil daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

]/color]
Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sun Apr 02, 2006 2:03 pm
by zmufti
Zia bhai
buhat khoob
meri janib se daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Mon Apr 03, 2006 2:27 am
by Daanish
Mohtarami Zia Baloch sab
aap ki ghazal nazar nawaz hui aur bohat pasand aayi. meri jaanib se dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
khaaksaar
Daanish

Re: Bahut khoob

Posted: Mon Apr 17, 2006 10:42 pm
by Star Mind
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Sarwar SaaHib ki zameen meiN kahi houi aapki ghazal pasand aayi jiske liye meri dil daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

]/color]
Aapka MukhliS,
Nazir.



moHtarami Nazir SaaHib, w/salaam

aap ka Husn-e-nazar hai ! aap k is KhlooS keleye tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya

Zia Baloch

Posted: Mon Apr 17, 2006 11:17 pm
by Star Mind
Zarqaa bhen , aur Daanish SaaHib !

aap donoN ka bhi maiN tah-e-dil se shukrguzaar hoN ! shukriya

Zia Baloch