Page 1 of 1

Urdustan per pesh ki houi TaraHi Ghazal: Abdullah Nazir.

Posted: Thu Apr 13, 2006 12:33 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Maah-e-April ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke baAZ ashAar pasand aayenge. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahegaa.

GHAZAL roman meiN:

dil ne kyaa kyaa nah uRaaye tiri ulfat ke maze
gaahe furqat ke maze aur gahe vaSlat ke maze

ik taSannuA sahi andaaz-e-taghaaful teraa
"dekh tuu kaise chkhaataa hooN muHabbat ke maze"

un se pooche koii ikhlaaS o tavakkul kyaa hei
jin ko aate heiN gadaayi meiN ibaadat ke maze

maiN jhukaaletaa hooN sar Arz-e-tamanna karke
wo sitam karte heiN le le ke muravvat ke maze

Darrahe heiN ke nah houjaaye zabaaN be-qaaboo
Chakh liye ham ne ravaadaariy-e-ghurbat ke maze

Shoukhiy-e-Husn peh houtaa hei taAjjub mujh ko
Tum keh lete ho mire Aalam-e-Hairat ke maze

Yaad aate heiN tou houjaati heiN aankheN purnam
Haaye wo apne laRakpan ki sharaarat ke maze

Chaahtaa hooN maiN tujhe dushman-e-jaaN kehkar bhii
Dil-lagi meiN hi tou houte heiN shikaayat ke maze

Kuch tou hou zaad-e-safar jaada-e-uqbaa ke liye
Zindagi bhar jo uRaate rahe daulat ke maze

Dekhte kyaa hou mire chaak girebaaN ki Taraf
Koocha-e-yaar meiN houte heiN qiyaamat ke maze

Kaun hei dehr meiN :Nazir: saa shanaasaa teraa
Kaun letaa hei tiri chashm-e-inaayat ke maze
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Fri Apr 14, 2006 8:35 pm
by Mahtab Qadr
Abdullah bhai salaam e masnoon
Waah waah , mai hamesha ki tarah yahi kahoNg ake aapki ghazal phir aapki ghazal hai, jitni tareef ki jaye mubaligha na hoga. har sher behad pasand aaya.

Posted: Sun Apr 16, 2006 1:49 am
by Daanish
Mohtaram Nazir Saheb

aadaab.
waah! eik nihayat khoobsoorat takhleeq par meri jaanib se dili daad aur mubarakbaad qubool farmaaiye. har shayr miyaari aur pur asar hai. jo asha'ar mujhe khaas taur par achhe lage unheN darj kar raha huN:

dil ne kyaa kyaa nah uRaaye tiri ulfat ke maze
gaahe furqat ke maze aur gahe vaSlat ke maze

ik taSannuA sahi andaaz-e-taghaaful teraa
"dekh tuu kaise chkhaataa hooN muHabbat ke maze"

un se pooche koii ikhlaaS o tavakkul kyaa hei
jin ko aate heiN gadaayi meiN ibaadat ke maze

maiN jhukaaletaa hooN sar Arz-e-tamanna karke
wo sitam karte heiN le le ke muravvat ke maze

Darrahe heiN ke nah houjaaye zabaaN be-qaaboo
Chakh liye ham ne ravaadaariy-e-ghurbat ke maze


Kuch tou hou zaad-e-safar jaada-e-uqbaa ke liye
Zindagi bhar jo uRaate rahe daulat ke maze

Dekhte kyaa hou mire chaak girebaaN ki Taraf
Koocha-e-yaar meiN houte heiN qiyaamat ke maze

Kaun hei dehr meiN :Nazir: saa shanaasaa teraa
Kaun letaa hei tiri chashm-e-inaayat ke maze
=======

Bahut bahut shukriyah

Posted: Wed May 03, 2006 12:37 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapko meri ghazal pasand aayi aur aap ne us per apne giraaNqadr TabSire se navaazaa. Is HauSlah afzaayi per maiN aapka beHad shukrguzaar hooN aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi yooN hi apni qeemati aaraas se mustafeed houne kaa mauqaA deti rahengi.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Urdustan per pesh ki houi TaraHi Ghazal: Abdullah Nazir.

Posted: Thu Jun 08, 2006 9:50 pm
by tahira Masood
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Maah-e-April ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke baAZ ashAar pasand aayenge. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahegaa.

GHAZAL roman meiN:

dil ne kyaa kyaa nah uRaaye tiri ulfat ke maze
gaahe furqat ke maze aur gahe vaSlat ke maze

ik taSannuA sahi andaaz-e-taghaaful teraa
"dekh tuu kaise chkhaataa hooN muHabbat ke maze"

un se pooche koii ikhlaaS o tavakkul kyaa hei
jin ko aate heiN gadaayi meiN ibaadat ke maze

maiN jhukaaletaa hooN sar Arz-e-tamanna karke
wo sitam karte heiN le le ke muravvat ke maze

Darrahe heiN ke nah houjaaye zabaaN be-qaaboo
Chakh liye ham ne ravaadaariy-e-ghurbat ke maze

Shoukhiy-e-Husn peh houtaa hei taAjjub mujh ko
Tum keh lete ho mire Aalam-e-Hairat ke maze

Yaad aate heiN tou houjaati heiN aankheN purnam
Haaye wo apne laRakpan ki sharaarat ke maze

Chaahtaa hooN maiN tujhe dushman-e-jaaN kehkar bhii
Dil-lagi meiN hi tou houte heiN shikaayat ke maze

Kuch tou hou zaad-e-safar jaada-e-uqbaa ke liye
Zindagi bhar jo uRaate rahe daulat ke maze

Dekhte kyaa hou mire chaak girebaaN ki Taraf
Koocha-e-yaar meiN houte heiN qiyaamat ke maze

Kaun hei dehr meiN :Nazir: saa shanaasaa teraa
Kaun letaa hei tiri chashm-e-inaayat ke maze
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.

MoHteram mukarram Nazir Saheb

Tasleemaat

aik nehaayat murassah ghazal inaayat fermaane per dilee shuekriyah qabuul fermaaeiN

hameN bohat kuch seekhne ko mil jaata hai es teraH

Jazakomullah

khush rehiye
wassalam

Bahut bahut shukriyah

Posted: Mon Jun 19, 2006 11:40 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Tahira Masood SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Javaab dene meiN takheer ke liye maAziratkhwaah hooN.

Apni ghazal ki pazeeraayi ke liye aapkaa beHad shukrguzaar hooN aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi isi TaraH se HauSlah afzaayi farmaati rahengi taakeh khaaksaar ki mashq-e-sukhan jaari reh sake.


Aapka MukhliS,
Nazir,