Page 1 of 1

Posted: Fri Apr 14, 2006 7:08 am
by zmufti
buhat khoob
Sara jee ghazal k liye daad qabool kijye
khush rahiye
zmufti

dad qubool kijiye.

Posted: Fri Apr 14, 2006 10:23 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah sara SaHebah
aadaab!

Aap kee tazah Ghazal dekhee aor yeh aHsaas pukhta ho geya keh ham khush naSeeb haiN keh aap kee GhazlooN se ji bhehla lete haiN.
meree janib se is khubSurat Ghazal par aap ko DerooN dad Haz^ir
hai.

sare sha'er lae'q-e-ta'reef haiN. yooN hee likhtee raheeN.
ijazat deeN
khuda Hafiz^
aap ka kherkhwah
muzaffar

Re: Guzarish # 16

Posted: Sat Apr 15, 2006 4:12 pm
by Daanish
sara_j wrote:Mohtaram Nazir sahib aur ahle mehfil adaab,

diye gaye misre per aek adna si koshish pesh hei
mulaheza fermaiye:

Ghazal:


jaane haathaoN ki lakeeraoN meiN hei kyaa posheedah
her duAa usne suni per koii ta'ceer nahiN"
(waah!)


lauTkar aagaye phir apni jagah mere qadam
teri qurbat meiN rahuN yeh miri taqdeer nahiN.
(bohat khoob!)
jab bhi palkon pe ruke ashk se likhti hoon ghazal
kaun kehtaa hei keh Saara ki yeh teHreer nahiN
maqtA lajawaab hai! waah!
Mohtarmah Sara Saheba

aap ki tarahi ghazal nazar nawaz hui aur bohat pasand aayi. meri jaanib se dili daad qubool kijiye.

khair andesh
Daanish

waah

Posted: Mon Apr 24, 2006 2:09 pm
by Mahtab Qadr
waah waah bahut khoob sara sahiba

bahut achchi ghazal hei

Posted: Thu May 04, 2006 2:53 pm
by abdulhadiruswa


Saara ji,

apki tarahi ghazal bahut hi khoosoorat hei. sare ashar bahut hi dilkash hein.

is kamyab koushish per meri janib se dili dad aur mubarakbad qubool farmayiye.

khair andesh
ruswa