Page 1 of 1

ghazal

Posted: Thu Apr 06, 2006 11:23 am
by zmufti
Ahl-e-Bazm
Aadaab
apni aik adna si kaawish aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN aap sab ki aaraa ka intizaar rahey ga
regards
zmufti

Image

1. Tirri hi chah maiN dil be qarar apna hai
tire liye hi sanam yeh singhar apna hai

2. nahiN hoN qaid yahaN yeh madar apna hai
qafas nahiN hai faqat yeh hisar apna hai

3. inaayatoN pe tirri inhesaar apna hai
wafa shuaaroN maiN teray shumaar apna haii

4. ana atal hai tirri dil kathor hai tera
hamieN bhee jaan se barh kar waqar apna hai

5. tumharey izn ki muhtaaj meri har khawahish
Tumhari khoo pe kahaN ikhtiaar apna hai

6. yeh rishta-e-dil-o-jaaN barqrar hai kaise
jigar laho hai to dil bhee figaar apna hai

7. hamarey shahr maiN raunaq tire hi dam se thee
tire hi jaane se ujda dayar apna hai

8. mirri udaas nighahieN tikki haiN chokhat pe
Wabaal-e-jaan bana intezaar apna hai

9. tujhe batayieN ge jo dil maiN ham ne thaani hai
falak pe chaand bhee to raazdaar apna hai

bahut khoob

Posted: Thu Apr 06, 2006 11:50 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghzal bahut pasand aayi. Saare ashAar khoobSoorat heiN. Is kaamyaab koushish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Apr 10, 2006 6:22 am
by zmufti
Mohtaram Abdullah Nazir saheb
aap ka buhat shukria
umeed hai aayinda bhee hosla afzaaii farmaate rahieN ge
regards
zmufti

Posted: Wed Apr 12, 2006 10:50 pm
by Mahtab Qadr
Zarqa sahiba
salaam e masnoon

neeche ke donoN sher aik mashriqi aurat ke jazbaat ki sahi akkasi haiN.
dosra sher khas taur par islami nizam e hijaab ki bharpoor wikalat kar raha hai.

Tirri hi chah maiN dil be qarar apna hai
tire liye hi sanam yeh singhar apna hai

nahiN hoN qaid yahaN yeh madar apna hai
qafas nahiN hai faqat yeh hisar apna hai

aur ye ashaar bhi pasand aaye.

inaayatoN pe tirri inhesaar apna hai
wafa shuaaroN maiN teray shumaar apna haii

ana atal hai tirri dil kathor hai tera
hamieN bhee jaan se barh kar waqar apna hai
wah kia khuddari hai

tumharey izn ki muhtaaj meri har khawahish
Tumhari khoo pe kahaN ikhtiaar apna hai
bahut acha sher hai

yeh rishta-e-dil-o-jaaN barqrar hai kaise
jigar laho hai to dil bhee figaar apna hai

hamarey shahr maiN raunaq tire hi dam se thee
tire hi jaane se ujda dayar apna hai
bahut khooob


shukria
MQ

Posted: Fri Apr 14, 2006 7:10 am
by zmufti
Mahtaab Saheb
ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ki mamnoon hoN
regards
zmufti

aap kee Ghazal.

Posted: Fri Apr 14, 2006 10:41 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Zmufti SaHebah
aadaab!

Aap kee tazah Ghazal dekhee.bohot pasand aaee. dilkash maZ^ameen pur kashish andaz^ aor bala kee sanjeedgee hee aap kee pehchaan bantee ja rahee hai. yeh bat baRee khush aa'end hai. meree
janib se dad qubool kijiye.

aor yooN hee likhtee raheeN.
khuda Hafiz^
muz^affar