Page 1 of 3
Harf-e-"SWAAD" se ash'aar qalam_band kijiiye...
Posted: Wed Apr 05, 2006 8:56 pm
by Shummu
Sehra ki tarah rehte hue Thak gayin aankheiN
dukh kehta hai ,ab maiN koi daryaa bhi to dekhooN
parveen shakir
"Suaad"
Posted: Wed Apr 05, 2006 10:52 pm
by Abdullah Nazir
Sirf ik ishaareh per, dil hi kyaa hei ai jaanaaN, jaan apni de doongaa
zindagi hei baaqi to, aapki duAaaoN se, jaaNnicaar baaqi hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Apr 06, 2006 5:02 pm
by ummassad
sehra main merey haal py rooya nahi kooyi
ger phoot ke rooya tu merey paoun ka challa
Posted: Fri Apr 07, 2006 2:17 am
by Abdullah Nazir
Safar Taveel thaa raaheN theeN purkhaTar lekin
chalaa maiN jaanib-e-manzil to phir kahiN nah rukaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"Suaad"
Posted: Sat Apr 08, 2006 2:03 am
by Abdullah Nazir
Sarf-e-taAmeer-e-chaman saari duAayeN hougayiN
aap hi kehiye keh kyaa maangooN siwaaye aap ke.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"Suaad"
Posted: Tue Apr 11, 2006 3:54 pm
by Abdullah Nazir
Sadaay-e-yaar hei yaa naghma-e-hazaar koii
nah jaane kis liye itnaa hei be-qaraar koii.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Apr 15, 2006 10:02 am
by zmufti
Posted: Sat Apr 15, 2006 10:02 am
by zmufti
Posted: Sat Apr 15, 2006 10:03 am
by zmufti
Posted: Sun Apr 16, 2006 11:21 am
by Daanish
sabr thha eik moonis-e-hijraaN
so, woh muddat se ab nahiN aata--Meer
Posted: Sun Apr 16, 2006 11:48 am
by Daanish
subH-e-firaaq meiN hui qadr-e-shab-e-visaal
aaya hai yaad peeri meiN aalam shabaab ka--Naasikh
"Suaad"
Posted: Mon Apr 17, 2006 1:34 am
by Abdullah Nazir
Sabr kartaa rahaa maiN uski jafaa jooyi per
baaz aayaa nah wo zaalim mire marjaane tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"Suaad"
Posted: Mon Apr 17, 2006 10:58 pm
by Abdullah Nazir
"Sabr karnaa thaa bahut dushwaar maiN ne karliyaa
ab ziyaadah tuhmateN dekar nah deewaanah banaa."
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"Suaad"
Posted: Wed Apr 19, 2006 1:58 pm
by Abdullah Nazir
SeHraa ki dhoop chaauN meiN yeh kyaa mazaaq hei
khud meraa saayah mujh se hi bezaar hougayaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Apr 19, 2006 9:39 pm
by ummassad
subhey bahaar humko bulati rahi magar
hum khailty rahy kisi zulfoun ki shaam se