Wo kehtay haiN maiN kitna kam sukhan hooN
Posted: Thu Apr 13, 2006 9:42 am
Azeezaan e Mehfil
Taslimaat
Apni aik ghazal aap ki mehfil main pesh kernay ki jisaarat ker raha hoon, umeed hay pasand aay gi. Aap kee araa ka intizaar rahay ga.
Mukhlis
Muhammad Ahmed
GHAZAL
Be bal o par, shikasta jaan o tan hooN
Magar perwaz maiN apni magan hooN
Khud apni dhoop main jalta raha hooN
Khud apni zaat pe saaya figan hooN
MaiN dewaaroN se bataiN ker raha hooN
Wo kehtay haiN maiN kitna kam sukhan hooN
Wo kab ka manziloN ka ho chuka hay
MaiN jis ka muntazir hooN, khema zan hooN
Bala ki dhoop ne chaTkha dia hay
MaiN jaisay kachi mitti ka badan hooN
Sitam gar ho ke wo shikwa-kunaN hay
MaiN ke ab bhi jabeen-e-be shikan hooN
Ye main kia hogaya hoon tujh se mil ke
Ke khushbu hooN, sitara hooN, pawan hooN
JunooN ki ik girah mujh per khuli hay
to sarshaari ke Khat pe gaamzan hooN
Rahi hijrat sada mansoob mujh se
Watan maiN ho ke :Ahmed: be watan hooN
Muhammad Ahmed
Apirl 2006